Allah Taala Ke Mutalliq Zaruri Aqaid

1.      Allah Ek (1) Hai Us Ka Koi Shareek Nahin. Na Zath Me Na Sifaath Me.
2.      Allah Apni Zath Aur Sifath Ke Sath Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega. Wo  Wajib Ul Wujood Hai Yani Us Ka Maujood Hona Zaroori Hai.
3.      Allah Ki Zaath Me Koi Shareek Nahi. Us Ki Sifath Me Bhi Koi Shareek Nahin. Magar Apni Maqlooq Ko Wo Apni Sifathon Me Se Kuch Sifathen Ata Fermata Hai.
4.      Allah Ke Siwa Jo Kuch Bhi Hai Sab Maqlooq Hai. Yani Pehle Maujud Na Thi. Un Ko Paida Kiya Gaya Aur Phir Allah Hi Un Ko Fana Kardega.
5.      Sirf Allah Hi Ibadat Ke Laiq Hai. Allah Ke Siva Kisi Aur Ki Ibadat Shirk Aur Kufr Hai.
6.      Wo Kisi Ka Mohtaj Nahin. Sab Us Ke Mohtaj Hain.
7.      Allah Ki Zath Ko Samajhna Hamare Bas Ki Bath Nahin. Kyun Ki Hamari Aql Ki Ek Hadd Hai Allahah Ki Koi Hadd Hi Nahin.
8.      Allah Kisi Ki Aulad Nahi Aur Na Us Ki Koi Aulad Hai. Na Koi Us Ki Bivi. Wo In Tamam Rishton Se Be Niyaz Hai.
9.      Wo Zinda Hai. Sab Ko Zindagi Wahi Deta Hai. Wahi Zinda Karta Hai Aur Wahi Mauth Deta Hai.
10.  Wo Sab Kuch Kar Sakta Hai Aur Har Chaahe Par Qadir Hai.
11.  Allah Har Aib Se Pak Hai. Jhoot, Dagha, Khiyanat, Zulm, Jahalat Aur Behayai Jaisi Buraiyan Allah Ke Liye Muhaal Hain.
12.  Wo Zinda Hai. Sunta, Dekhta, Kalam Karta, Irada Karta Aur Ilm Wala Hai. Magar Kaan Aankh Zuban, Dimagh, Waghaira Ka Wo Mohtaj Nahin.
13.  Allah Ki Sifaath Bhi Qadeem Hain. Jaise Us Ka Kalam (Quran) Us Ki Sifath Hai. Is Liye Ye Bhi Qadeem Hai. Hamara Quran Ka Padhna (Awaz), Kaghaz Par Likhna(Tehreer), Ye Sab “Haadis” (Fana Ho Sakti) Hain Magar Kalam (Quran) Hamesha Se Tha Aur Hamesha Rahega.
14.  Allah Alim Ul Ghaib Hai. Ghaib Aur Zahir “Sab Kuch” Apne Ilm E Zathi Se Azal Me Jaanta Tha, Ab Jaanta Hai Aur Abadd Tak Jaanega.
15.  Jo Kuch Huwa, Ho Raha Hai Aur Hoga Sab Allah Ne Apne Ilm Se Jaana Aur Likh Diya. Ab Aisa Nahi Ke Jaisa Allah Ne Likh Diya Hai Waisa Hame Karna Padta Hai Balke Jaisa Ham Karne Wale Hain Allah Ne Apne Ilm Se Usey Jan Kar Likhdiya Hai. Isi Ko Taqdeer Kehte Hain.
16.  Allah Jihath (Side), Makan (Place), Zaman (Time), Harkat (Movement), Sukoon (Residence) Shakl (Shape) Soorath (Face) Aur Is Tarah Ki Tamam Mehdood Cheezon Se Pak Hai.
17.  Allah Ka Deedar Is Duniya Ki Zindigi Me Jaagti Ankhon Se Sirf Hamarey Nabi ﷺ Hi Ko Hasil Hai. Aur Ham Sunni Musalmanon Ko Akhirat Me Hasil Hoga.
18.  Allah Jo Chahta Hai Karta Hai. Use Kuch Bhi Karne Ya Na Karne Par Koi Majboor Nahi Kar Sakta. Wo Jo Bhi Karta Hai Us Ka Fazl Hai Ya Us Ka Adl (Insaf) Wo Zulm Nahi Karta.
19.  Us Ko Na Neend Ati Hai Na Oongh. Wo Na Thakta Hai Na Ukthata Hai. Tamam Jahan Par Nazar Rakhey Howe Hai. Sab Ko Paalne Wala Nihayat Meherban Aur Rahm Wala Hai.
20.  Allah Gunahon Ko Baqshney Wala Tauba Qubool Karney Wala Hai.
21.  Wohi Izzat Dene Wala Hai Aur Wohi Zillat Dene Wala Hai. Jise Chahe Hidayat De Jise Chahe Gumrah Kar De.
22.  Nek Aamal Se Khush Hota Hai Aur Burey Almal Par Naraz Aur Ghazab Nak Hota Hai.
23.  Us Ke Wadey Nahin Badaltey.
24.  Us Ke Har Kam Me Be Shumar Hikmaten Hoti Hain. Hamari Samajh Me Aye Ya Na Aye.
25.  Allah Ki Sifaat Us Ki Zaati Hain Lekin Us Ki Ata Se Maqlooq Ko Bhi Kuch Sifaten Hasil Hoti Hain.
26.  Allah Taala Ke Nam Beshumar Hain Jo Hamen Us Ki Zath Aur Sifath Ko Apni Aql Ke Mutabiq Samajhne Me Hamari Madad Ke Liye Hain.
27.  Allah Taala Ki Zaat Me Ghour O Fikr Karne Se Mana Kiya Gaya Hai. Yani Hame Ye Fikr Nahin Karni Chahiye Ke Allah Kaisa Hai? Kya Kar Raha Hai? Kahan Hai? Wagahira.. Hadees E Shareef Me Hai Ke Allah Ki Zath Me Ghour O Fikr Karo Ge To Halak Hojaogey.
28.  Allah Ki Maqlooq Me Ghaur O Fikr Karne Ki Ijazat Hai. Balki Allah Ki Maqlooq Ke Barey Me Ghour Karne Se Allah Par Iman Mazbuth Hota Hai.
29.  Allah Taala Bhool Se Pak Hai. Kyunki Bhoolna Ek Aib Hai Aur Allah Har Aib Se Pak Hai.
30.  Allah Taala Hulool Se Pak Hai. Yani Kisi Insan Buth Ya Kisi Aur Cheez Me Dakhil Hone Se Pak Hai. Kyun Us Ki Zath La Mehdood Baqi Sab Mehdood Hain.
31.  Imp. Notes:
Ilm Ki Kami Ki Wajah Se Kuch Log Allah Ke Bare Me Aisi Bakwas Kar Baith Te Hain Ki Un Ka Iman Chala Jata Hai Aur Un Ko Khabar Bhi Nahin Hoti. Un Ki Kuch Misalaen Yahan Di Jarahi Hain.
    • Allah Hota To Hamari Zaroor Suntan” Aisa Kehna Kufr Hai. Kyunki Allah Ka Maujud Hona Aur Sunna Us Ki Sifath Hain. Allah Ki Sifath Ka Inkar Kufr Hai.
    • Allah Ko “Upar Wala” Nahi Kehna Chahiye. Jaise “Rozi Dene Wala Upar Baitha Hai”. Ya “Allah Upar Asman Se Dekh Raha Hai Kyunki ‘Upar’ Ek Simth (Side) Hai Aur Allah Simth Se Pak Hai.
    • Allah Masjid Mandir Har Jagah Hai” Aisa Kehne Se Bhi Iman Chala Jata Hai.
    • Allah Ko “Hazir Nazir” Kehna Kufr Hai Kyunki Hazir Hone Ke Liye Jagah Chahiye. Aur Allah Jagah Se Pak Hai.
    • Allah Ke Kisi Bhi Kam Par Eteraz Karna Kufr Hai. Jaise “Mujhe Ghareeb Banaya Aur Fulan Ko Daulat Di. Ye Kaisa Insaf Ha” “Allah Zalimon, Makkaron,Badmashon  Ka Sath Deta Hai
    • Ye Kehna Ke “Main Allah Ki Marzi Ke Baghair Bhi Fulan Kam Kar Sakta Hun” To Ye Bhi Kufr Hai.
    • Ranj O Gham Ke Mauqe Par Eterazan Log Kufriyath Bak Dete Hain Jaise “Allah Ko Ye Zulm Nahi Karna Chahiye Tha Mera Beta Hi Milatha Use Mauth Dene Ke Liye” Aisa Kehne Se Kafir Hojate Hain.
    • Allah Ke Bare Me Mazaq Ya Tauheen Ki Bath Karna Jaise “Allah Baqsheyga Nahin To Kahan Jayega” “Fulan Shaqs Allah Ko Dhoka Deraha Hai” “… Ko Dekh Kar Khuda Bhi Hairan Hai” “Allah Naraz Ho To Ho … Naraz Naho” “Khuda Bhi … Ka Muqabla Nahi Kar Sakta” “… Ko Khuda Se Cheen Launga” “Ye To Khuda Ko Bhi Nahi Pata” “Ab To Allah Bhi Nahi Bacha Payega” “Allah Upar Baitha Tamasha Dekh Raha Hai” “Meri Qismat Me Kuch Acha Nahi To Allah Ne Mujhe Paida Hi Kyun Kiya
    • Allah Ko Jama Ke Seeghe (Plural) Se Pukarna Bhi Jaiz Nahin. Jaise “Allah Tala Farmatey Hain..” “Ay Allah Barish Barsaiye” “Hamari Dua Qubul Kijiye” Waghaira. Allah Wahid (1) Hai Use Wahid (Singular) Hi Pukarna Chahiye.
    • Allah Miya Kehna Bhi Ghalat Hai Kyun Ki Lafz “Miyan” Allah Ki Shan Ke Mutabiq Nahi.
Ye To Bahuth Thodi Misalen Hain Jo Log Apni Roz Marrah Ki Guftugu Me Bak Detey Hain. Aisi Kai Kufriya Bathein Hain Jo Ghair Islami Mahol Aur Media Ki Den Hai. Koi Bhi Musalman Kisi Bhi Waqt Aisi Bath Zaban Se Nikal Kar Fauran Kafir Hojata Hai. Jab Tak Tajdeed E Iman Nahin Karta Kafir Hi Rehta Hai. Agar Shadi Shuda Ho To Tajdeed E Nikah Bhi Karna Hoga.
Allah Ham Sab Ke Iman Ki Hfazat Farmaye. Iman Ki Mauth Ata Farmaye Aameen

No comments:

Post a Comment