koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena
magar kuch soch kar rehman ya chara dua dena

na poocha kam saneemi tum daga dene ki tarqeebein
jawaani aayegi jab khud sikha degi daga dena

koi apna zamaana yaad karke dil bhar aaya tha
jo ab aansu koi dekho to mehfil se utha dena

main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm e muhabbat ka
magar pehle khata par gaur karlo phir saza dena

main jis haalat se pahuncha hashar waale bhi pukaar uthe
koi fariyaad wala aa raha hai raasta dena

ijaazat ho to keh dun qissa e ulfat sarre mehfil
mujhe kuch toh fasaana yaad hai kuch tum suna dena

'Qamar' wo sab se chchup kar aa rahehain baat haan padhne
kahein kisse ki meri shama e qurbat ko bujha dena

No comments:

Post a Comment