Islam Ka Taarruf

 Islam Ka Taarruf
  1.      Islam : Islam Wo Wahid Sacha Mazhab Hai Jis Ki Taleemat Ye Hain Ke :-
  • Allah Ke Siva Koi Ibadat Ke Laiq Nahin. Allah Ek (1) Hai. Wo Har Aib Se Pak Hai. Wo Kisi Ka Mohtaj Nahin. Sab Us Ke Mohtaj Hain.
  • Muhammed (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah Ke Bande Aur Barguzeeda Rasool Hain.
  • Apne Bandon Ki Hidayat Ke Liye Allah Ne Kam O Besh 1,24,000 Nabiyon Ko Bheja. Islam Me Un Tamam Nabiyon Aur Un Par Nazil Ki Hui Kitabon Par Iman Rakhna Aur Tazeem Karna Zaruri Hai.
  •  Nabiyon Me Sab Se Akhir Me Tashreef Laye Hamare Nabi Hz. Muhammed ﷺ Sab Nabiyon Ke Sardar Aur Akhri Nabi Hain. In Ke Baad Ab Koi Nabi Nahin Ane Wala.
  • Insan Ke Ilawa Allah Ne Dsri Maqlooq Bhi Paida Ki Hai. Jaise Farishtey Jinn Waghaira. In Ke Wajood Par Iman Rakhna Bhi Zaruri Hai.
  •  Allah Ki Sari Makhloq  Marr Jayegi Ya Fana Hojayegi. Sab Ko Roze Khiyamat Dobara Zinda Kiya Jayega. Hum Insanon Ko Apney Ek Ek Lamhe  Ka Hisab Allah Ko Dena Hai Aur Apne Ache Ya Bure Almaal Ka Badla Pana Hai.
  • Duniya Me Jo Huwa, Horaha Hai Aur Hoga Sab Ka Ilm Allah Ko Hai. Allah Ne Ye Sab Baten Likhdi Hain. Is Ko Taqdeer Kehte Hain.
Islam Ki Infiradiyat Aur Imtiyaz
  •  Islam Me Sirf Ek (1) Allah Ki Ibadat Hai Jab Ke Deegar Mazahib Ya To Kai Mabood Mante Hain Ya Allah Ki Zath O Sifath Me Aib Mante Hain.
  •  Islam Allah Ke Sab Nabiyon Par Iman Lane Ki Taleem Deta Hai. Jab Ke Deegar Mazahib Kuch Ko Mantey Hain Aur Kuch Ka Ya Sab Ka Inkar Karte Hain.
  •  Islam Me Apne Amaal Ka Hisab Dene Aur Jaza O Saza Ka Aqeeda Hai. Jab Ke Deegar Mazahib Is Ka Inkar Kar Ke Gumrah Aur Jahannam Ke Haqdar Baney Hain.
  • Islam Me Nek Alamal, Burey Amal, Halal O Haram Faraiz O Wajibat Ko Tafseel Ke Sath Samjhadiya Gaya Hai. Jab Ki Deegar Mazahib Me Aisa Nahin Hai. Sab Rasm O Rivaj Hain.
  •  Musalman Taqdeer Par Iman Rakhtey Hain. Lekin Deegar Mazahib Taqdeer Ko Apne Achey Ya Burey Karmon Ka Nateeja Samajhtey Hain.
  • Islam Kehta Hai Ke Marney Ke Baad Dobara Zinda Kiya Jana Hai Aur Musalman Jannat Me Aur Kafir Dozakh Me Hamesha Rahengey. Magar Deegar Mazahib “Punar Janam” Waghaira Ko Mantey Hain. 
Islam Sab Se Purana (Qadeem) Mazhab
  • Duniya Me Sab Se Qadeem Mazhab Sirf Islam Hai.
  • Kyun Ke Allah (Jo Ke Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega) Ne Farmaya Hai Ke Haq Mazhab Sirf Islam Hi Hai.
  • Hz. Adam (As) Se Lekar Akhri Nabi Hz.Muhammed ﷺ Tak Saarey Nabi Isi Islam Ki Tableegh Ke Liye Aaye Hain.
  •  Jo Dusre Mazahib Hain Un Ke Bananey Wale Afrad Hain Magar Islam Allah Ka Banaya Huwa Deen Hai.
  • Kuch Mazahib Islam Se Baghawat Kar Ke Allah Ki Taleemat Ko Badal Kar Banaliye Gaye Hain. Aur Kuch To Kufr Aur Shirk Ki Buniyadon Par Qaim Kiye Gaye Hain.
Islam Me Dakhil Hone Ke Liye Kya Karna Paddhta Hai?
  • Kalmia E Tyyibah “La Ilaha Illallahu Muhammed Urrasoolullah” (Allah Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Nahin. Muhammad Sas Allah Ke Rasool Hain) Ke Zaban Se Ikhrar Karne Aur Sachey Dil Se Yaqeen Karne Se Koi Bhi Banda Islam Me Dakhil Hojata Hai.
  • Daera E Islam Me Dakhil Hone Ke Baad Musalman Ko Zaruriyat E Deen Jaise Tauheed, Risalat, Taqdeer, Hashr O Nashr Jannat Dozakh Wagaira Ka Ilm Jan Na Aur Kamil Yaqeen Banaye Rakhna Hota Hai.
  •  Islam Me Dakhil Ho Kar Kisi Zaroori Deeni Amr Ka Inkar Karey To Fauran Banda Kafir Hojata Hai.
  • Musalman Hone Ke Baad Kuch Aamaal Jaisey Namaz, Roza, Zakat, Hajj Waghair Karna zaruri Hain. Jin Ke Karney Par Sawab Aur Na Karney Par Gunah Hota Hai.
  •  Musalman Ke Liye Haram O Najaiz Kamo Se Bachna Bhi Zaruri Hota Hai.
 2.      Musalman: Deen E Islsam Ki Pairavi Karney Walon Ko Musalman Kehtey Hain.
Musalman Hone Ke Dunyavi Faidey
  •  Jhootey Khudaon Ki Parastish Aur Pooja Se Bachey Rehte Hain.
  • Sachey Maabood Allah Ki Ibadat Karke Us Ki Raza Hoti Hai.
  •  Allah Ke Rasool Ki Achi Baton Ko Samajh Kar Un Par Amal Larney Ka Mauqa Milta Hai.
  •   Afzal Ul Anbiya  ﷺ Ki Seerat Aur Un Ki Sunnaton Par Amal Karney Ka Sharf Miltha Hai.
  • Shariyat Par Amal Kar Ke Apne Aap Ko Aur Mahol Ko Pak O Saf Rakh Kar Kai Beemariyon Se Bache Rehte Hain.
  •  Waqt E Muqarrara Par Namazon Ko Ada Kar Ke Insan Deegar Kamon Ko Karne Me Bhi Waqt Ka Paband Ban Jata Hai Aur Waqt Jaisi Nemat Ka Sahi Istemal Karta Hai.
  •  Fuuzul Kharchi Aur Beja Rusoomat Me Apna Paisa Barbad Karney Se Bacha Rehta Hai.
  •  Rishtey Daron, Dost Ahbab, Padosi Balki Mahol Aur Janwaron Ke Tak Huqooq Ada Kar Ke Musalman Duniya Ko Aman Ka Gehwara Banata Hai.
  •  Zindagi Ke Har Muamle Me Islam Musalmanon Ki Rehnumai Karta Hai. Jis Ki Wajah Se Zindagi Guzarna Asan Hojata Hai.
Musalman Hone Ke Ukhravi (Akhirat ke) Faidey
  • Islam Par Chal Kar Hamen Allah Aur Rasool Ki Raza Hasil Hoti Hai.
  •   Badley Me Dozakh Se Azadi Aur Jannat Ki Nematen Naseeb Hoti Hain.
  •  Hamesha Rehne Wali Jannati Zindgi Hasil Hoti Hai.
  •   Sab Nematon Se Badh Kar Nemat Allah Ka Deedar Naseeb Hota Hai.
  •  Islam Ki Wajah Se Duniya Wa Akhirat Me Faidey Hi Faidey Hain.
3.      Iman : Islam Ki Haqqaniyat Ko Sachey Dil Se Man Ne Ka Nam Iman Hai.
 4.      Islam Aur Kufr
·       Kufr:   Islam Ko Sacha Deen Na Man Na Kufr Hai. Islam Ke Kisi Ek Bunyadi Aqeede Ka Inkar Bhi Kufr Hai. Kalmia E Kufr Bakne Se Bhi Musalman Kafir Hojata Hai. Musalman Ko Musalman Aur Kafir Ko Kafir Hi Samajhna Chahiye. Jo Kafir Ko Musalman Ya Musalman Ko Kafir Samjhe Wo Khud Kafir Hojata Hai.
·        Shirk:  Jo Allah Ke Siva Kisi Aur Ki Ibadat Karte Hain Wo Shirk Karte Hai. Yani Allah Ki Sifat Maboodiyat Me Kisi Aur Ko Shareek Kar Ke Mushrik Kehlate Hain. Islam Me Shirk Ki Koi Jagah Nahi Hai. Musalman Mushrik Nahi Hosakta Aur Jo Mushrik Hai  wo Musalman Nahi Hosakta.
Shirk Ki Qismeyn:
o   DehriyaWo Jo Kisi Khuda Ke Wujood Hi Ko Nahi Mante. (Eg: Communist)
o   MushrikJo Allah Ke Siva Kisi Aur Ki Ibadat Karte Hain.
o   Majusi:   Majusi Wo Mushrik Hain Jo Aag Ki Pooja Karte Hain.
o   Kitabi:    Wo Log Jin Ke Pas Allah Ki Kitab Nabiyon Ke Zariye Aai Magar Baad Me Unhon Ne Apni Taraf Se Radd O Badal Kar Ke Kufriya Aqaid Shamil Karliye. Aur Allah Ki Zath O Sifath Me Dusron Ko  Shareek Kar Ke Mushrik Hogaye.
·    Nifaq:      Jo Log Zaban Se Islam Ka Iqrar Karey, Apne Aap Ko Musalman Zahir Karey  Magar Dil Se Islam Ka Inkar Karen Wo Nifaq Karte Hain Aur Un Ko Munafiq  Kehtey Hain
·     Murtad:  Islam Ka Kalima Padh Kar Zaban Se Koi Kufr Ki Bath Bake Aur Us Bath Ko Bura Na Jane Balki Us Par Adaa Rahe To Wo Murtad Hojata Hai.
·     Fisq O Fujoor:   Islam Ke Ahkam Ka Ikhrar To Karey Magar Amal Na Kare. Yani Faraiz O Wajibath Ko Manta Ho Magar Amal Me Kotahi Karta Ho. Ya Gunah Ko Gunah Manta Ho Phir Bhi Gunah Karta Ho. Aisa Karney Wala Faslkh O Fajir Kehlata Hai.

5.      Iman Ghair Munqasim (In Divisible) Hai:
Iman Ko Ham Taqseem Nahi Kar Sakte. Yani Ham Ye Nahi Nehsakte Ke Iman Ki Kuch Baton Ko Ham Man Lete Hain Aur Kuch Baton Ko Nahi Mante. Phir Bhi Musalman Baqi Rehtey Hain. Balki Islam Ki Buniyadi Baton Mese Kisi Ek Ko Na Manne Se Banda Fauran Kafir Ho Jata Hai.

6.      Kufr Sarzad Ho Jaye To Kya Hota Hai:
La Ilmi Ya Jan Boojh Kar Bhi Agar Koi Kufriya Bath Ya Kam Karta Hai To Fauran Us Ka Iman Chala Jata Hai. aur wo kafir hojata hai. aur un ka nikah toot jata hai. jab tak wo tajdeed e iman aur tajdeed e nikah nahi kartey wo kafir hi rehtey hain.

7.      Ahle Sunnat Wa Jamaat Ke Maani:
Hadees Ke Mutabiq Banee Israeel Ke 72 Firqe Huwe They Aur Ummat E Muhammadiya Ke 73 Firqey Hongey. Un Me Se 72 Firqey Jahannam Me Jayengey Aur Sirf 1 Firqa Jannati Hoga. Aur Wo Firqa Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai.
8.      Sirf Ahle Sunnat Wa Jamat Hi Islam Par Hai:
Kyunki
  • Yahi Wo Jamaat Hai Jo Allah Aur Rasool Ki Batai Hui Raah Par Aaj Tak Sabith Qadam Hai.
  • Ahl E Sunnat Wa Jamaat Allah Aur Rasool Ki Sahi Manon Me Itha’ath Karthey Hain.
  • Tamam ‘Sahaba’ Aur ‘Ahle Baith’ Ka Shariyat Ke Bataye Huwe Un Ke Darjon Aur Fazeelath Ka Lehaz Rakhtey Aur Ehteram Kartey Hain.
  •  4 Fiqhi Mazahib (Hanafi, Shafai, Maliki Aur Hanbali) Ko Haqq Mante Hain.
  •  Is Waqt Duniya Ke Musalmanon Me Aksariyat Ahl E Sunnat Wa Jamaat Se Talluq Rakhti Hai.
  • Ahle Sunnat Wa Jamaath Tamam Nabion, Sahaba, Ahle Baith, Thabaee Aur  Waliyon Ka Ehteram Karte Hain. Unke Darjon Me Kami Ya Ziyadati Hargiz Nahi Karte.
  • Isi Liye Is Waqt Sirf Ahle Sunnat Wa Jamaat Hi Haqq Par Hai 

No comments:

Post a Comment