Ramzaan me Tahajjud Zaroor Pardhe [Kyunke Tahajjud aur Taraveh 2 Alag alag Namaze hai, Salaf-o-Saleheen se Saboot]

Ramzaan ka Ba-Barkaat waala Mahina hai aur Log Ibaadat me Izaafa Farmaate hai : Jaha Log Taraweeh Aada Karte hai, Toh Aakhiri Shab me Bedaar hokar Tahajjud ka bhi Ahtemaam Karte hai.
Kyunke Tahajjud aur Taraveeh 2 alag Alag Namaze hai : Iske Dalaail Mulaheza Farmaaye :
1 –Hazrat Umar Al Farooq Rdh. Al Mutawaffa 23 Hij. ka Irshaad e Aali :
Hazrat Ameer ul Momineen Umar bin Khattab Rdh. Al Mutawaffa 23 Hij. Farmaate hai:
Wo Namaz Jisse Tum Sojaate ho (Yaani Tahajjud ki Namaz), wo Isse Afzal hai Jisko tum Qayam Kar rahe ho. (Yaani Taraweeh)
(Saheeh Bukhari : Hadees no 2010)
Scan Page :
صحيح البخاري-بيت الأفكار_Page380
Hazrat Umar Rdh. Taraweeh ke baad Tahajjud ki bhi Targheeb de rahe hai, Jo ke Mustaqil Namaz hai aur Isi riwayat ke Tahet Muhaddiseen ne Taraweeh aur Tahajjud ke Alag Alag hone ki Taraf Ishaara Farmaaya hai :
i – Imam Abul Wali Sulaimaan al Baaji al Qurtubi Rh. Al Mutawaffa 474 Hij. Hazrat Umar rdh. ke Isi Jumle ke tahet Farmaate hai ke Aakhiri Aadhi Raat ka Qiyaam Afzal hai, Pehli aadhi Raat ke qaayim se.
(Al Muntaqa Lil Baaji : Jild 1 : Safa 208)
Scan Page :
Baaji
Isse Maloom huwa ke Aakhiri raat me bhi Qiyaam hai Taraweeh ke alaawa.
ii – Imam Ibn Battaal Rh. Al Mutawaffa 449 Hij. (Aadhi Raat ka qaayim Pehli Raat se Kyun Afzal hai, Iski Wajeh Bayaan Karte huwe) Farmaate hai ke
Aakhiri Raat ka qaayim (Tahajjud) Allah Tala ke us Waqt Nuzool aur Bando ke Dua Qubool hone ki wajeh se Afzal hai. (Sharah Saheeh Bukhari Li Ibn Battal : Jild 4 : Safa 147)
Scan Page :
ssbb04_Page144
iii – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke (Hazrat Umar Rdh. ke Is qaul me) Saraahat hai ke Aakhiri Raat ki Namaz (Tahajjud) Afzal hai, Shuru raat ki Namaz (Taraveh) se.
(Fathul Baari : Jild 4 : Safa 253)
Scan Page :
04_2025_Page253
iv – Imam Aaini Rh. Al Mutawaffa 855 Hij. bhi yahi Farmaate hai. (Umdatul Qaari : Jild 11 : Safa 126)
Scan Page :
11_68706-01_Page126
v – Imam Ash-Shaykh Abdul Qaadar Jilaani Rh. Al Mutawaffa 561 Hij. bhi Hazrat Umar Rdh. isi Qaul ki Wajeh se Taraveh ke baad Tahajjud Pardne par Istedlaal Farmaate hai.
(Ghuniyatut Taalibeen : Safa 269)
Scan Page :
غنية الطالبين_Page267
vi – Imam Ibn ul Haaj Rh. Al Mutawaffa 737 Hij. (Jinko Ulama ne Muhaddis, Saaleh, Faqi, Aarif, Mashoor Aalim wa Faazil qaraar diya hai, [Zail ut Taqeed : Jild 1 : Safa 258, Ad-dibaajul Muhazzab : Jild 2 : Safa 321, Husn ul Muhaazera Lis Suyuti : Jild 1 : Safa 459, Al A’alam Lis Zirkali : Jild 6 : Safa 23]) Farmaate hai ke
Hazrat Umar rdh. ke Farmaan ke Mukhaatib Sahaba Rdh. Nahi, Balke Dusre log hai, Kyunke Sahaba Rdh. dono Fazilato ko Jama’a Karte the, Yaani Raat ke Awwal hisse me Taraveh aur Aakhiri Hisse me Tahajjud.
(Al Madhkal Li Ibn ul Haaj : Jild 2 : Safa 291)
Scan Page :
Almad5al_02_Page291
Lehaaza Hazrat Umar Rdh. Taraveh Pardhne ke baad Tahajjud ki Targheeb de rahe hai, Yaani Unke nazdeek Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namaze hai aur Salaf-o-Saleheen ne bhi yahi Wazaahat Farmaayi hai, Jaisa ke Tafseel Guzar chuki.
Aiteraaz :
Kifayatullah Sanabili Sahaab Likhte hai ke Yeh (Hazrat Umar Rdh. ka qaul) is baat ki Daleel hai ke Umar Farooq Rdh. Taraveh aur Tahajjud ko Ek hi Namaz Samjhte the. Aur Phir Allama Anwar Kashmiri Rh. ka qaul pesh kiya ke Unhone Kaha ke Hazrat Umar Rdh. ne Taraveh aur Tahajjud ko Ek hi Namaz Qaraar diya hai. (Masnoon Taraveh : Safa 13-14)
Al – Jawaab :
Kifayatullah Sanabili Sahaab ka Yeh Kehna ke ‘Hazrat Umar Rdh. ka yeh Qaul is baat ki Daleel hai ke Umar Farooq Rdh. Taraveh aur Tahajjud ko ek hi Namaz Samjhte the’, BAATIL wa MARDOOD hai.Kyunke Humne Salaf-o-Saleheen ke Aqwaal se Waazeh kiya hai ke Hazrat Umar Rdh. ke Nazdeek Tahajjud aur Taraveh Alag Alag Namaze hai, Jaisa ke Tafseel upar maujood hai.
Aur Raha Allama Anwar Shah Kashmiri Rh. ka Hawaala, Toh Jawaab arz hai ke Khud Ghair Muqallideen Hazraat Umuman kehte hai ke Huzur Saw ke Alaawa Saare Logo se Khata hosakti hai.
Tambeeh : Mai Kehta hu ke Jab Saare Logo se Ghalti hosakti hai, Toh Phir Allama Anwar Kashmiri Rh. se Kyun nahi hosakti.
Algarz Hum Kehte hai ke Is masle me Allama Kashmiri Rh. se Ijtehaadi Khata huwi hai aur Saheeh Baat is Masle me yahi hai ke Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namaze hai Jaisa ke Khud Hazrat Kashmiri Rh. ke Shuyukh Hazrat Shaikh ul Hind Rh., Maulana Qaasim Nanotwi Rh. aur Mufti Rasheed ahmed Gangohi Rh. Waghaira Hazraat ne Farmaayi hai.
Chunaanche Hazrat Nanotwi Rh. Farmaate hai ke Tahajjud aur cheez hai aur Taraveh aur Cheez (hai).
(Tasfiyatul Aqaaid : Safa 4)
Neez Apni aur Kitaab me bhi Taraveh aur Tahajjud ke Alag Alag hone par Mudallal Guftagu Farmaayi hai, Dekhiye, Al Haq us Sareeh : Safa 3-4.
Aur Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Farmaate hai ke Namaz e Tahajjud aur Namaz e Taraveh 2 Alag alag Namaze hai.
(Ar-raayi un Najeeh : Safa 2), Phir Aage Mufti Sahaab Rh. ne Safa : 10 tak Tafseeli Bahez Farmaayi aur Saabit kiya ke Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namaze hai.
Mazeed Shaykh ul Hind Maulana Mehmood ul Hasan Rh. ne bhi Tahajjud aur Taraveh ko Alag Alag Qaraar diya hai. (Al Waarid ush Shazi : Safa 105)
Lehaaza In Akaabir e Ahlesunnat ka Tehqeeq Hazrat Kashmiri Rh. ka qaul Muqaddam hai aur Saheeh wa Raajeh Baat yahi hai ke Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namaze hai.
Sawaal :
Ahlehadees Hazraat se Hamaara Sawaal hai ke Salaf me se Kaunse Faqi wa Muhaddis ne Hazrat Umar Rdh. ke is Qaul se Istedlaal Karte huwe Kaha ke Hazrat Umar Rdh. ke nazdeek Tahajjud aur Taraveh Ek hi hai ?
Baraaye Meherbaani Salaf-o-Saleheen se Ba-sanad e SAHEEH Hawaala pesh Farmaaye, Warna Haq ko Tasleem Kare ke Hazrat Umar Rdh. ke nazdeek Tahajjud aur Taraveh Alag Alag Namaze hai.
2 – Imam ul Muhaddiseen Imam Bukhari Rh. Al Mutawaffa 256 Hij. ka Amal :
Imam Bukhari Rh. Jab Ramzaan ki Pehli raat hoti, Toh Log Unke paas Jama hote, wo Namaz e Taraveh Pardhaate the aur Har Rakaat me 20 Aayate Pardhte, yaha tak ke Quraan Khatam Karte, Phir Saher ko (Namaz e Tahajjud me) Nisf se lekar, Tanhaayi Quraan tak Pardte aur 3 Raato me Khatam Karte aur Din me Quraan Khatam karte (Jo) Iftaar ke waqt Khatam hota tha aur (Imam Bukhari Rh.) Saher ke waqt 13 Rakaate (Tahajjud ki) Pardte aur Ek Rakaat Witr ki hoti.
(Taisirul Baari : Jild 1 : Safa 11, Hadiyus Saari Li Ibn Hajar : Safa 505)
Scan Page : Taisirul Baari
155160721-Tayseer-ul-Bari-sharah-Sahi-Bukhari-1-of-9_Page15
Scan Page : Hadiyus Saari
Aiteraaz :
Ahlehadees Aalim Hafiz Zubair ali zai Likhte hai ke Imam Bukhari Rh. se Ba-sanad e Saheeh Taraveh aur Tahajjud ka Alaaheda Alaaheda Pardhna Saabit nahi hai, Hadi us Saari ka Hawaala Be-sanad hone ki Wajeh se Mardood hai. (Tadaad e Qiyaam e Ramzaan ka Tehqeeqi Jayeza : Safa 106)
Al – Jawaab :
Shoaib ul Imaan Lil Behaiqi me Imam Behaiqi Rh. ne Hadi us Saari ke qaul ki Sanad Farmaayi hai. Aur Shoaib ul Imaan ke Muhaqiq Haashiya me Tehreer Karte hai ke ISKI SANAD ME KOI KHARAABI NAHI HAI. (Shoeib ul Imaan Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 524-525, SAHEEH SANADTaarekh e Baghdad)
Scan Page :
gshe03_Page525
Lehaaza Zai sahaab Aiteraaz BAATIL wa MARDOOD Hai.
3 – Al Imam al Hafiz ul Muhaadis Abu Muhammed Asfahaani Rh. Al Mutawaffa 446 Hij. ka Amal :
Imam Abu Muhammed Asfahaani Rh. Al Mutawaffa 446 Hij. Jo ke Imam Khateeb al Baghdadi Rh. ke ustaad hai, Unke bare me Manqool hai ke
Wo Pure Ramzaan me logo ko Namaz e Taraveh Pardhaate the aur Har Roz Jab Taraveh se Faarigh hote, Toh Masjid me hi Namaz e Tahajjud Pardhte rehte, yaha tak ke Fajr Tulu hojaati thi.
(Taarekh e Baghdad : Jild 10 : Safa 143)
Scan Page :
10_77930_Page144
Irshaadaat e Salaf wa Fuqaaha wa Muhaddiseen :
4 – Imam Ibn Rushd Rh. Al Mutawaffa 598 Hij. Farmaate hai ke
‘aur Beshak wo taraveh jispar Umar bin Khattab Rdh. ne jama’a kiya, isi ki Targheeb di jaati hai.
Lekin Ulama ki Darmiyaan Isme ikhtelaaf hai ke Awwal raat ki Taraveh Afzal hai ya Aakheer Raat ki Namaz (Tahajjud) Afzal hai, Jo Aakheer raat me Rasoolullah SAW ki Namaz thi.
Jamhoor ke Nazdeek Aakheer ki Raat ki Namaz (Tahajjud) Afzal hai’.
(Al Bidayatul Mujtahid : Jild 1 : Safa 210)
Scan Page :
bmnm1_Page210 (2)
5 – Imam Abu Muhammed Abdul Wahab as Sa’alabi al Baghdadi Rh. Al Mutawaffa 422 Hij. Farmaate hai ke Jo Shaks Taraveh ya Tahajjud Pard Raha hu, Uske liye Pasandida hai ke wo Takbeer e Tehrima aur Sureh Fatiha ke Darmiyaan Sanah, Ta’awuz aur Tasmiya ke Zariye se Fasl (Sakta) Kare.
(At-Talqeen Lis Sa’alabi : Jild 1 : Safa 44)
Scan Page :
76249_Page44
Is Ibaarat se bhi Maloom huwa ke Imam Sa’alabi Rh. Al Mutawaffa 422 Hij. ke Nazdeel Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namazein hai.
6 – Imam Abu Ishaq Shairaazi Rh. Al Mutawaffa 476 Hij. Farmaate hai ke Ramzaan ke Mahine me Jamaat ke saat 20 Rakaat Taraveh Pardhe aur uske Baad Witr Pardhe Jamaat ke saat, Agar Uska Tahajjud ka Iraada ho, Toh Witr Tahajjud ke baad Pardhe.
(At-Tambeeh Lish Shairaazi : Jild 1 : Safa 34)
Scan Page :
7612_Page34
Yahi Baat Mukhtalif Alfaaz ke saat
7 – Imam Nawawi Rh. Al Mutawaffa 676 Hij. (Al Majmu Lin Nawawi : Jild 4 : Safa 15)
Scan Page :
04_20896_Page15
8 – Imam Sharfuddin Musa bin Ahmed Al Maqdasi Rh. Al Mutawaffa 968 Hij.[Jinko Ulama ne Shaykh ul Islaam, Imam, Allama, Muhaddis, Aalim, Mufti aur Muttaqi wa Faqi Wagaira Qaraar diya hai, Dekhiye Shuzraatuz Zehb : Jild 10 : Safa 472, Al Kawaakib Lin Najm uddin : Jild 3 : Safa 93, Al A’alaam Liz Zirkali : Jild 7 : Safa 320)] ne Kahi hai. (Al Iqna’a Lil Maqdasi : Jild 1 : Safa 147)
Scan Page :
01_7978_Page147
9 – Imam Ibn Qudaama Rh. Al Mutawaffa 620 Hij. Farmaate hai ke phir Taraveh 20 Rakaat hai, Ramzaan me Taraveh aur Witr Dono Jamaat ke saat Pardhe, Lekin Taraveh ke Baad Tahajjud Pardhne Waala Aadmi Witr Tahajjud ke baad Pardhe. (Al Muqni : Safa 58)
Scan Page :
المقنع لابن قدامة_Page58 - Copy
10 – Imam Ibn ul Haaj Rh. Al Mutawaffa 737 Hij. Farmaate hai ke (Aadmi ke liye Munaasib hai) ke Logo ke saat Taraveh aur Witr pardhe, Phir Sojaaye…aur Utne ke baad Namaz e Tahajjud ke liye Khade hojaaye.
(Al Madkhal : Jild 2 : Safa 292)
Scan Page :
almdkhl2_Page292 - Copy
11 – Imam Ibn ul Mulaqqan Rh. Al Mutawaffa 804 Hij. bhi Tahajjud aur Taraveh ko 2 Alag Alag Namazein Bataate hai. (At-Tazkirah Li Ibn Mulaqqan : Jild 1 : Safa 26)
Scan Page :
89691_Page26
12 – Al Imam ush Shaykh Abdul Qaadar Jilaani Rh. Al Mutawaffa 561 Hij.Farmaate hai ke Taraveh ke baad Tahajjud ke bare me 2 Qaul hai.
Ek yeh ke Taraveh ke baad Kuch Neend Karke Phir utke Tahajjud Pardhe.
Dusra Qaul yeh hai ke Taraveh ke baad Beghair Neend Kiye Tahajjud Jayez hai, Bilaa Karaamat.
(Ghunyatut Taalibeen : Safa 269)
Scan Page :
غنية الطالبين_Page267
Algarz Jamhoor Fuqaaha wa Muhaddiseen aur Ulama ka yahi Kehna hai ke Tahajjud aur Taraveh 2 Alag Alag Namaze hai.
aur Yeh jo Ghair Muqallideen Kehte hai ke Tahajjud aur Taraveh Ek hi namaz hai, Ispar unke paas Koi Saaf Sarheeh Daleel nahi hai.Balke Sirf Qiyaas hi Qiyaas hai Jo ke Mardood hai.
Mazeed Hamaare Ilm ke Mutaabiq Salaf-o-saleheen me se, Kisi se bhi yeh Manqool Nahi ke Unhone Saraahatan Kaha ke Tahajjud aur Taraveh Ek hi Namaz hai.
Agar Ahlehadees Hazraat ke paas aisa koi Hawaala Sanad e Saheeh ke saat, toh Peshkare.Warna Unka Apne Maslaki Ta’assub ki Wajeh se Haq ka Inkaar karna Bekaar hai.
Aakheer me Imam Ibrahim Nakh’ii Rh. Al Mutawaffa 96 Hij. ka Irshaad Mulaaheza Farmaaye :
Imam Ibrahim Nakh’ii Rh. Al Mutawaffa 96 Hij. Farmaate hai ke ‘Kuch Log Imam ke saat Masjid me Namaz (e Taraveh) Pard rahe the, aur Kuch Log Masjid ke Ek Koone me Tahajjud Pard rahe the’.
(Musannaf Ibn Abi Shayba : Jild 5 : Safa 234, SAHEEH SANAD)
Scan Page :
musnfsh05_Page234
Note :
Is riwayat me Imam A’mash Mudallis hai.Lekin Unki Tadlees Qaabil e Qubool hai, Kyunke wo Tabqaat e Saaniya ke Mudallis hai. (Al Mudalliseen Lil Iraaqi : Jild 1 : Safa 109)
Mazeed Ek aur Sanad me Mughera bin Miqsam Rh. ne Imam A’mash Rh. ki Muta’abiyat kar rakhi hai.

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ قَالَ: ثنا أَبُو الْأَحْوَصِ، عَنْ مُغِيرَةَ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ، قَالَ: «كَانَ الْمُتَهَجِّدُونَ يُصَلُّونَ فِي جَانِبِ الْمَسْجِدِ، وَالْإِمَامُ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي شَهْرِ رَمَضَانَ»

Sanad :
Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Abul Ahwas Rh. — > Mughera Rh. — > Ibrahim Nakh’ii Rh.
Dekhiye (Musannaf Ibn Abi Shayba :Jild 5 : Safa 233-234, Hadees no 2063)
Scan Page :
musnfsh05_Page234 - Copy
Algarz Yeh riwayat Saheeh hai, Jisse Maloom hota hai ke Hazrat Ibrahim Nakh’ii Rh.Al Mutawaffa 96 Hij. ke Zamaane me bhi Taraveh ke alaawa Tahajjud ka Ahtemaam tha.
Pas, Allah tala Haq ko qubool wa Uspar Amal Karne ki Taufeeq Aata Farmaaye….Ameen

No comments:

Post a Comment