Imam Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. ki Siqaahat Fuqaaha wa Muhaddiseen se

Imam Abu Abdullah Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. Al Mutawaffa 189 Hij. Jaleel ul Qadr Muhaddiseen wa Fuqaaha me se hai.
Unke Tauseeq Darj e zail hai :
1 – Imam Shafii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai ke
Maine Imam Muhammed Rh. se Ek Ont [Camel] ke Booj [Weight] ke baraabar Ilm Haasil kiya hai.
Aur Agar wo Na hote Toh Mujh par Ilm ki Itni Raah na Khulti, Jitni Ab Khuli hai. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
1
2 – Imam Abu Ubaida Rh. Al Mutawaffa 224 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. se Bada Koi Kitaab ullah ka Aalim Nahi Dekha. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page :
2
3 – Imam Darqutni Rh. Al Mutawaffa 385 Hij. ne Imam Muhammed ko Siqa Qaraar diya hai. (Gharaaib e Maalik Bahawaala Nasb ur Riyaa : Jild 1 : Safa 408)
Scan Page :
3
4 – Imam Shafii Rh. Farmaate hai ke Maine Muhammed Bin Hasan Rh. se Bada Koi Kitaab ullah ka Aalim Nahi Dekha. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
4
5 – Imam Shafii Rh. se pucha gaya ke Aap ne Imam Maalik Rh. aur Imam Muhammed Rh. Dono ki Rafaaqat ki hai, Un dono me Bada Faqi Kaun hai ?
Toh Imam Shafii Rh. ne Farmaaya : Imam Muhammed Rh. Ba-aitebaar e Nafs ke Imam Maalik Rh. se Bada Faqi hai. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
5
Qaari-een ! Yeh toh Imam Shaf’ii Rh. ki Imam Muhammed Rh. ke Haq me Alaa Darje ki Tauseeq hai.
6 – Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke Imam Muhammed Rh. Faqi aur aalim The. Inhone Imam Maalik Rh. se Bahut Hadeese Likhi hai aur Isi Taraf Sufiyan Sauri Rh. wagaira se bhi. (Al Inteqaa : Safa 174)
Scan Page :
6
7 – Imam Shafii Rh. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. se Zyaada Koi Aqalmand Nahi dekha. (Al Bidaaya wan Nihaaya : Jild 10 : Safa 202, Taarekh e Baghdaad : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page : Taarekh e Baghdaad
02_77922_Page172
8 – Imam Shafii Rh. se yeh bhi Manqool hai ke Aap ne Farmaaya ke Maine Koi Shaks Aisa nahi dekha, Jise Masla Pucha, Toh uske Chehre par na – pasandigi ke Aasaar ho, Siwaaye Imam Muhammed bin Hasan Rh. ke.(Manaaqib ush Shafii : Jild 1 : Safa 159)
Scan Page :
8
9 – Imam Yahiya bin Saaleh Rh. ne Farmaaya : Imam Muhammed Rh. Ba-aitebaar e Nafs ke Imam Maalik Rh. se Bada Faqi hai. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page :
9
10 – Imam Qutaiba Rh. Al Mutawaffa 240 Hij. Farmaate hai ke Maine Kasrat e Ibaadat me Imam Muhammed Rh. se zyaada Kisi ko Nahi dekha. (Manaaqib e Kurdi : Jild 2 : Safa 153)
11 – Imam Ahmed bin Hanbal Rh. Al Mutawaffa 241 Hij. se Pucha ke, Aap ne Baarek aur Mushkil Masaail kaha se Liye hai.
Imam Ahmed Rh. ne Farmaaya ke  yeh Mushkil aur Daqeeq Masaail Imam Muhammed Ibn Hasan Rh. ki Kitaabo se Liye hai.
(Akhbaar Abi Hanifa : Jild 1 : Safa 129)
Scan Page :
11
Mazeed Imam Ahmed Rh. ke Tamaam Ustad Ghair Muqallideen ke Nazdeek Siqa wa Maqbool hai. (Seene par Haat Bandhne ka Hukum aur Maqaam : 33-34)
Scan Page :
Seene pe hath bandhna Zubair Ali Zai_Page33
Aur Imam Ahmed Rh. ne Imam Muhammed Rh. se riwayat bhi ki hai, Jaisa ke Imam Zehbi Rh. ne Naql Kiya hai.
Lehaaza Ghair Muqallideen ki Is baat ki Rooshni me, Imam Muhammed Rh. ki Siqaahat Imam Ahmed Rh. se bhi Saabit Hogayi hai.
12 – Imam Shafii Rh. Farmaate hai ke Fiqa me Sabse Zyaada Mujh par Ahsaan Imam Muhammed Rh. ka hai. (Taarekh e Baghdad : Jild 1 : Safa 173)
Scan Page :
12
13 – Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. ne Imam Muhammed Rh. ki Riwayat ko Saheeh qaraar Dekar Unko Siqa qaraar diya hai. (Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 8 : Safa 104)
Scan Page :
سنن البيهقي8_Page104
14 – Imam Abu Saeed Abdul Kareem As Sam’ani Rh. Al Mutawaffa 562 Hij. ne Imam Muhammed Rh. ko ‘ IMAM E RABBAANI’ Qaraar diya hai. (Kitaab ul Insaab : Jild 7 : Safa 426)
Scan Page :
14
15 – Imam Ibn ul Haadi Rh. Al Mutawaffa 744 Hij. Imam Muhammed Rh. ki Ta’arif Yu Farmaate hai :
Al Qazi, Imam, Allama, Faqi e Iraaq, Abu Abdullah Muhammed Ibn Hasan Ash-Shaybaani Rh. Jo ke Imam Shafii ke Ustaado me se hai. (Manaaqib e Aimma e Arba : Safa 60)
Scan Page :
مناقب الأئمة الأربعة_Page60
16 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate hai ke Aap (Imam Muhammed ) Rh. Ilm (e Hadees) aur Fiqh ke Samandar The. (Mizaan ul Aitedaal : Jild 6 : Safa 107)
Scan Page :
16
17 – Imam Darqutni Rh. Farmaate hai ke Aapko Cho-da nahi Jaasakta. (Sawalaat e Barqaani Lid Darqutni : 568)
Scan Page :
17
18 – Imam Muhammed bin Yusuf Saalihi Ad-Dimishqi Al Mutawaffa 943 Hij.Farmaate hai ke Aap Siqa hai. (Uqdul Jumaan)
19 – Imam Yafa’ii Yemeni Rh. Al Mutawaffa 768 Hij. Farmaate hai ke Aap Qazi ul Quzaat aur waqt ke Faqi the. (Miraatul Jinaan : Jild 1 : Safa 325)
Scan Page :
19
20 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke wo Zaheen Logo me Be-Misaal the. (Al Esaar ba-Marifatir Ruwaat ur Aasaar : Raqm no 214)
Scan Page :
10481_Page162
21 – Imam Ibn Taghri Badri Rh. Al Mutawaffa 874 Hij. Farmaate hai ke
Aap Rh. Faqi, Allama, Shaikh ul Islaam, Mufti e Iraaq aur Bahut Mashoor Ulama me se hai. (An Nujoom uz Zaahera :
22 – Imam Salaahuddin Aaibak As Safdi Rh. Al Mutawaffa 764 Hij. Farmaate hai ke Aap Rh. Imam, Mujtahid, Zaheen aur Maahir e Kalaam hai. (Al Waafi ul Waafi’aat : Jild 2 : Safa 247)
Scan Page :
wafiw02_Page247
23 – Imam Ibn Adeem Rh. Al Mutawaffa 660 Hij. Ne Imam Muhammed Rh. ko Imam ul Muslimeen Qaraar diya hai.
(Bughiyatut Talab : Jild 10 : Safa 4349)
Scan Page :
8275_Page4349
24 – Imam Khalifa bin Khayaat Rh. Al Mutawaffa 240 Hij. ne Imam Muhammed Rh. ko Tabqaat ul Muhaddiseen me Shumaar kiya aur Qazi wa Muhaddis qaraar diya hai.
(Tabqaat ul Muhaddiseen : Safa 328, Taarekh Khalifa bin Khayaat : Safa 304)
Scan Page : Tabqaat ul Muhaddiseen
طبقات خليفة بن خياط_Page407
25 – Imam Shafii Rh. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. ko Behtirin Quraan Padhne Waala Dekha. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page :
02_77922_Page172 - Copy
26 – Imam Shafi Rh. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. Jaisa Maahir e Kalaam Nahi Dekha. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page :
02_77922_Page172 - Copy (2)
27 – Imam Ibn ul Furaat Rh. Al Mutawaffa 213 Hij. ne Imam Muhammed Rh. ko Imam e Rabbaani Qaraar diya hai. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 409)
Scan Page :
shda02_Page409 - Copy
28 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate hai ke Aap Qazi ul Quzaat (Chief Justice) aur Faqi ul Asr the. (Al Ibr : Jild 1 : Safa 234)
Scan Page :
ekk1_Page234
29 – Imam Shafi’ii Rh. Yaha Tak Farmaate hai ke Log Agar Insaaf Kare, Toh wo Jaanlenge ke Imam Muhammed Rh. Jaisa Unhone Nahi Dekha. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
shda02_Page409
30 – Ek Din Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. ne Farmaaya ke Koi bhi Mashriq ki taraf se Hamaare paas Fahem Maani waala nahi aaya, Majlis me Imam Muhammed Rh. bhi the, Imam Maalik rh. ki Aankh unpar Jaatiki aur Unke Mutalliq Farmaaya : Magar Yeh Naujawaan. (Fazaail e Abi Hanifa wa Akhbaar Li Ibn Abi Al awwam : Safa 125)
31 – Imam Abu Maqaatil Samarqandi Rh. Al Mutawaffa 208 Hij. Farmaate hai ke Maine Unse [Imam Muhammed Rh. se] Zyaada Faqi nahi Dekha. (Manaaqib ul Muwaffaq : Jild 1 : Safa 67, 246, Jild 2 : Safa 58, 190)
32 – Imam Hasan Ibn Abi Maalik Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai ke Imam Muhammed Ibn ul Hasan Ash-Shaybaani Rh. (Masaail ki) Jis Gehraahi ko Pahuche hai, Waha Imam Abu Yusuf Rh. [bhi] nahi Pahuche. (Fazaail e Abi Hanifa wa Akhbaar Li Ibn Abi Al awwam : Safa 22)
33 – Imam Muhammed bin Sama’a Al Kufi Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate hai ke Muhammed Ibn ul Hasan Shaybaani Rh. Puri dunya ke Faqi hai. (Fazaail e Abi Hanifa : Safa 131)
34 – Imam Yahiya Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate hai ke Imam Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. ki Tasneef ‘Jaame Sagheer’ ko Maine Khud Unse Likha hai aur Sab Log se Zyaada Maine Imam Muhammed bin Hasan Rh. ki Kitaab ‘Jaame Sagheer’ ka Sima’a kiya hai.
(Fazaail e Abi Hanifa : Safa 118-119)
35 – Imam Ali Ibn ul Madeeni Rh. Al Mutawaffa 234 Hij. Farmaate hai ke Imam Muhammed Rh. Sadooq hai. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 178)
Scan Page :
02_77922_Page178
36 – Imam Muhammed bin Salaam Al Bikandi Rh. Al Mutawaffa 227 Hij. Farmaate hai ke Imam Muhammed Rh. Saaleh Aadmi hai. (Bahawaala Manaaqib e Kurdi : Jild 2 : Safa 153)
37 – Imam Muhammed bin Kaamil Al Marwazi Rh. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. se Zyaada Khoobsurat, Unki Majlis se Zyaada Aali Shaan Majlis aur Unse Zyaada Achi (Hadees wa Fiqh ki) Imlaa Karaane waala Nahi Dekha aur wo Sab logo se Zyaada Hujjat wa Dalaail bayaan Karne waale aur Sabse zyaada Paraisgaar the.
(Manaaqib e Kurdi : Jild 2 : Safa 162)
38 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne Aapko Faqi, Allama, Mufti e Iraaq aur Mashoor Ulama me se, Qaraar diya hai. (Taarekh e Islaam : Jild 4 : Safa 954)
Scan Page :
04_Page954
39 – Imam Shafi’ii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. se Zyaada Halaal, Haraam, illate, Naasikh aur Mansookh ka Ilm Rakhne waala Nahi Dekha. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
shda02_Page410 - Copy
40 – Ghair Muqallid Ahlehadees Aalim Abdur Rehman bin Yahiya Yemaani Rh. Farmaate hai ke
Imam Muhammed Rh. Fiqh aur Sunnat me Ek Maqaam Haasil tha….Mazeed Kehte hai ke Aap Intehaayi Darje ke Insaaf Pasanad the.
Aur ek Maqaam par Farmaate hai ke Imam Muhammed bin Hasan Rh. ka Intehaayi Jaleel ul Qadr aur Afzal hone Shak wa Shuba se Baalaa hai.
(At Tankeel : Safa 653, 729)
Scan Page : Safa 653
tnkeel_Page653
Scan Page : Safa 729
tnkeel_Page729
41 – Ghair Muqallid Ahlehadees Aalim Maulana Md Ibrahim Sialkoti Rh. ne Apni Kitaab ’22 Naamwar Fuqaaha wa Muhaddiseen’ me Aapka Zikr karke Aapko Naamwar Faqi wa Muhaddis Qaraar diya hai.
Scan Page :
1

42 – Ghair Muqallid Aalim Doctor Muhammed As Dasuqi ne Imam Muhammed Rh. ki Khidmaat par Ek puri Kitaab hi Tehreer Kar Daali, Jiska Naam ‘IMAM MUHAMMED BIN HASAN ASH SHAYBAANI AUR UNKI FIQHI KHIDMAAT’ hai, Jo ke 600+ Safhaat [pages] ki Hai.
Scan Page :
Imam
Lehaaza Jab Imam Ibn ul Maeen Rh., Imam Shaf’ii Rh., Imam Ahmed bin Hanbal Rh., Imam Maalik Rh., Imam Yahiya bin Saaleh Rh., Imam Qaasim bin Salaam Rh. aur Degar Kibaar e Muhaddiseen ne Imam Muhammed Rh. ko Be-misaal Mana aur Unki Tauseeq wa Ta’arif ki,
aur Saat hi Saat Ghair Muqallideen ke Bado ne bhi Imam Muhammed Rh. ke Maqaam wa Martaba ko Qubool kiya hai.
Lekin Phir bhi Baaz Log Tehqeeq ke Naam Dhoke se Kehte hai ke Imam Muhammed Rh. Hadees me Zaeef The.
Allah Tala Aise Logo ke Dhokho se Ummat ki Hifaazat Farmaaye aur Siraat e Mustaqeem ki Raah Bataaye…..Ameen.

No comments:

Post a Comment