Imam Abu Hanifa Rh. ne Sahaba e Kiraam Rdh. se Riwayat SUNI HAI Part 1 (Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. se riwayat)

Imam ul Azam fil Mujtahideen, Sultan ul Muhaddiseen Abu HANIFA Nu’maan bin Saabit Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. ne SAHABA KIRAAM Rdh. se riwayat Suni hai, Jiski Tafseel Darj e zail hai :
1 – Imam Abu umar Yusuf bin Abdullah bin Muhammed bin Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke

وأخبرت عن أبي يعقوب يوسف بن أحمد الصيدلاني المكي قال: حدثنا أبو جعفر محمد بن عمرو بن موسى العقيلي، ثنا أبو علي عبيد الله بن جعفر الرازي، ثنا محمد بن سماعة، عن أبي يوسف قال: سمعت أبا حنيفة رحمه الله يقول: ” حججت مع أبي سنة ثلاث وتسعين ولي ست عشرة سنة فإذا شيخ قد اجتمع الناس عليه فقلت لأبي: من هذا الشيخ؟ فقال: هذا رجل قد صحب النبي صلى الله عليه وسلم يقال له عبد الله بن الحارث بن جزء، فقلت لأبي: فأي شيء عنده؟ قال: أحاديث سمعها من رسول الله صلى الله عليه وسلم فقلت لأبي: قدمني إليه حتى أسمع منه، فتقدم بين يدي وجعل يفرج الناس حتى دنوت منه فسمعته يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «من تفقه في دين الله كفاه الله همه ورزقه من حيث لا يحتسب»

Sanad :
Imam Ibn Abdul Barr Rh. — > Abu Yaqub Yusuf bin Ahmed Ash-Saidalaani al Makki Rh. — > Imam Abu Jafer al Uqaili Rh. — > Abu Ali Ubaidullah bin Jafer ar Raazi Rh. — > Muhammed bin Sama’a Rh. — > Imam Abu Yusuf Rh. — > Imam Abu Hanifa Rh. — > Abdullah Ibn ul Haaris az Zubaidi Rdh. — > Rasoolullah SAW.
Matan :
Hazrat Abdullah Ibn ul Haaris Rdh. Farmaate hai ke Maine Rasoolullah SAW ko Farmaate huwe Suna :
Jisne Allah ke Deen me Taffaqqo (Samajh) Haasil ki, Toh Allah Uske Rizq ke liye Kaafi hai aur Allah Usko Waha se Rozi Dega, Jaha se usko Gumaan bhi nahi Hoga.
(Jaame Bayaan ul Ilmi wa Fazlihi : Safa 45, Old Edition)
Scan Page :
جامع بيان العلم وفضله_Page54
Is riwayat ke Ruwaat ki Tehqeeq Yeh hai :
1 – Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Hafiz ul hadees, Imam, Allama, Hafiz ul Maghrib aur Bade Huffaaz ul hadees me hai.
(Al A’alaam Liz Zirkali : Jild 8 : Safa 240)
(Seer Alamun Nubula : Jild 18 : Safa 153)
2 – Abu Yaqub Yusuf bin Ahmed Ash-Saidalaani al Makki Rh. Al Mutawaffa 388 Hij. bhi Motabar hai.
Unhone Imam Uqaili Rh. se Unki kitaab, Kitaab uz Zuaafa Naql Farmaayi hai.Continue reading 

Imam e Azam Abu hanifa Rh. ki Siqaahat, Sadaaqat wa Adaalat par Ek Imli Nazar.

Sultan ul Muhaddiseen, Sayyidul Fuqaaha Hazrat Al Hafiz ul Muhaddis ul Faqi al Imam al Azam Abu hanifa Noma’an bin Saabit Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. Siqa hi Nahi, Balke Aala Darje ke Siqa Muhaddis, Faqi aur Ilm e Hadees ke Maahir hai.
Aap ki Adaalat,Sadaaqat wa Siqaahat par Huffaaz wa Ulama ke Irshaadaat Darj e zail hai :
1 – Qaasim Bin Ma’an Rh. Al Mutawaffa 175 Hij. Farmaate Hai Ke Log Kisi Ke Paas Nahi Jiski Majlis Imam Abu Hanifa Rh. Zyaada Faide-Mand Ho.
2 – Hujr Bin Abdul Jabbar Rh. Farmaate Hai Ke Mai Ne Imam Abu Hanifa Rh. Ke Jaisa Nahi Dekha.
3 – Imam Sulaiman (Bin Mehraan) Rh. Al Mutawaffa 148 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Muttaqi Aur Sakhi The.
4 – Hazrat Yazeed Bin Haroon Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Imam Sufiyan Sauri Rh. Se Bade Faqi Hai.
5 – Imam Abdullah Bin Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Farmaate Hai Ke Logo Me Sabse Bade Faqi Abu Hanifa Rh. Hai Aur Maine Fiqh Me Unki Tarah Kisi Ko Nahi Dekha.
6 – Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Farmaate hai ke Maine Ek Shaks ko Dekha, Agar wo Tumse Is Sutoon [Pillar] ke bare me Dawa kare ke Soone ka hai, Toh use Daleel se Saabit Kardenge.
(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 29 : Safa 428-430)
Scan Page :
tkar29_Page430
6 – Imam Sufiyan Sauri Rh. Al Mutawaffa 161 Hij. Imam Abu Hanifa Rh. Ke Bare Me Farmaate Hai Ke Ahle Zameen Me Sabse Deen Ki Samajh Rakhne Waale Imam Abu Hanifa Rh. Hai.

Imam Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. ki Siqaahat Fuqaaha wa Muhaddiseen se.

Imam Abu Abdullah Muhammed bin Hasan Ash-Shaybaani Rh. Al Mutawaffa 189 Hij. Jaleel ul Qadr Muhaddiseen wa Fuqaaha me se hai.
Unke Tauseeq Darj e zail hai :
1 – Imam Shafii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai ke
Maine Imam Muhammed Rh. se Ek Ont [Camel] ke Booj [Weight] ke baraabar Ilm Haasil kiya hai.
Aur Agar wo Na hote Toh Mujh par Ilm ki Itni Raah na Khulti, Jitni Ab Khuli hai. (Shuzraat uz Zehb : Jild 2 : Safa 410)
Scan Page :
1
2 – Imam Abu Ubaida Rh. Al Mutawaffa 224 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Muhammed Rh. se Bada Koi Kitaab ullah ka Aalim Nahi Dekha. (Taarekh e Baghdad : Jild 2 : Safa 172)

Imam e Azam Abu Hanifa Rh. Ka Fatiha Khalful Imam par Ek Anokha Munazra.

Imam e Azam Abu Hanifa Rh. Ka Fatiha Khalful Imam par Ek Anokha Munazra.

Ek Din Bahut Se Log Jama Hokar Aaye Ke Qirat Khalful Imam Ke Masle Me Imam Sahaab Se Guftagu Kare.
Imam Sahaab Rh. Ne Kaha “ Itne Aadmiyo Se Mai Tanha Kyun Kar Bahez Kar Sakta Hu , Albatta Yeh Hosakta Hai Ke Aap Is Majme Me Se Kisi Koi Inteqaab Karle , Jo Sab Ki Taraf Se Is Khidmat Ka Kafeel Ho Aur Uski Taqreer Pure Majme Ki Taqreer Samjhi Jaaye”.
Logo Ne Is Baat Ko Manzoor Kar Liya.

No comments:

Post a Comment