Nabi ﷺ Ne Meraj Ki Raat Allah Ko Dekha - Did Prophet Muhammad ﷺ See ALLAH In Meraj

Nabi  Ne Meraj Ki Raat Allah Ko Dekha - 
Did Prophet Muhammad  See ALLAH In Meraj



KYA ALLAH عزوجل KO DEKHNA MUMKIN HAI ?

Aaye pehle ye jaan le k Deedar e Rabbul Aalamin عزوجل Mumkin hai ya nahi kyuki kaum e wahabiya sabse pahle bhagne ka raste yehi se shuru karti hai ye kehke hi bhagti hai k ALLAH عزوجل ko Dekhna mumki hi nahi par wo kehte hai ye ratta tota jamaat hai quran ki 02 04 ayat ratt marli kaum ko gumraah karne lage aaye iska jaiza hum Quran e Karim Aur Hadees e Nabvi ﷺ se le taaki haq aur wajeh hojaye k ALLAH عزوجل ko Dekhna Mumkin Hai Ya Mahaal Hai.
Wahabi Quran ki jis aayat ko bataur e dalil pesh karte hai wo hai
Quran Ayat 01 :

لَا تُدْرِكُهُ الْأَبْصَارُ وَهُوَ يُدْرِكُ الْأَبْصَارَ ۖ وَهُوَ اللَّطِيفُ الْخَبِيرُ 

“Koi Aankh Uska Ehaata Nahi Kar Sakti Aur Har Aankh Uske Ehaate Me Hai”
(Surah Anam Ayat 103)
Is aayat ko pesh karke wahabi kehte hai k ALLAH عزوجل ka deedar Mumkin Nahi Hai Halanki is aayat me ye saabit nahi hota k ALLAH عزوجل  ka Deedar Namumkin Nahi Hai balki logo ki Salahiyat ki Nafi Kiya Hai k Logo ki Ankho Me Wo Idraak Nahi Hai Jo Allah عزوجل ki Tajjaliat ko Bardast Kar Sake.
To Phir Jiski Aankho Me ALLAH عزوجل wo Idraak Ata kare Uske liye jarur Mumkin Hai k Wo ALLAH عزوجل ka Deedar Kar Sake.
Aaiye Quran dusre Makam par Allah عزوجل kya Farmata hai Deedar k Talluk se taaki masla bilkul clear hojaye.  
Quran Ayat 02 :
  وَلَمَّا جَاءَ مُوسَىٰ لِمِيقَاتِنَا وَكَلَّمَهُ رَبُّهُ قَالَ رَبِّ أَرِنِي أَنْظُرْ إِلَيْكَ ۚ قَالَ لَنْ تَرَانِي وَلَٰكِنِ انْظُرْ إِلَى الْجَبَلِ فَإِنِ اسْتَقَرَّ مَكَانَهُ فَسَوْفَ تَرَانِي ۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُ لِلْجَبَلِ جَعَلَهُ دَكًّا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقًا ۚ فَلَمَّا أَفَاقَ قَالَ سُبْحَانَكَ تُبْتُ إِلَيْكَ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُؤْمِنِينَ
“Aur Jab Moosa Hamare Waade Par Haazir Huwa Aur Usse Uske Rab Ne Kalam Farmaya Arz Ki Aye Rab Mere Mujhe Apna Deedar Dikha Ki Tune Tujhe Dekhu, Farmaya Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega
Haa Is Pahad Ki Taraf Dekh Ye Agar Apni Jagah Par Tehra Raha To Bahot Jald Tu Mujhe Dekh Lega
Phir Jab Uske Rab Ne Pahad Par Apna Noor Chamkaya Usse Tukde Tukde Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Huwa Bola Paaki Hai Tujhe Main Teri Taraf Ruzu Laaya Aur Mai Sabse Pehla Musalman Hoon”
(Surah Al Aaraf Ayat 143)
Tafseer E Jalalayn Jisko Do Bade Muhaddis Mufasir Mujadid ne Milke Mukammal Kiya
1) Imam Jalaludin Al Mahalli (2)Imam Jalaludin As Suyuti Ash Shafai
Iski Tafseer me Likhte Hai
Tu Mujhe Hargiz Na Dekh Sakega iska matlab hai k Tum me Dekhne ki Salahiyat Nahi Hai isliye Allah عزوجل Ne Yaha Quran me Lafz  (LAN TARANI لَنْ تَرَانِي ) istemal huwa Naaki LAN URA Jiska (Dekhna Na Mumkin Hai) Jis se Pata Chalta Hai K Allah عزوجل ko Dekhna Mumkin Hai aur Aage Farmaya Agar Pahad apni Jagah Rahe To Bahot Jald Mujhe Dekh Lega”
(Tafseer E Jalalayn Vol : 01, Pg : 167, Under Surah Al Araf Ayat 143)


Hakim Al Mustadrak me Hadees e Paak Hai Jisme Hai k Moosa عليه السلام ne Tazaliat e Rabbani k Noor ka ek Halka sa Mushaida kiya jo Fakat Sabse choti Ungli k Nakhoon K Chote se Hisse k barabar hi jhalak dekhi aur Behosh hogaye.

Is aayat se ye pata chala k Allah عزوجل  ko Dekhna Mahaal  Nahi Hai Aur Ambiya ki ye shaan nahi hai k ALLAH se Mahaal Chiz ka sawal aur ilteza bhi kare Agar Allah Chahe to Deedar karade ALLAH عزوجل  k Liye ye Namumkin Nahi Hai.Ab aaye ek aur Aayat e Mubarika Deedar E ALLAH عزوجل K MUTTALIK taaki aur baat samajh aajaye
وُجوهٌ يَومَئِذٍ ناضِرَةٌ
إِلىٰ رَبِّها ناظِرَةٌ
“Kuch Muh (Faces) Us Din Taro Taaza Honge Apne Rab Ko Dekhte”
(Surah Qiyamah Ayat 22 - 23, Surah No 75)
Subhan Allah is aayat e Mubaraka se ye pata chala k Allah عزوجل ka Deedar Namumkin to nahi aur hadees e paak me bhi aata hai k Jannat me Musalman Apne Rab ka deedar karenge. Alhamdullilah
Ab iski taid me ek hadees e paak bhi pesh e nazr hai.

Hadees :
”Hazrat Adi ibn Hateem رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k Rasoolullah ﷺ ne farmaya Tum Me Se Har Koi Anqareeb Apne Rab se Kalam Karega is haal me koi Parda Na Hoga Tum Rab se Kalam Karoge aur Be Hizab Deedar Bhi Karoge”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees :7443)
(Sunan ibn Majah, Kitabus Sunnah/Kitabul Mukaddamah, Hadees : 185)
(Musnad E Ahmad Vol : 04, Pg : 360)

Isi Tarah Allah عزوجل k deedar k Muttalik Bahot si Hadees Shaheed Hai. Alhamdullilah In daleel se ye wajeh hua k ALLAH عزوجل ka Deedar Namumkin to Nahi jab ek Musalmaan behizab Rab Ka Deedar karega to Kya Meraj Me Nabi e Karim ne Rab ka deedar Na kiya hoga.

2) KYA MERAJ KI RAAT ME NABI صلى الله عليه وسلم NE ALLAH عزوجل KA DEEDAR KIYA HAI ?
Is Masail me Salf Salaheen ka ektelaf hai k Allah عزوجل  k Nabi ﷺ ne Meraj Ki raat me Allah زوجل  ka Deedar kiya ya nahi Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddika Tahira Radi Allaho Anha aur Baaj Sahaba e Kiram Radi Allaho Anha Azmain ne farmaya k Meraj me Aap ﷺ ne Allah عزوجل  Ko Nahi Dekha aur In Hazraat ne ما كَذَبَ الفُؤادُ ما رَأىٰ (Surah Nazm Ayat 11) “Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha” is aayat ki tafseer me farmaya k Allah زوجل   ka Nahi Balki Roohul Jibril E Ameen Alaihi Salam ko unke asli shaklo surat me dekha unke unke 600 par (wings) the, aur baaj Salaf ne jaise Saeed ibn Jabir jo mashoor Tabai hai unhone kuch bhi kehne se tawaako (Silent) farmaya aur Sahaba wa Tabain ki bahot badi jamaat ne kaha k Nabi e Karim ne Allah Ka Deedar Apne Matho ki Aankho se kiya hai”   (Imam Qazi Al Ayaz Ash Shifa Shareef Vol : 01, Pg : 120) Ahle Sunnah Wa Jamaat ka Maslak O Mazhab majority Sahaba Tabaeein Fukaha Muhadeesin k taraf hai aur wo ye hai k Allah K Nabi ﷺ ne Meraj Ki Raat ALLAH عزوجل  ka DEEDAR apne MATHO ki aankh se kiya.
Ye humne dono maamlaat saaf saaf likh diye ab aaye mukhalifeen ki dalil aur apne jawabat ki taraf.
Musalmano me mauzoda jamane me Gair Mukallid Wahabi ye kehte milenge k Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ka Deedar nahi kiya aur apni is baat ko sahi saabit karne k liye wo dalil denge 02 hadees ye wo tabka hai jiska daawa hai sabse zyada padha likha hone ka magar jab inki kabiliat aur ilm ka jaiza lo to pata chalta hai inke paas hai kuch nahi siwaye chand khawarij Mullao ki takreero se siwa jo sunte hai wohi bulte hai tote ki tarah ab jo dalil ye dete hai deedar na karne ki wo ye hai pehle ispe tabseera kare phir hum us hadees ki taraf roshni daalenge jo sabse zyada ghoti jaati hai khwarij mullao ki taraf se ab aaye Kaum e Wahabiya k Dalil Ka Tehkeeki Jaiza le.
WAHABIYO K NAA DEKHNE WAALI DALIL KA JAIZA
Dalil Ya Objection 01 Kaum E Wahabiya ki Taraf Se  : Hadees :  
Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat k Unhone Rasool Allah ﷺ Se Pucha Kya Aap ne Rab Ta’ala ko Dekha ?
Farmaya Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon ?

(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)
Is hadees se ye batane ki koshish ki kaum e wahabiya ne k ALLAH  عزوجل  ko NABI ﷺ ne Ne Nahi dekha.  
Ab iske baad hi dusri Hadees hai wo bhi dekhe jispe dekhna Saabit Hai aur in dono hadeeso pe tabseera karen phir

Hadees :
Hazrat Abdullah bin Shaqik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Maine Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Se Kaha Agar Mai Nabi e Karim ﷺ ko dekhta To Mai Aap Huzoor ﷺ Se Puchta.
Hazrat Abu Jarr  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Aye Shaqik Tum Kya Puchte ?
Farmaya Mai Puchta Aye Allah K Nabi ﷺ Kya Aapne Allah ko Dekha Hai ?
Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Aye Shakik Maine Pucha Tha Aur Rasool Allah ﷺ ne Farmaya MAINE NOOR KO DEKHA
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 342 English Version)
Pehle Hadees No. 341 ye galat translation ki gayi kaum e wahabiya ki janib se jiska sahi tarjuma hum aage karenge kyuki ye wrong translation karke kaum e wahabia k chote chote mendak watsapp facebook me tableeg kar rahe hai isliye iska khulasa karna jaruri hai.
Agar iske wohi maane liye jaaye jo wahabio ne bayan kiye hai to iske baad waali Hadees no 342 aur 341 me Tazaad (Contradiction) saaf nazar aayga ek me kaha gaya hai k NOOR HAI MAI KAISE DEKH SAKTA HOON wahi dusri very next hadees no 342 me likha hai k MAINE NOOR KO DEKHA ab ek me Naa dekhna saabit horaha hai dusre me DEKHNA Saabit horaha hai aur wo bhi dono k raavi me bhi ek hi naam Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka hai ye mumkin hi nahi k wo ek jagah kuch kahe aur dusri jagah kuch aur Imam Muslim رَضِیَ اللهُ عَنْهُ koi Raah chalte Aalim nahi the apne daur k Sabse bade Muhadiseen me se hai jinka ilmul hadees kisi se chupa nahi hai wo ye galti kar hi nahi sakte k do hadees is tarah laaye wo bhi ek k baad ek to phir iska maane kya hai ?
Yaha Dhyan se padhe Maazra ye hai k hadees k translation me ghotala kiya wahabio ne jaha se Dekhna Saabit horaha tha waha se naa dekhna saabit karne lage wo bhi tarjume ko change karke ab aaye hum word to word arabic se translation karen taaki saamne sab clear ho jaaye.

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شَقِيقٍ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ، قَالَ سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم هَلْ رَأَيْتَ رَبَّكَ قَالَ ‏ "‏ نُورٌ أَنَّى أَرَاهُ ‏"

Puri Sanad Imam Muslim ne likhi aur wo sanad aakhir me Sahabi E Rasool ﷺ Hazrat Abu Jarr tak pahuchayi hadees ka sabse important word humne red mark kiya hai jiska translation word to word karenge.

Hazrat Abu Jarr رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat k Unhone Rasool Allah ﷺ Se Pucha Kya Aap ne Rab Ta’ala ko Dekha ?
Farmaya Wo NOOR Hai ( ‏ نُورٌ), Maine Usse Dekha (أَنَّى أَرَاهُ ‏)
Reference:
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 178 Arabic)
(Sahi Muslim Hadees : 341 English Version)
ye hai hadees e paak ka sahi translation magar badmazhabo ne translation me kya likha k  Wo NOOR Hai Mai Kaise Dekh Sakta Hoon
Now word to word translation taaki aur aasani se samajh aajaye.
نُورٌ   = Wo Noor Hai (He Is Light)
أَنَّى  = Mai, Mujhe, Mai Khud (I, Me, Myself)
أَرَاهُ  = Dekha Usse (Saw Him)
Ye hai hadees ki sahi tashreeh magar badmazhabo ne tarjume me khayanat dikhayi aur hadees k tarjume ko badal k awaam k saamne pesh kiya ALLAH عزوجل badmazhabo k makar o fareb se mehfooz farmaye. Humne unke galat tarjume aur apne sahi dalail se ek dalil abhi saabit ki deedar hone ki hadees e sahi se. 
Dalil Ya Objection 02 Kaum E Wahabiya ki Taraf Se  :
HADEES E UMMOL MOMINEEN AYESHA SIDDIKA RADI ALLAHO ANHA
Is Hisse ko Hum 02 Parts me divide karte hai aur Compare Karenge bilkul clear words me taaki shak o subhat ki koi gunjaish na rahe. A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Sahabi Se Rivayat Hadees B) Hazrat Abdullah ibn Abbas Sahabi se rivayat hadees aur Hazrat Masruq Tabai se Rivayat Hadees A) Hazrat Masruk Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik Sahabi Se Rivayat Hadees Ka Bayan Aur Jaiza Hadees :  
“Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai k unhone Ummul Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se Suna k Unhone Farmaya  Jo Ye Kahe K Nabi E Karim ﷺ ne Allah Tabarakwatala ko Dekha Hai Wo Jhoota Hai
References :
(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab No 97, Kitabut Tawheed, Hadees : 7380)
Isi Tarah ki Hadees ko kuch alfaz k changes k saath Imam Muslim ne likha hai
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 177)
Yehi Sunaya jaata hai awaam ko aur is hadees ko base banake Kaum e Wahabiya k nanhe nanhe muballig jo fakat 02 04 takreer sun english me wahabi aur christian website padh watsapp facebook munazir bane ghumte hai wo msg k through aur inke mullahs apne speech me ye bayan karte hai k dekho hadees me aaya k jo ye kahe K Nabi e Karim ﷺ ne Allah ka deedar kiya wo jhoota hai par ye la ilm kaum akal,muttala se khali hai jo na aimma ko maanti hai fukaha ko na sharain ko bas jo apne dil ka accha laga jo akal me samaya usko maanti hai lekin bas ek hadees padhke aap pura akeeda nahi bana sakte iske liye mazeed muttale ki jarurat hai.
Ab Aaye Hum ussi Bukhari Sharif ki dusri hadees Likhte hai
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne jo ke Sahabi hai unhone ek taveel riyavat bayan ki Safar e Meraj ki jo unone Nabi E Karim ﷺ se Suna hai us hadees ka hum wo hissa likh rahe hai
Hadees :
حَتَّى جَاءَ سِدْرَةَ الْمُنْتَهَى وَدَنَا الْجَبَّارُ رَبُّ الْعِزَّةِ فَتَدَلَّى حَتَّى كَانَ مِنْهُ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hai “Pura Meraj ka Wakya Bayan kiya”.... Fir Kehte hai “Huzoor Sidratul Muntaha Par Tashreef Laaye aur Izzat Waala Jabbar (Allah ) Yaha Tak K Karib Huwa Aur Nazdik Aaya k Do Kamano Ya Is Se Bhi Kam Ka Faasla Reh Gaya”
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7517)
Ab aaye Hum dekhe dusri hadees Hazrat Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ waali bhi hai jo bahot si kutub e hadees me alag alag sanado se aayi hai wo dekhenge (B) part me filhal ye hadees k hisse me thodi tehkeek

A) Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Tabai se rivayat Hadees Aur Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sahabi Se Rivayat Hadees ko dekhe in dono hadees me hume kis taraf jaana chahye ek aam musalmaan kaise samjhe k kis ko follow karen.
Point Wise :
1) Awwal to ye Jab Wakya E Meraj Huwa us wakt Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ki umr 04 baras ya 06 baras thi aur wo Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم K Nikaah me bhi naa aayi to unhe is masle ka mukkamal ilm na tha aur agar baad me unhone ye bayan bhi kiya hai to ye Kaul e Umool Momineen Hai jiske baare me Aimma Fukaha ne likha hai k Umool Momineen jo na dekhne ki baat kahi hai wo is dunaya me rehte huwe na dekhne ki baat kahi hai par Hamare Nabi صلى الله عليه وسلم ne ALLAH عزوجل ko is dunya me nahi balki Laa Maka me apne Matho ki aankh se dekha hai.
2) Sanad pe behas Hazrat Ayesha Siddika Radiallahu Anha ka Kaul Bayan huwa hai Hazrat Masruq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se Joke ek Tabai Hai. To Yaha Sanad (Chain) pahuchi Tabai se Sahabiya tak.
Chain : Hazrat Masruk رَضِیَ اللهُ عَنْهُ - > Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Yaani Tabai se Sahabiya tak.
3) Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ joke Khud Jalilul kadr sahabi hai unki rivayat hai direct Rasool Allah صلى الله عليه وسلم  se Yaani ki Sanad Sahabi se Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  tak pahuchi.
Chain : Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  - > Huzoor e Akram صلى الله عليه وسلم  Tak Sahabi se Nabi E Karim ﷺ Tak.
To Ab is masle me usool (Kanoon) ye hai k hum Farmaan e Nabi ﷺ ko tarjeeh denge aur uspe akeeda banaynge naaki us hadees pe jispe Kaul e Sahaba hai aur ye baat koi hamari aajki dalil nahi hai Shara e Hadees bhi yehi kehte hai chunache
Sabse Motebar Shara e Bukhari Me se ek Imam Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  is hadees ki shara me likhte hai wahabi maulvi khud inhe bahot maante hai.  

عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولهاTranslation : “Hazrat Maruzi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه se pucha k Log Kehte hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ne Kaha k Jo ye Kahe K Nabi ﷺ Ne Allah عزوجل ka deedar kiya wo Jhuta Hai iska kya jawab hai.
Hazat Imam Ahmad Ibn Hambal رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  Farmate hai jab Nabi e Karim ﷺ ne khud Irshad Farmaya ( رأيت ربي ) MAINE MERE RAB KO DEKHA ye jawab Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha Ka  k kawl ka hai Kyuki Nabi e Paak ﷺ ka Farman Ummol Momineen Ayesha Siddika Radiallaho anha Se Zyada BADA (Superior) Hai”
(Fath Ul Baari Shara e Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 494)
Allama Ibn Hajar Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  ne yaha pure masle ka hi khulasa kiya k hum usko Follow karnge jo Nabi e Karim Rauf o Raheem ﷺ Ne farmaya yaani NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA hai wo bhi Imam Ahmad Ibn Hambal ka farman yehi hai wahabi aaj dawa bahot karte hai Imam Ahmad ibn Hambal ko maan ne ka yaha tak k pura saudi Fiqah e Hambli pe chalta hai unka bhi yehi akeeda k NABI NE ALLAH عزوجل KO DEKHA HAI.
Kya karenge Wahabi Agar Apne Abba k acche bacche hai to Lagaye Fatwa Hazrat Anas ibn Malik pe Imam Ibn Hajar Asqalani pe Imam Ahmad ibn Hambal pe Radiallaho anha azmain pe ? Kisi maa ne wo beta jana hai to dikhaye hume bhi fatwe.  
Takreero me kehte hai wahabi jo ye Kahe K Nabi ﷺ  ne Allah عزوجل ko Dekha wo kafir hai Nauzubillah abhi aage dekhe hum kitne hawale denge inko dekhne naani yaad aajaygi pyjama gila hojaynge pura padhne k baad inke mullo aur facebook watsapp muftio k khokle gande chehre saamne aajaynge.
B) Mufassire e Quran Sahabi e Rasool  ﷺ Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat hadees e Paak.
Iske pehle hadees bayan kare hum Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka makam aur martaba bayan karde taaki koi wahabi ye na kahe kiski hadees likh di.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate Hai
“Ek baar Nabi e Karim Ne Mujhe Apne Sine (Chest) Se Lagaya Aur Dua Ki Aye ALLAH Abdullah ibn ABBAS رَضِیَ اللهُ عَنْهُ KO Quran Ka Ilm Aur Hikmat Ata Farma”
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Zikr Ibn Abbas, Hadees : 3756)
(Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4195)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab Us Sunnah, Hadees : 171)
ye Makam hai Sahaba me jinke Haq me Quran ki Samajh ki dua Khud Nabi e Akram ﷺ ne Ki aur Hazrat Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ khud Sahaba e Kiram ki jamaat me sabse pehle Muffasir huwe aapki Tafseer Ibn Abbas k naam se mashoor hai.
Ab aaye Meraj Un Nabi ﷺ Me ALLAH عزوجل k deedar k talluk se hadees Yu To Ibn Abbas se rivayat bahot si kutub me hai par yaha hum 02 likh rahe hai mulahiza kare.
Hadees :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Hum Bani Hashim Kehte Hai beshak Nabi e Karim ne ALLAH ka Deedar Kiya”
(Jamai Tirmizi, Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3201)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees ko HASAN kaha Hai

Hadees :
Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Apni Musnad me nakl kiya rivayat hai
قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلم رأيت ربي عزّ و جل
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan farmate hai k RASOOL ALLAH ne farmaya MAINE MERE RAB KO DEKHA
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol : 01, Pg : 285, Print : Al Maktab Al Islami, Beirut)
(Imam ibn Asim Vol : 01, Pg : 188, Hadees : 433)
(Imam Haythami  Al Majmau Zawaid , Vol : 01, Pg : 178)
Imam Jalaludin Suyuti ne Khasais Al Kubra Vol : 01, Pg : 161 pe likha ye Hadees Sahi Hai.
Imam Abdur Rauf Munadi ne Tahsheer Shara Jama as Sageer Vol : 02, Pg : 25, Maktaba Riyadh me Likhte hai ye hadees Sahi Hai.
Ab Aaye Is Hadees pe bhi Sharain ka jawab padhe Chunache Imam Nawawi Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   likhte hai
“Jab ye Baat Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   ki Hadees e Sahi se Sabit Hai to Hum ye Guman Nahi karte k ye unka apna KAWL hai Unhone ye Rasool Allah se Sunke Hi Farmaya Hai,
Ma’mar ibn Rashid (Tabain) ne Umool Momineen Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k ektelaf k baare me kaha k Ummool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha ko us wakt is masail me pura Ilm na tha, Jabki Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   isko saabit kar rahe hai aur kuch log Nafi kar rahe hai to Usool k mutabik Masbat ko maana jayga Naki Nafi (rejection) Ko”
(Shara E Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Baab : Allah K Nabi Ne Deedar Kiya)
Imam Nawawi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   bhi Deedar waali hadees ko accept kar rahe hai.
Ab aaye dusri ek aur dalil aaj kaum e Wahabiya Huzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ko maan ne ka bahot daawa kar rahi aur kitabo pe kitabe chaap rahi hai sirf is baat ko saabit karne k liye k Gaus e Paak Ahle Hadees the goya Awaam ko ye batana chah rahe hai k Gaus e Aazam ka akeeda aur wahabiya ka akeeda ek ho magar hum challenge karte hai kaum e wahabiya ka koi ek bhi nazariya aur akeeda aisa nahi jo Wahabio ka Gaus e Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se mel khata ho balki aqaid me wo AHLE SUNNAH k aqaid pe hi the aur fiqh me Imam Ahmad ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   k mukallid the.
Chunache uzoor Sayyidi Shaikh Abdul Qadir Jilani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  kya farmate hai padhe unki maarakatul aara kitab GUNYATUTALIBEEN me.

“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   farmate Hai ki Hazrat Ibrahim عليه السلام Ko Khullat Mili , Hazrat Moosa عليه السلام ko Kalam aur Muhammad ﷺ Ko Deedar E Ilahi Haasil Huwa.
Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   Ne ye bhi farmaya Muhammad ne Apne Rab Ko Apne Matho ki Aankho Se DO baar Dekha. Ye rivayat Hazrat Ayesha Siddika Radi Allaho Anha k Us Rivayat se Maarij Nahi Jo Ro’eet k Inkaar Me Marvi Hai Isliye k Isme Nafi Hai aur Rasool Allah ne Apne Ro’eet ka Isbaat Farmaya Hai.
Hazrat Abu Bakr bin Suleman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka Kaul Hai k Rasool Allah ne apne Rab Ka deedar 11 martaba Kiya , 9 Baar Ka Saboot Hadees E Paak se milta Hai Jab ki Aapne Hazrat Moosa عليه السلام aur Allah عزوجل k Maa’bain Takhfeef E Namaz K Liye Baar Baar Gaye
aur 50 Wakt Ki Namaz K Bajaye 5 wakt Namaz Farz Ki Gayi (45 Baar Ki Takhfeef Hogyi) Ye Sunnan Nabvi se saabit hai aur 02 baar ALLAH ka deedar Quran Se Saabit Hai. (Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186)

3) DEEDAR K TALLUK SE AIMMA MUHADISEEN FUKAHA KA KYA AKEEDA THA ?

Sahaba E Kiram Rizwanullahi Azmaeen Ki Jamaat Ka Aqeeda  

“Hazrat Abdullah bil Al Haris رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne rivayat kiya hai k Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  aur Hazrat Kaab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ek Mazlis me Jama Huwe to Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne farmaya koi Kuch bhi Kehta Rahe Lekin Hum Bani Hashim K Log Yehi Kehte Hai k Bila Shuba Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ  ne Yakinan Apne Rab عزوجل ko Meraj Me Do Martaba Dekha. Ye Sunkar Hazrat Kaab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ne Is Zorse Naara Maara k Pahadiya Gunj Uthi Aur Farmaya Beshak Hazrat Moosa عليه السلام ne Allah عزوجل se Kalam Kiya Aur Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne Allah عزوجل ko Dekha”
(Tafseer Ibn Kathir Surah Nazm Ayat 05)

Hazrat Abu Jarr Gaffari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne ما كَذَبَ الفُؤادُ ما رَأىٰ (Surah Nazm Ayat 11) “Dil Ne Jhoot Na Kaha Jo Dekha” is aayat ki tafseer me farmaya hai k Nabi ﷺ  Ne Apne Rab عزوجل Ko Dekha.
Isi tarah Hazrat Muaz Bin Jabal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ne Huzoor E Akram ﷺ  Se rivayat Kiya Hai ‘Maine Apne Rab Ko Dekha’
Muhaddis Imam Abdur Razzaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Naakil Hai k Imam Hasan Al Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  is baat par halaf uthate the k yakinan Nabi e Karim ﷺ  Ne Apne Rab Ko Dekha aur baaj Mutakkalimeen ne Nakal kiya Hai k Hazrat Abdullah ibn Masoodرَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ka bhi mazhab yehi tha aur ibne Isaaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Likhte hai k Hakim e Madina Marwaan ne Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se Sawal kiya k Kya Hazrat Muhammad ﷺ ne Apne Rab ko Dekha To Aapne Jawab Diya “JEE HAA”

Isi tarah Nakkash ne Hazrat Imam Ahmad Ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k baare Me Zikr Kiya Hai k Hazrat Imam Ahmad Ibn Hambal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Farmaya Mai Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k Mazhab Ka Kayal Hoon wo ye k Meraj me Huzoor e Akram ﷺ ne ALLAH KO DEKHA DEKHA DEKHA … Itni Der Tak Wo DEKHA kehte Rahe Hatta k Unki Saans Toot Gayi”
(Qazi Al Ayaz Ash Shifa Vol : 01, Pg : 119/120)

Sahaba,Imam Hasan Basri, Imam Abdur Razzak  Rizwanullahi Azmaeen Ka Akeeda


Imam Ibn Khuzaima رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Urwa ibn Zubair رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k hawale se likha “Hazrat Urwa ibn Zubair رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate the NABI E KARIM ﷺ  ne MERAJ Ki raat ALLAH عزوجل ko Dekha
و انه كان يشتد عليه إنكارها Jab Koi Is Baat Ka Inkaar Karta to Sakht Gamgin Hojate”
(Sharha Zarqani ala al-Mawahib, Vol 1, Page 116, Print : Dar al Ma'arifah - Berut)


Urwa ibn Zubair  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ye Siddik e Akbar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ K Pote (Grandson) Hai Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha K Bhanje Hai Us Lihaj se riste me Rasool Allah ﷺ k Bhanjne Bhi Huwe Jalilul Qadr Tabain hai aur yehi akeeda Tabain ki Bahot badi Jamaat ka Tha.
Sayyiduna Kaab Ah'baar  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Jo Pehle ki Kitabo k Aalim The
Imam Ibne Sha'haab Zahri Qarshi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   

Imam Mujaahid Makh'zoomi Makki رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  

Imam Akrama bin Abdullah Madani Haashimi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ

Imam Ata bin Rabah Qarshi Makki (Radi ALLAHu Ta'ala Anho) (Ustaaz Imam Abu-Hanifa رَضِیَ اللهُ عَنْهُ )
Imam Muslim bin Sabeeh Abud-Duha Kufi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  aur bhi bahot se jalilud qadr Tabain Tabe tabain ka yehi Akeeda tha k Nabi e Karim ﷺALLAH ka Deedar Kiya

Imam Abdur Razzak (Ustaad e Imam Ahmad ibn Hambal /Imam Bukhari rahimullah Ta’ala Azmain )  inhone apni Musannaf Me Apne Ustaad Imam Mau’maar Se rivayat kiya
Ibn Khuzaimah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ SAHI SANAD k saath rivayat karte hai Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hai Muhammad Ne ALLAH KO DEKHA, yehi rivayat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Hai aur Unke Shagird jaise Kaab Al Ahbaar, Zuhiri and Mamar se hai, Imam Abdur Razzaq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Mamar se rivayat ki k Imam Hassan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ kehte They Mai HALAF (Kasam) Uthata Hoon K Muhammad Ne ALLAH KO DEKHA, ibn Khuzaima Ne ALLAH Ka DEEDAR hona Hazrat Urwa ibn Zubair Se Bhi Saabit Kiya Hai.
(Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 19, Pg : 198)
(Shifa Sharif Vol : 01, Pg : 159)
(Tafseer Abdur Razzak, Hadees : 2940)
Imam Hasan Al Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ye Shagird hai Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ k Aur Ummool Momineen Umme Salama Radi Allaho Anha Ka Shikam (Dudh) Nosh Kiya Hai hatta k chote pan me rivayato me aaya hai k Rasool Allah k GODH mubarak me khele hai Saare Silsila e Tariqat Hasan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se milte hai ye makam hai unka tamam Muhadis inke Ilm k aage sar kham karte nazar aate hai.
Hazrat Hasan AL Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Kasam Khana is baat k liye ALLAH K NABI ﷺ NE ALLAH KO DEKHA ye koi Mamuli baat nahi hai Jo hadeeso ki rivayat me Imam Hasan Basri k Makam ko nahi samjhe wo hadees ko kya samjhega.
Imam  Tabrani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ka Akeeda  واللفظ للطبرانى عن ابن عبّاس قال نظر محمد الى ربه  قال عكرمة فقلت له نظر محمد الى ربه ؟ قال نعم ! جعل الكلام لموسى والخلة لإبراهيم والنظر لمحمد صلى الله تعالى عليه و سلّم ( زاد الترمذى ) فقد رأى ربه مرتين “Imam Tabrani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne likha Sayyidina Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Farmaya Rasool Allah ﷺ  ne ALLAH KO DEKHA.
Hazrat Ikrama رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  , ne Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Puche Kya Allah K Rasool Ne ALLAH KO DEKHA ?? 
Hazrat Abdullah Ibn Abbas ne Farmaya HAA, ALLAH NE MOOSA عليه السلام  SE KALAM KIYA, HAZRAT IBRAHIM عليه السلام  KO DOST BANAYA AUR RASOOL ALLAH ﷺ  KO APNA DEEDAR KARAYA” (Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 9392, Print : Maktaba Maarif Riyadh)
عن عبد الله بن عبّاس انه كان يقول ان محمدا صلى الله تعالى عليه و سلّم رأى ربه مرّتين مرّة ببصره و مرّة بفواده
Sayyidina Abdullah ibn Abbas farmate hai “Hakikat Muhammad ne ALLAH ko Do baar Dekha, Ek Baar Apni Matho k Aank Se (physical eyes) Aur Ek Baar Kalb Ki Aankho Se”
(Imam Tabrani Al Maujam Awsaat , Vol : 06, Pg : 352, Hadees : 5757, Print : Maktaba Maarif Riyadh) (Imam Qastalani Al Mawahib Al Laduniya Vol : 03, Pg : 104, Maktab Islami Berut)
Imam Jalaludin Suyuti, Imam Qastalani, Allama Shami Aur Allama Zarqaani Radi Allahu Anho Azmain ne kaha ye Hadees Sahi hai. (Mawahib al-Ladunniya , Vol 3, Page 105 Print : Maktaba Islami - Berut) (Sharha Zarqani ala al-Mawahib , Vol 6, Page 117, Print - Dar al Ma'arifah - Berut)

Imam Ibn e Asakir Ash Shafai رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ka Akeeda
قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وسلّم قال لي ربي نحلت إبراهيم خلتي و كلمت موسى تكليما و أعطيتك يا محمد كفاحا
“Hazrat Abdullah ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai Rasool Allah ﷺ  ne Farmaya ALLAH RABBUL IZZAT ne Mujh se Farmaya Maine Apna Khalil Hazrat Ibrahim Ko Banaya Aur Moosa se Kalam Kiya Aur Aye Mehboob Maine Tumse Mulakat Ki (Meeting In Meraj) Jaha Tumne Mujhe Behizab Dekha”
(Tarikh E Damishq Al Kabir, Vol : 04, Pg : 424, Print : Daral Imaan Madina Munawwarah)
Imam ibn Jarir Tabari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Tafseer E Tabari Surah Nazm Ayat 11 ki tafseer me likha
“Isa ibn Ubaid رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne kaha Ikrama رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Sawal Huwa Kya Nabi e Karim ﷺ ne ALLAH Ko Dekha, Unhone Kaha HAAN UNHONE APNE RAB KO DEKHA ”
(Tafseer E Tabri Under Surah Nazm Ayat 11) Allama Ibn Hazar Al Asqalani رَضِیَ اللهُ عَنْهُ   Ka Akeeda
“Meraj Me Aap ﷺ Ne Apne Sar Ki Aankho Se Jamal E Ilahi Ka Deedar Kiya”
(ibn Hajar Asqalani Futuhool Baari Shara E Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 186, Kitabul Manakib, Baab Al Meraj, Hadees : 3888)
Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani Gaus E Aazam رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  apna akeeda likhte hai
“Hum Imaan Rakhte Hai ki Rasool E Khuda Ne Shab e Meraj Me Apne Rab Ko JIsmani Aankho Se Dekha Dil Ki Aankho Se Nahi Aur Na Khwab Me.
Hazrat Jabir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ki rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ Ne farmya Maine Apne Rab Ko Rubaroo Dekha Isme Koi Shak o Subaha Nahi Aur Farmaya ki Maine Usko Sidratul Muntaha K Pass Dekha Yaha Tak Ki Rab K Jalwe Ka Noor Mere Saamne Jaahir Huwa”
(Guniyatutalibeen, Baab Shab e Meraj Ka Bayan, Pg : 186) Imam Shahabudin Khafazi ne apni Shara e Shifa me likha Hai
“Sabse Motebar Kawl Yehi Hai K Meraj Ki Raat Nabi e Karim Ne Allah Ka Deedar Apni Matho Ki Aankho Se Kiya Jispe Mutadir (Majority) Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain ka Izma Hai”
(Naseem Ur Riyadh Fi Sharh Ash Shifa Vol : 02, Pg : 303)
Allama Muhammad ibn Tahir Al Hind Al Patni (948 Hizri) apni kitab Majmaul Bihar Al Anwaar me is hadees k lafz كفاحا k muttalik likhte hai
“ALLAH ne Apne Mehboob Pe kuch is tarah Karam Farmaya k BILA HIZAB APNA DEEDAR KARAYA aur Jaha Farishto ki bhi dakhal na thi”
(Mazma Ul Bihar, Vol : 04, Pg : 424, Print : Daral Imaan Madina Munawwarah)
Ali ibn Abd-al-Malik Hussam Al Muttaki Al Hindi Ka Akeeda
“Imam Muhadis ibn Asakir  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Hazrat Jabir ibn Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivayat kiya k Rasool Allah ﷺ ne Farmya
Beshak Allah Ne MOOSA  عليه السلام  Se Kalam Kiya aur Maine ALLAH KA DEEDAR kiya Aur ALLAH ne MUJHE MAKAM E MEHMOOD (Shafat) diya aur Hauz e Kausar Ata Kiya”
(Kanj Al Ummal, Vol : 14, Pg : 447, Hadees : 9407, Moasasa Risalah Beirut)
Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Ka Akeeda - Shaikh Abdul Haqq Muhaddis e Dahelvi Al Hindi, Imam Jalaludin Shafai ka Akeeda
Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se Pucha K Kya Nabi E Karim Ne Allah Ka Deedar Kiya Hai, Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ne Kaha Haan Kiya Hai. Is Par Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ unse Muttafik Huwe aur Unki Baat Ko Raddh Na Kiya”
(Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dahelvi ne Ashaat Ul Lamaat Shara E Mishkat, Vol : 04, Pg : 431)
(Imam Jalaludin Suyuti ne Al Durr Al Mansoor , Vol : 07, Pg : 170, Under Ayat 18 : 53, Dar Al Ihya Beirut)


Humne Alhamdulillah 
عزوجل, Farman e Mustafa se Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain Ki Badi jamaat Se Tabain, Tabe Tabain, Fukaha Aimma Muhadiseen Ulema Rahmatullahi Alaihi Azmain Sabke Aqaid iske talluk se likhe aur bhi hazaro dalail shaheed jo yaha bayan na ki gayi hai agar ab bhi koi in tamam dalil ko thukrake apni hi akal aur hatt dharmi me zinda rahe to aiso ka koi ilaaz nahi hai ab Faisla unhe khud karna hai k wo kisko follow kare itne bade bade jo Islam me khud ek Makam rakhte inko hi na maane aur kahe Hum Hadees waale hai to ye dawa jhoota hai aur humne Yaha koi bhi dalail mauzooda ulema ka nahi diya warna aaj ye bahot bada propoganda failaya jaa raha hai k ye Aqaid k baani Mufti Ahmad Raza Khan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne gada hai ye fakat jhoot hai Aala Hazrat رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne fakat wo hi aqaid ko bayan kiya jo Alhamdullilah Aimma se saabit hai koi ek akeeda bhi unka khud sakhta nahi hai.

No comments:

Post a Comment