Pant Fold Karke Namaz Padhna Kaisa

Pant fold karkay namaz padhna kaisa OR Kapde Samet k Namaz Padhna Kaisa ? 
Mauzooda Daur me ye bhi ek bahes o mubahisa ka unwaan ban gaya hai aur ye masle masjid me dekhne milte hai k log PANT AASTIN ko fold karlete hai aur Namaz padhna shuru karte hai par jab unko kaha jaaye k Pant ka Sameta Huwa Hissa kholdo Aastin Na Chadao,
 Namaz Makrooh e Tehrimi Hai Dohrani padegi to wo maante nahi behas karte hai aur apni kam ilmi ko Ilm saabit karne lagte hai ye maamlaat hamesha awaam me bahes ka mauzu hota hai kyuki pant shirt wohi pehnte hai Ulema Muballigeen k Libas to ALHAMDULLILAH Sunnat k mutabik hote hai aur is jahilo k firqo ko badi galat fehmi ye hogyi hai k Ahle Sunnat bas kisse kahani sunate hai dalil aur hawale nhi dete apne har aqaid me phir wo Hazrat Farooque Khan Razvi Sahab k bayanat ho ya hamare written post ho humne koi baat bina dalil pesh hi nahi ki har ek k saboot me dalilo k ambaar laga diye hai aur usme bhi zyada tar hawala Siha Sitta se hi quote hote hai ALHAMDULLILAH to ye galat fehmi dil se nikal do to accha hai.
Khair Jo Dalil bataur Apni baat ko sahi saabit karne k wo badmazhab pesh karte hai is masle k talluk se wo ek hadees hai Bukhari Sharif Ki mulahiza kare.
Hadees 01:

حَدَّثَنَا آدَمُ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزَارِ فَفِي النَّارِ ‏"‏‏.‏
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه se rivayat hai 
NABI e karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya  Jiska libas Niche Latke Woh Jahannam Me.
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : Kapde Ka Wo Hissa Jo Takhne Se Niche Ho Wo Jahannam Me , Hadees : 5787 Arabic)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 678 English)

Ye hadees wo batate hai kehte hai Takhna Dikhna Sunnat hai lihaja Namaz me dikhna jaruri hai ye log khud to uljhe hai aur awaam ko bhi uljha dete hai par ek hadees ko padhke saare masail nhi nikale jaate uske liye mazid mutalle ki jarurat hoti hai Halanki ye hadees se murad wo nahi hai jo direct maane inlogo ne liye hai pehle iska thoda pasmanjar bata de taaki sab aasani se samajh aajaye iska talluk Takkabur se hai iski tafseel mulahiza ho phr hadees bhi bayan ki jaygi is talluk se.
Aur iski tafseel yeh hai ,

Iska pasmanzar padhe ki jab shuru me log islam me dakhil hue us waqt unme bahut saare log gareeb the ,gurba pehle islam me aaye,toh unke paas libas tha nahi thik se ,baaz musalmaan ka yeh haal tha ki tehband pehna hai toh pait khula hai pait dhakne jaaye toh sharam gaah khul jaye aur woh b itne chote libas hote the ki takno se upar ghutno tak hote the woh ,gurbat ka yeh aalam tha, tab abu jahal ne yeh kiya ek bahut bada jhubba tayar kiya ,jisko 3-4 log uska jhubba pakad kar chalte the saath me , Abu jahal wa deegar kuffaro musalmano ko taana diya krte aye musalmaano dekha tum jis rab ka qalma padhte ho us rab ne tumhe kya diya siwaye muflisi k gurbat k ?? aur dekho mere hubal ne mujhe kitna nawaza hai tab ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya jo libas taqabbur ki niyat se takno niche hai woh jahannami hai
Aur hum apni taraf se nahi kehrahe hai balki puri hadees badmazhab sunate nahi,inko jo accha lagta hai woh tukda uthate hai kisi kam ilm ya lailm ko sunadete hai aur apni taraf ma’eel karte hai. Is hadees ka talluk takabur ghamand se hai jiska saboot hum pesh kar rhe hai hadees e sahi se mulahiza ho.
Ab aaye kuch hadees aur dekhte hai jis se saabit hoga is hadees ka khulasa k yaha taqabbur ki wajah se woh libas jahannam me hai naaki saare libas.

Hadees 02 : 
‏”"‏ لاَ يَنْظُرُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِلَى مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ بَطَرًا ‏"‏‏
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se rivayat Hai 
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Farmaya Jo Takkabur Ki Wajah se APNA tehband Latkayega  ALLAH uski Taraf Baroze Kayamat Nigah e Rehmat Na Farmayga”
(Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 77 Kitab Al Libas, Baab : Takkabur Aur Ghamand Me Kapde Latkane Waale Ka Bayan,  Hadees : 5788)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 679 English)

Hadees 03 : 
Hazrat Abu Juraye Jabir Bin Salim Al Huzaimi se Rivayat Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya 
“Takhne se niche libas latkane se khabardar hona, kyuki ye Ghamand hai aur Allah ghamand ko pasand nahi karta”
(Sunan Abu Dawood, Kitab No : 34, Kitab Al Libas, Hadees : 4084)
Hadees e paak se wajeh huwa k wo libas k baare me kaha gaya hai jo libas takabur k niyat se latkaya jaaye aur jisko takkabur na ho unke liye kya ye bhi ek hadees me mulahiza kare.

Hadees 04 :
عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ خُيَلاَءَ لَمْ يَنْظُرِ اللَّهُ إِلَيْهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ‏"‏‏.‏ قَالَ أَبُو بَكْرٍ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ أَحَدَ شِقَّىْ إِزَارِي يَسْتَرْخِي، إِلاَّ أَنْ أَتَعَاهَدَ ذَلِكَ مِنْهُ‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ لَسْتَ مِمَّنْ يَصْنَعُهُ خُيَلاَءَ ‏"‏‏.‏
Tarjuma : 
Hazrat Abdullah ibn Umar رضي الله عنه se rivayat hai  NABI صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya jo libas taqabbur ki wajah se latkaye khuda uski taraf dekhega bhi nahi,Is par Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه  ne kaha ki mera libas niche latakta hai,NABI صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya ki yeh tumhare liye nahi k tumhe taqabbur nahi.
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 77, Kitab Al Libas, Baab : باب مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ مِنْ غَيْرِ خُيَلاَءَ Hadees : 5784)
(Sahi Bukhari, Vol : 07, Book 72 , Hadith : 675 English)
(Sahi Bukhari, Vol 03, Kitab No 78,  Kitab AL Adab, Hadees : 6062)
(Sunan Nasai, Kitab No 48 Kitabul Zeenat, Baab : Isbaal e Izar, Hadees : 5355)

Sayyidna Siddiq e Akbar ka sawal karna Ummat k liye rahat ka intezam hogya Sayyidna e Siddiq e Akbar Abu Bakr رضي الله عنه ka libas bhi niche latakta tha chunki Aap رضي الله عنه me takkabur na tha to ye wahid unpar nahi lagti jis se maloom huwa is maamle me Musalmaan ki niyat sabse ahem chiz hai.  Niyat pe ek Hadees mulahiza kare 
Hadees 05 :
“Hazrat Umar Bin Khattab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya
Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Kee Us Ne Niyyat Kee.
(Sahi Al Bukhari, Vol : 01,Kitab Ul Imaan, Hadees : 54)
In motebar hadees e sahi se kuch baata ka khulasa huwa jo yaha likh rhe hai hum 
1) Wo Libas Jahannam me Jayga jo Takabur k Bina Jameen me ragadte jaaye Takno se niche ho unke liye ye hukm hai. 
2) Agar Niyat Takabur ki naa ho phir bhi niche jaaye to wo libaas par ye hukm nahi lagta.
3) Musalmaan ki Niyat Sabse Ahem hai ALLAH behtar Hamare Dilo k halaat ko janta hai.
4) Sabse Ahem ye hukm k kapde upar ho takno se ye sirf aur sirf namaz k liye nhi hai balki hamesha k liye chahe namaz ho yaa gair e namaz me par ye aisa jahil tola group hai Namaz k bahar to pura izar/pant etc jameen me ragadte jaate hai par Namaz me fold kar lete hai ye azib dimaag hai inka balki wo hukm hmesa k liye hai to chahye k Namaz k bahar bhi amal kare.

Ab jo log Libas samet te hai Pant fold karna aastin chadana unki namaz ka SHARIAT me hukm kya ? 

Hadees 06 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat Hai  Nabi e Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya “Hume Hukm Huwa k 07 haddiyo Pe Sazda Karu aur Kapdo Ko Na Sametu aur Baalo Se Na kehlu”
References : 
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sazde Ka Bayan, Hadees : 810 ‘English No : 774’) 
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab no 10 Kitabul Azaan,  Hadees : 815 & 816, ‘English No : 779 & 780 ) 
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 993)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1093,1113 & 1115)
(Sunan Abu Dawood, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 889, ‘English No : 888)
(Jamai Tirmiz, Vol : 01, Kitab No : 02 Kitabus Salat, Hadees : 273)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Kitab No :05, Kitabus Ikamat e Salat wa Sunnat, Hadees : 933 & 934)

Hadees 07 : 
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat Hai Nabi e Rehmat  صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya “Hume Hukm Huwa k 07 haddiyo Pe Sazda Karu aur Kapdo Ko Na Sametu aur Baalo Se Na kehlu Dauran e Namaz Me, Wo Hissa Hai 02 Haath, 02 Pair, 2 Ghutne, 1 Naak aur Peshani”
(Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitabul Azaan, Baab : 7 Haddiyo Pe Sazde Ka Bayan, Hadees : 809 ‘English No : 773’) 
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 04, Kitab US’salat, Hadees : 490, ‘English No : 995)
(Sunan Nasai, Kitab No : 12 Kitab At Tatbik, Hadees : 1096,1097,)

ALLAH Taala ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم  ko 03 chizo ka hukum diya aur taqeed ki baar baar k aap in 3 chizon per sakhti per amal kare wo ye hai. 
1. Namaz ki Halaat Me Apne Baalo Se Naa Khelo 
2. Jab Sazda Karo To 07 Chizon (parts) Par Sazda karo.
2  haath
2 pair
2 ghutne
1 naak aur peshani (indono ko ek hi me shumar kiya gaya)
3. Namaz Padhne Me KAPDO KO NAA SAMETO.

Toh jab aap kapde fold karte ho yaani aap kapde samatte ho toh aapki namaz na hui balke aapko namaz dauhraani hai Namaz Makrooh e Tehrimi hai Namaz Dohrana Padega.
Ibn Al Mundhir riwayat karte hai ki jo aisa karta hai to use apni namaz dohrani chahye aur unhone ye raae Imam Hasan Al Basri se riwayat ki hai. 
(Imam Ibn Hajar Al Haythami Tuhfat al-Minhaaj, Vol : 02 ,Pg :161-162) 

Agar Ba Niyat e Sunnat Libas Takno se upar pahne to Sawab ka mustahik hai. 
Walla hu Aalam summa Rasulo Aalam صلى الله عليه و آله وسلم 

Ek Aur Ahem Topic mai isme add kardu libas takno se upar pehan na ka matlab kuch akal parast wahabiyo ne ye banaya liya k Takno se wo apna Pyjama Izaar itna upar pahnte hai k lagta hai pyjama nhi ye ¾ ya Bermuda pahna huwa hai aur itne me wo bada fakr karte hai k sunnat pe amal hogaya halanki ye khud ka mazak banana hai jo khawarijeen ki nishaniya hai k wo itna uncha pyjama pahente the Sunnat ka maana ye hai k Takno se thoda upar ho jaise 1 inch wo durast hai par inme aksar 5 6 inch upar pahente hai.
KHAWARIJEEN KI EK SABSE AHEM NISHANI WO PAYJAMA UNHCA PAHNTE HAI BAHOT
Hadees : 
Hazrat Abu Saeed Khudari رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Farmaatey Hain Ke Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Ney Yaman Sey Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Khidmat Mey Chamrey Key Thailey Mey Bhar Kar Kuchh Sona Bheja, Jis Sey Abhi Tak Mitti Bhi Saaf Nahin Kee Gayi Thi.
Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Woh Sona Chaar Aadmiyon Uyaina Bin Badar, Aqra’a Bin Haabis Aur Zaid Bin Khail Aur Chauthe Alaqma Ya Aamir Bin Tufail Key Darmiyan Taqseem Farma Diya.
Is Par Aap صلى الله عليه و آله وسلم Key As’hab Mey Sey Kisee Ney Kaha :
Un Logon Sey To Hum Zyada Haquedar They.
Jab Yeh Baat Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Tak Pahunchi To Aap صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Farmaya :
Kya Tum Mujhey Amanatdar Shumaar Nahin Kartey ?
Haalaanki Aasmaan Waalon Key Nazdeek To Mein Aameen Hoo’n.
Is Ki Khabarein To Merey Paas Subah Wa Shaam Aatee Rahti Hain.
Raawi Ka Bayan Hey Ke Phir Ek Aadami Khara Ho Gaya Jis Ki Aankhey Andar Ko Dhansee Huwi, Rukhsaaron Ki Haddiyan Ubhari Huwi, Oonchee Peshaani, Ghani Daarhi, Sar Munda Huwa Tha Aur WOH OONCHA TEHBAND BANDHEY HUWEY THA  Woh Kahney Laga :
Aye Muhammad صلى الله عليه و آله وسلم !
Khuda Sey Darey, Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Too Halaak Ho, Kya Mein Tamam Ahley Zameen Sey Zyada Khuda Sey Darney Ka Mustahique Nahin Hoo’n ?
Phir Jab Woh Aadami Jaaney Key Liye Mura To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya, Ya RasoolAllah صلى الله عليه و آله وسلم !
Mein Us Kee Gardan Na Ura Doo’n?
Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Aisa Na Karo, Shayad Yeh Namazi Ho,  Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ney Arz Kiya :
Bahut Sey Aisey Namazi Bhi To Hain Ke Jo Kuchh Un Ki Zubaan Par Hey Woh Dil Mey Nahin Hota.
Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Farmaya :
Mujhey Yeh Hukm Nahin Diya Gaya Ke Logon Key Dilon Mey Naqab (Sendh) Lagaoo’n Aur Un Key Pait Chaak Karoo’n.
Raawi Ka Bayan Hey Ke Woh Palta To Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ney Phir Us Ki Jaanib Dekha To Farmaya :
Us Ki Pusht Sey Aisey Log Paida Hongey Jo Allah Ta’ala Ki Kitab Ki Tilawat Sey Zubaan Tar Rakheingey, Lekin Qur’an Un Key Halak Sey Neechey Nahin Utarega.
Deen Sey Is Tarah Nikal Jaeingey Jaisey Teer Shikaar Sey Paar Nikal Jaata Hai.
Mera Khyaal Hain Ke Aapصلى الله عليه و آله وسلم Ney Yeh Bhi Farmaya Ke Agar Mein Un Logon Ko Paoo’n To Qaumey Samood Ki Tarah Unhey Qatl Kar Doo’n.”
Reference : 
(Sahi Bukhari, Vol : 03, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Hadees : 4351) 
(Sahi Muslim, Vol : 02, Kitab No 12 Kitabuz Zakat, Baab : Khawarij aur Unki Sifaat Ka Bayan, Hadees : 1064)
(Sahi Ibn Hibban Vol : 01 , Pg :205, Hadees : 25)

Is hadees e paak ne Khawarijeen ki sifat bhi batayi SAR MUNDA, PYJAMA BAHOT UNHCA, NAMAZ QURAN TO KHOOB PADHNGE PAR IMAN HALAK SE NICHE NAHI UTREGA Inki pusht se kaum niklegi ye saari baatein wohi bata sakta hai jisko ALLAH ne GAIB KA ilm diya ho jinka akeeda ye hai k kal ki khabar nhi de sakte deewar k piche ki khabar nhi NAUZUBILLAH wo ye hadees kaise bayan karnge ? ye kal ki deewar ki baatein le bethe arre kayamat tak aane waali saari baatein to bata di phir bhi akal nhi aayi tumko is hadees ye bhi wajah huwa k sirf QURAN accha padhna bahot zyada Namaze padhlena hi kaafi nhi hai aaj jo ibadat k naam le leke dhoka diya jaa raha hai kaum ko samajhna chahye.  
ALLAH SE DUA HAI K IN MUNAFIKEEN K MUNAFIKAT SE AHLE SUNNAT KO BACHA Aamin

Isaal E Sawab ki Sharai Haisiyat

Paani Se Isaal e Sawab Hadees 06:
Umme Saad k Liye KUN’WA (WALL)
“Hazrat Saad Bin Ubada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  arz karte hai YA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم  meri Maa Wisal Kar gayi, Mai unki taraf se sadka karna chahta hu konsa sadka Afzal rahega, Sarkarصلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya PAANI, Chunance unhone ek KUN’WA (Wall) khudwaya aur kaha ‘ هَذِهِ لأُمِّ سَعْدٍ‏ ’ yaani Ye Umme Saad K liye”
References :
(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane K Fazail, Pg : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Vol : 01, Pg : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib Vol : 02, Pg : 41, Hadees : 1424) 
yehi rivayat Imam Nasai ne kuch yu likhi hai 

Hadees 06 (A): 
“Hazrat Sa’d Bin Ubaada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi. Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم  !
Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Paani Pilaana.
(To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”
References : 
(Imam Nasai , Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 255, Kitab No 30 - Kitab Al Wasaya, Baab No 9 :Zikreel Ektelafi Ala Sufyan, Hadees : 2666)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra Vol : 04, pg : 112, Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05, Pg : 284, Hadees : 22512)
(Imam Tabrani Majmaul Kabir Vol : 06, Pg : 20, 5379)
Pata chala k Sirf wo amal jaise Haj roza sadkat se hi nahi balki dusre amal jaise paani k jariye bhi Isaal kiya jaa sakta hai aur aakhir us wakt Paani ka intekhab kyu dusre Sahaba e Kiram Radi Allaho Anho ko alag alag amal bataya Hazrat Saad bin Ubada Radiallahu anho ko ye kyu ? Unhe bhi koi amal Haj roza sadkaat bataya jaa sakta tha na ? 
Maazra ye tha us wakt Madina e Munawarra me Paani ki killat thi lihaja hukm huwa Paani ka kuwa khudwao aur phir logo ko paani mila ab jab jab log us paani k kuwe se sairaab hote hai sabka Sawab Hazrat Saad ibn Ubada Radi Allaho anho ki walida mazida ko pahuchta hai. 
Is hadees e paak se bahot se masle hal huwe jinme chand hum yaha bhi likh rhe hai jaise Jarurat k ain ki cheez Isaal kare chunki us wakt paani ki killat  thi to paani ka hukm huwa aur hum aaj dekhe to aaj bhi bahot si jagah paani ki killat hai aaj Ummat e Muslima ko acche Hospitals, education, Deeni Madaris ki jarurat hai to in sabko banake apne buzurgo k naam se mansoob karna phir jab tak usse Musalmaan fayda uthayga un marhoomeen aur buzurgo ko bhi iska nafa hoga. 
Dusri ek baat pata chali baaj jahil khawarij wahabi ye bhi kahte hai k kisi khane peene ki cheez ko kisi k naam se mansoob kar dena ye shirk hai. 
Is hadees e paak se ye bhi subaha khatm huwa k kisi k naam se mansoob kardena katayi nazaiz o shirk biddat nahi balki KHUD NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ne KUWE ko Hazrat Saad Ibn Ubada radi allaho ki walida k naam se mansoob kiya hai agar ye nazaiz o shirk biddat hota to hargiz ye amal sabit na hota. Aur Is Hadees ki shara me Imam Aini Likhte hai Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho anho farmate hai Hum Sahaba e Kiram ki aadat thi k hum jaate aur ussi kuwe ka paani pite taaki saad ibn Ubada ki walida mazida ko iska mazeed nafa pahuche” 
Isi trah Musalmaan jaha jagah hoti hai permanent Sabil e Imam Hussain Radi Allaho Anho k naam se banayi jaati jis se log paani pite hai aur wahi jaha jagah ki killat hoti hai log Muharram k mahine me Sabil E Hussain Radi Allahu Anho kayam karte hai lihaja ye amal kahi se nazaiz nhi lkin bugz e ahle bait ne kya se kya bana diya in khabiso ko. 


Khana Saamne Rakh K Kalam E Ilahi Padhne Ka Saboot
Hadees 07 : 
Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  farmate hai jab Nabi e Paak صلى الله عليه و آله وسلم ne Hazrat Zainab Radi Allaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu,Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Khidmat e Aqdas Me Le Jao Main Khidmat e Aqdas صلى الله عليه و آله وسلم Me Hazir Huwa To Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao  Mujhe Jo Mila Bula Laaya or Nabi e Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Dua Padha or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha wo Aap ne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi E Karimصلى الله عليه و آله وسلم Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi E Paak صلى الله عليه و آله وسلم Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe.
Us Wakt Allah Ta’ala Ne ye Aayat Nazil Farmaya.
Aye Imaan Waalo Nabi e Pak صلى الله عليه و آله وسلم K Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane K Wakt Taktey Raha Karo Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane K Baad Chale Jaya Karo Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ko Taklif Deti Hai Magar wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or Allah Taala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta (Surah Ahzaab Ayat 53) 
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh k Nikah Ka Bayan aur Hizab k Mutaalik Nuzool e Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)
Is Hadees e paak se wajeh huwa k Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم
Khane pe Dua padhte the aur Khane pe Quran padhna ye hargiz haraam nahi hai agr wo mukhalif maante hai to unko yakini taur pe apna saboot pesh karna chahye ALLAH Taala Quran e Karim me farmata hai 
قُلْ هَلُمَّ شُهَدَاءَكُمُ الَّذِينَ يَشْهَدُونَ أَنَّ اللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَ “Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH ne Usse Haraam Kiya” (Surah Anam Ayat 150)
Is aayat e Mubaraki se wajeh huwa k dalail mukhalifeen ko dena hai k Khane ki Cheez pe Quran e Karim padhna haraam hai to uski daleel kaha hai aisa nahi hai k jo dil chahe jis cheez ko chahe aap haraam shirk bolde.
Aur Ahem baat Khane Se Pehle Shuru me hi Musalmaan BISMILLAH padte hai wo kya hai dar asal Quran ki hi aayat to hai ab Musalmaan padte hai jo kehte hai Khane Pe Quran naa padho wo kon hai ab hum nahi kahte aap samajh gaye honge. 
To pata chala Khane pe QURAN padhna bhi jaiz hai aur Saad ibn Ubada Radi Allahu Anho ki hadees e paak se wajeh huwa k kisi Peene ki cheez ko Kisi k naam se mansoob karna bhi jaiz to ab yehi sunni karte hai to ye amal kaise nazaiz huwa ? 
Mitha Halwa Pakana Kyu ? Halwa Banana Kaisa ? 
Halwa Banana Hadees E Paak 
Kaum e Wahabiya ko Halwe se badi nafrat hai ab kyu hai ye to wohi jaane lkin Hum Ahle Sunnat Ko Halwa kyu Pasand Hai aaye Hadees e paak se dikhate hai aur jinhe nafrat hai unhe bhi padhna chahye 
Hadees 08 :
“Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radi Allaho Anha se rivayat hai k Nabi E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The” 
Refernces : 
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 76 Al Tibb,Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 74 AL Taam’at (Food),Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL Taam’at (Food),Hadees : 3448) 
(Imam Tirmizi ne Shama’il E Muhammadiya Kitab No 26, Hadees : 163)
pata chala Halwa to Khud Huzoor Nabi  E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي  ko pasand tha isliye Ahle Sunnat khoob khate hai ab khud faisla karlo jo cheez Aaka ه و آله وسلم صلى الله علي  ko pasand hai tum uska mazaak udhao to tum kaun ho ? ? 
Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho pe pyaar aaya hai to hum kya kare ?? aur ek ahem baat halwa khana haraam shirk biddat bolte hai jarur par khane pehle aate hai ye isliye hamara Imam Aala Hazrat Rahimullah bol chuke 
                    
                   Tera khai Tere Gulamo Se Uljhe            
        Hai Munkeer Ajab khane Gurrane Waale

khate bhi Huzoor ه و آله وسلم صلى الله علي  ka sadka hai aur ulajhte bhi unke gulamo se hi hai. 
Quran Padhne K Isaal e Sawab Karna Kaisa ? 
Is unwaan pe bhi kaum e wahabiya bahot shor o gul macha ti hai k Quran padhne Isaal e Sawab nhi kiya jaa sakta hai halanki ye bas unka apna faisla hai shariat ka hukm nahi hai apni soch se aqaid nazariat kayam kar bethe hai agar wakayi wo haq pe sacche hai apne kaul me to ek SAHI mustanad Dalil Hadees e paak se wajeh karde k kaha Quran padhke Isaal e Sawab karna mana hai ? ye hum unpe chodte hai 

Hadees  09:
“Jo Kabristan me 11 martaba Surah Ekhlaas padhke tamam Ahle Kaboor ko ISAL E SAWAB karde to sabke barabar Isal e sawab karne ka azr karne waale ko Milega”
(Jami' Jawami' Al-Suyuti, Vol 08 Pg : 280, Hadees : 23102)

Hazrat Ali Radi Allaho Farmate Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي  ne Farmaya Jo Shaksh Kabristan K Pass Se Guzre Aur Surah Ekhlaas 11 Martaba Padhe Phir Uska Sawab Murdo Ko Bakhs De To Usko Murdo Ki Tadad K Barabar Azro Sawab Milega”
(Durre Mukhtar) 

Imam Ahmad Ibn Hambal Rahimullah Ka Farmaan 
“Jab Tum Kabristan Jaao To Surah Fatiha Aur Muwazatain Aur Surah Ekhlaas Padho Aur Inka Sawab Ahle Kaboor Aur Pahuchao Bila Subah Wo Unhe Pahuchta hai”
(Imam Suyuti Ash Sharahusudoor Pg : 289)


“Jo shaks Juma k Din Apne Walidain ya inme se kisi ek ki kabr ki ziyarat kare aur uske pass SURAH YASEEN padhe baksh diya jaaye” 
(Imam Abi Adi ne AL Kamil Vol : 06, Pg : 260)
To pata chala Quran padhke bhi Isaal karna ye koi aaj ka amal nhi hai balki jamhoor ulma mashaikh ka amal raha hai ispe aur Shariat ne bhi isko mana nahi farmaya hai to hum in mashaikh fukaha ko maane ? yaa aaj k tum angrezi paidawar ko ? 
Agr tumhe wakayi takleef hai to option khula hai tum apne murdo k liye isaal naa karo hum Musalmaan to karnge. Now Choice is Yours 
Aur is masle me mazeed detail k liye Imam Suyuti ki Ash Sharausudoor k aakhri hisse ko padhle kaafi doubts clear hojynge. In Sha Allah Taala. 
Pata chala In Dalail Se k Isaal e Sawab jaiz amal Mustahab recommended amal hai Alhamdullilah
Ab ek ahem hissa reh gaya hai jo Agli post me cover karnge In SHA ALLAH Taala wo hai 
Kabr Par Phool Dalna Chadar Daalna Kaisa ? Chunki ye khud me hi ek tafseeli post hai isliye isko ek alag hi subject me post ki jaygi.. 

Quran Aur Aaj Ka Musalmaan Sawal Ka Jawab

Tauheed Aur Shirk Ka Bayan  
Introduction : Pichle Kuch wakt se ek Message Awaam me failaya jaa raha hai jo Ummat e Muslima me logo k pareshani ka sabab ban rha hai Ummat e Muslima ki Sawad e Aazam sabse badi jamaat jiske baare me hadees e paak hai k Musalmano k bade group k saath raho k ispe ALLAH KA DASTEQUDRAT hai. 
Allah k Waliyo ko baaj alkabat se unko yaad karte hai akeedat rakhte hai jo kuch logo ko hazam naa huwa to ab msg banaya khawarijeen ne aur mujhe bhi kuch logo ne bheja aur kaha bhaijan iska tehreeri jawab dijiye is msg ko padhne k baad yakin hota hai k jin jahil wahabi mullah aur unke chote chote kide makode jo fakat din raat ummat e muslima ko Mushrik declare karne ki mehnat karte hai shirk ki machinery itni tez kar rakhi hai k baat baat pe Musalman ko Mushrik bolte hai aur Quran ki koi bhi aayat pesh karke bila wajah Musalmano ko us aayat pe base banake Mushrik banado msg likhne waale nire jaahil ahkam e Quran se bhi khali hai mablage ilm itna kam ya bilkul zero magar dawa hai hum Ahle Hadees hai ye mooh aur masoor ki baat hai wo message kya tha jo aaya ek msg ek video ki shakl me yaha likh raha hoon jiski heading wahabiyo ne di hai wo ye hai.
 Wahabi Objection Unki Dalil, Msg Spread By Wahabis
“QURAN AUR AAJ KA MUSALMAN”
(1) MUSKIL-KUSHA (Tamaam Mushkilen halkarne wala)
“Agar Tumhe Allah kisi mushkil me daal de to iske siwa isko koi door karne wala nahi aur agar wo tumhe kisi khaer(bhalai) se nawazna chahe to wo har chiz par qadir hai” 
(Surah Anam Ayat : 17 )
(2) GAUS-E-AAZAM DASTAGEER (SabseBada Faryaad Sunne Wala )
“Kaun hai jo beqarar ki dua sunta hai jab ke wo usse pukare aur kaun uski taklif ko doorkarta hai, aur kaun hai jo tumhe zameen ka khalifa banata hai ! Kya Allah ke sath aur koi Mabood hai ?”
(Surah Namal, Ayat : 62)
(3) DAATA (Sab Kuch DeneWala) Besak Allah bada denewala hai. 
“Jise chhata hai betiyan deta hai, jise chhata hai bete deta hai, jise chhata hai bete aur betiyan mila jhula kar deta hai, aur jise chhata hai banjh rakh deta hai, wo to janne wala Qudrat wala hai” 
(Surah Ash Shura,49,50) 
4) Garib Nawaz  (Garibo Ko Nawazne waala)
“Aye Logo Tum Sab Allah K Dar K Fakir Ho Allah To Gani Wa Hamid Hai”
(Surah Fateer Ayat : 15) 
Isko bhejne k baad wahabi ka Ispe tabseera 
Dekhiye Quran ka Eilan Kya hai aur aaj ka Kalma Padhne waala Musalman Kya kar raha hai kya Akeeda Rakh Raha hai ye Tamam Sifaat Allah ki Hai aur Aaj k kalma go mushriko ne bando ko de rakhi hai ye Shirk hai. ALLAH KI SIFAAT ME AAPNE BANDO KO SHARIK TO NAHI KAR LIYA ALLAH KI SIFAT BANDO ME TO NAHI MAAN LI ?  Kaheen aap to isme mullawis nahi ?? Allah o Akbar 
In Aayato ka sahara leke wahabi batana chahte hai k unhone puri dunya k Musalmano ko Quran ki aayato se kaafir Saabit kar diya hai ab saare Sahi akeeda sab mushrik hai aur wahabi mutthi bhar jamaat tauheedi hai.

Message ka Conclusion jo hai wo ye hai aur iska jawab hume dena hai : 
1) Mayaar e Uloohiyat jo banaya gaya wo MADADGAAR Hona yaani Aapne ALLAH k bando ko madadgaar maan liye SHIRK hogya.

2) ALLAH ki Sifaaat Bando me maan li gayi Lihaja SHIRK FI SIFAAT Hogya hai. 
Al Jawab :  ye aitraaz jitna chota hai dikhne me bas 04 line par hai jawab uthna hi bada hai upar bayan karta wahabiyo k dalil ko dekhe to 02 chiz pata chalti hai jo ye k In logo ne Mayar e Uloohiyat Madadgaar Hone ko banaya hai Dusra Sifaat k naam pe logo ko gumraah kiya halanki inka ye dono nazariya Quran Aur Islam Ka nazariya nahi hai ye inki SELF CREATED TAUHEED hai jo inka So called Wahabi Aaka Muhammad bin Abdul Wahab Nazdi ne likha aur uske baad puri jurrriat apne abba jaan k nakshe kadam pe hai uski hi bayan karda tauheed ko mission ko leke aage bad rhi hai aur ye koi nayi baat nhi hai inke abbao se inhone ye sikha hai wo hadees mai aage aakhri me likhunga kaha se ye inhone sikha hai k QURAN padhke bhi logo ko kaise gumraah kiya jaaye. 
Chunki ye topic bhi TAWHEED AUR SHIRK se talluk rakhta hai isliye sabse ahem baat ye hai k hum jaane k Tawheed aur Shirk hai kya warna ye baat samajh nhi aaygi lihaja maine is topic pe taaki aasani se samajh aaye 04 part me bandha hai aur ek aakhir part ek hadees e paak hai jo inke pure sazra e nasab ka bhandafod degi wo aakhri hisse me aaygi. 
1) Allah ki Jaat aur sifaat k baare me Akeeda: 
2) ALLAH ki ata karda Sifat uske bando me maan na QURANI hukm hai. 
3) Madadgaar hona Quran se.
4) Wo hadees e paak aakhir me kis tarah Sahaba e Kiram k saamne bhi QURAN padhte the. 
5) Wahabiyo Ka Kabool Naama Us Cheez ko Bhi Humne Shirk Likha Hai jo Shirk Nahi Thi.
Part 01 -  ALLAH KI JAAT AUR USKI SIFAAT K BAARE ME AKEEDA : 
1) Allah Taa’la Ek Hai Uska koi Sharik Nahi naa Jaat me Na Sifaat Me. 
2) Allah Taa’la Wajibul wajood Hai yaani jiska Har haal me Mauzood Rehna Jaruri Hai, koi Jamana Aisa nahi hai jo uski Jaat Mauzood Na Ho.
3)Allah Taa’la ‘kadim Aur Azli ’ hai  yaani wo Hamesha se Hai aur ‘Abdi’ bhi hai hamesha Rahega usse kabhi maut naa aaygi.  
4)Allah Taa’la Kisi Ka Mohtaaz Nahi Saari Kaynaat ALLAH Taa’la Ki Mohtaaz Hai.
5) Allah Taa’la Ka Naa koi Beta hai Na wo kisi baap na koi uski biwi wo in tamam chizo se paak hai jo ye akeeda rakhe wo kaafir hai aur jo isko Mumkin bhi maane wo Gumraah Badeen hai.
6) Allah Taala makan, jahet, shakl o surat, etc makhlook ki tamam sifat aur kaifiyat se paak hai.
7) Jo Aalam Me se Kisi Cheez Ko Khud Se Mauzood Maane yaa uske  haadis hone me shak kare woh kaafir hai.
8)ALLAH TAALA K liye MUMKIN AUR MAAHAL KA AKEEDA.
a)MUMKIN Hone Ka Bayan : Allah Taala har mumkeen par kadir hai koi Mumkin Uski Kudrat se Bahar Nahi hai. 
Allah Taala K liye MUMKIN maan Na ye bhi jaruri hai uska bhi kuch
Example : Allah Taala Mumkin par qadir hai uska bhi thoda khulasa.

ALLAH Chahe to Jamin o Aasman ko SONA Chandi ka bana de ye mumkin hai ab banana ya naa banana ye ALLAH ki shan hai. 
ALLAH k liye Mumkin hai wo chahe to jamin se barish nikal de wo chahe insaan ko bin baap k maa k apni qudrat se paida kare wo chache to Insaan ko patthar se paida karde ye sab Mumkin hai.  
b)MAHAAL HONE KA BAYAN :  
Allaha Taala K Liye baaj Chizo Ka Maahal (Impossible) Maan Na ye bhi Jaruri hai aur aqaid me hai. 
Example : Allah Taala Dusra Khuda Nahi Bana Sakta, Allah Ka Fana Hona Maahal Hai, Uska Jhoot Bolna Mahaal Hai Chunki Agr Dusra Khuda Maana Jayga to uske Ek Hone ka inkaar hoga, Usko Fana Maana Jayga to Uske Mauzood Hone Ka Inkaar hoga, Usko Jhoota maana Jayga to ALLAH ki Shan nahi k wo jhoot kahe. Is trah uska Beta beti Biwi maan na ye sab mahaal hai. ALLAH k liye Mahaal hai k wo Insaani Shakl me aaye ya Autaar le. 
Ye Chand Baatein Maine ALLAH ki jaat k muttalik maine aasan lafzo me maine bayan kardi taaki padhne waalo ko example se aasani se samajh aajaye Jaat k muttalik aur bhi bahot se aqaid hai har ek yaha likhunga to puri book ban jaygi isliye jo ahem points the wo bayan kar diye.
Ab aate HAI ALLAH TAALA KI SIFAAT K MUTALLIK AKEEDE K BAARE ME aur ye bahot ahem unwaan hai chunki ye topic bhi Sifaat se related hi hai aur ye samajh liya to kabhi dushwari naa hogi. 
1) JIs Trah ALLAH ki Jaat ka Koi Sharik Nahi Hai Us Trah Uski Sifaat ka bhi koi Sharik Nahi hai.
2) ALLAH Taala Ki Sifaat bhi Hamesha Se Hai aur Hamesha Rahegi. 
Example : Allah Ka Rehman O Rahim hona ye ALLAH Taala Ki Sifaat hai ye sifaat us wakt bhi mauzood thi jab kuch naa tha siwaye Jaat E baari Taala k Aur Us wakt bhi hogi jab Kuch naa hoga. 
3)Jo Allah Taala Ki Sifaat Ko Makhlook Kahe Yaa Haadis Bataye Woh Gumraah Aur Bad’deen Hai. 
4)Allah Taala ki Sifaat Na Ain Hai Naa Gair e Ain yaani ALLAH Taala Ki Sifaat Uski Jaat Nahi Aur Naahi Wo Sifaat Uski Jaat Se Alag Hai Chunki Wo Sifaat Aisi Hai Jo ALLAH Taala Ki Jaat k liye Jaruri hai. 
5)Allah Taala Ki Sifaat Kayi Hai aur Alag hai Har Sifaat Ka Matlab Bhi Alag Alag Hai. 
Ye Mukhtasar sa tarruf ALLAH Ki Jaat Aur Sifaat k mutallik bayan kiya gaya jo in kitabo se extract kiya hai. 
(Shara e Aqaid E Nasfi) 
(Shara E Al Fiqh E Akbar) 
(Bahar e Shariat Vol : 01, Baab : Aqaid Ka bayan, Pg :6)
 Ab Yaha Ek Subahat Wahabi Awaam ko Gumraah karne k liye Pesh karte Hai wo ye hai. 
Objection Raised By Wahabis or Subahat : Tum Ahle Sunnat Khud Bayan karte ho ALLAH Taala ki sifaat me bhi koi sharik nahi hai aur khud hi Ambiya Alaihi Salam aur jinhe tum Aulia kehte ho unme Sifaat maante ho lihaja SHIRK FI SIFAAT to paaya gaya. 
Al Jawab : Important Point To Note Yaha Dhyan se padhe 
1) Allah Taala Ki Tamam Sifaat Wo Allah Taala Ki Khud Ki Hai uski Jaati hai usne wo Sifaat kahi se li nahi hai aur naahi kisi ne ALLAH TAALA ko wo sifaat ata ki hai.
2) Magar Allah Taala Ne Apni Sifaat Apne Bando ko Bhi Ata ki Hai Jo Khud Qurani Faisla Hai jo aage hum Qurani Aayat se saabit karnge k ALLAH ki shaan jo ALLAH ki hai wo bando ko bhi ata ki hai lihaja ye kisi bhi aitbaar se shirk nahi. 
3) Shirk to tab aayga Jab ye Akeeda rakhe K BANDO ki bhi jaati hai Aur ALLAH ki bhi Jaati hai Yaa ye Aqeeda Rakhe K ALLAH ki bhi Sifaat Atayi Hai Aur Bando ki Bhi Ataayi Hai. 
4) Hum Ahle Sunnat Ka Aqeeda Ka Wo ye Hai K ALLAH Ki SIFAAT BHI USKI JAATI HAI AUR ALLAH TAALA Apni Baaj Sifaat apne Bando ko bhi Ata karta hai. 
WAHABI KA KAYAM KARDA ME’AAR E ULOOHIYAT : 
Inke bayan karda bayanat se kitabo se me’aar e uloohiyat kya pata chala Madadgaar hona, Hajatrawa hona, Allah ki sifaat bando me maan na magar ye inki soch hai Islami Kanoon nahi jo aage hum Ayat e Qurani se raddh kar denge In Sha ALLAH Taala. 


SAHI ME’AAR E ULOOHIYAT Kya hai ? 
Jo Sirf Aur Sirf ALLAH Tabarakwatala K Liye Khaas hai ye wo cheez hai
Jo ALLAH Taala k Siwa kisi me bhi maana jayga to shirk Hoga banda Mushrik hoga.
1) MUSHTAHIK E IBADAT HONA : Ye Sirf Aur Sirf ALLAH k liye hai Bandgi Me ALLAH ka koi sharik nah ibadat sirf aur sirf ALLAH Taala K Liye Hai.
2) WAJIBOOL WAJOOD HONA : Hamesha se hai aur hamesha Rahega baaki saari kaynaat me har makhlook hamesha se nahi hai aur ek wakt aayga Jab ALLAH Taala Sabko Fana Kar dega yaha tk k Maut k Farishte ko bhi Baaki rehne waali jaat ALLAH ki hai. 
Pata Chala Ma’aar e Uloohiyat 02 Chiz Wajibul Wajood Hona Aur Mustahik Ibadat Hona.
i) Kisi Ne ALLAH K Ilawa kisi ko Wajibool wajood maana MUSHRIK Hojaya
ii) Kisi Ne ALLAH K elawa kisi ko Ibadat k layak maana MUSHRIK
hojayga. 
iii) Kisi Ne Dono Maana Tab Bhi Mushrik Hoga ya dono me se ek maane aur ek naa maane tab bhi mushrik hoga.  
Note : Jo Uluoohiyat Hai Wo ALLAH k Siwa Kisi ko nhi di jaygi chahe Ek Minute k liye bhi bhi ALLAH k elawa kisi ko nahi naa mazazi naa atayi chunki jo shirk hai wo hamesha Shirk hoga aisa nhi hai k ek wakt to shirk ho phir Tauheed hojaye. Jo Tauheed hai wo hamesha Tauheed Hai aur Jo Shirk hai wo hamesha Shirk hai.  
Ye Tamam Bunyaadi Istelahi baatein ALLAH Ki Jaat Sifat aur Tauheed k Muttalik thi ab aaye Hum dalail k taraf.

Hizbullah Aur Hizushaitaan Ka Fark 
Jamaat Do Hai Ek Hai ALLAH waalo ki Jamaat Jo Kamyaab Hai Jannat me Jaygi Jisko Hizbullah Kaha J aata Hai Jiska Zikr Quran me Hai
I) Hizbullah Kon Hai Yaani ALLAH ki Jamaat ?  
Ayat 01 : أُولٰئِكَ حِزبُ اللَّهِ ۚ أَلا إِنَّ حِزبَ اللَّهِ هُمُ المُفلِحونَ
“Ye Allah Ki Jamaat Hai Sunta Hai Allah Hi Ki Jamaat Kamyaam Hai”
(Surah No 58 Surah Mujadilah Ayat 22) 
Ayat 02 : إِيّاكَ نَعبُدُ وَإِيّاكَ نَستَعينُ 
“Humko Sidha Raasta Chala - 5” 
Ayat 03 : اهدِنَا الصِّراطَ المُستَقيمَ 
“Raasta Unka Jinpe Tune Ehsaan Kiya - 6” 
(Surah Fatiha Ayat 5 & 6) 
Ayat 04 :
أَنعَمَ اللَّهُ عَلَيهِم مِنَ النَّبِيّينَ وَالصِّدّيقينَ وَالشُّهَداءِ وَالصّالِحينَ ۚ وَحَسُنَ أُولٰئِكَ رَفيقًا
“Jinpar ALLAH ne Fazl Kiya Yaani Nabi Aur Siddikeen Aur Shaheed Aur Nek Log Ye Kya Hi Acche Saathi Hain”
(Surah Nisa Ayat 69) 
II) Hizbushaitan Kon Hai Ye Shaitan Ka Group Hai
Ayat 05 : إِنَّ الشَّيطانَ لَكُم عَدُوٌّ فَاتَّخِذوهُ عَدُوًّا ۚ إِنَّما يَدعو حِزبَهُ لِيَكونوا مِن أَصحابِ السَّعيرِ
“Beshak Shaitan Tumhara Dushman Hai To Tum Bhi Usse Apna Dushman Samjho Woto Apne Giroh Ko Isliye Bulata Hai Ki Dozakhiyo Me Ho ” 
(Surah No 35 Surah Faatir, Ayat : 06)

In dono Jamaat ka Bayan karne ka maksaad ye hai k fark wajeh hojaye ek wo Jamaat hai jisko ALLAH ne apni Jamaat kaha hai wo kinki Hai Ambiya Aulia Siddikeen Shohda Nek Momin ko Aur Dusri wo jamaat hai jo Shaitani Group hai jo uske kehne pe chal pade buth parasti ki logo ko imaan laane se roka Khudayi dawa kar bethe jaise Firaoun, Namrood, Shaddat wagerah aur wo buth jinko Pujne k liye Shaitan ne kuffaro ko behkaya aur apni jamaat bana daali. 
Aaj koshish ye ki jaa rhi hai wo HIZBUSHAITAN Shaitani group k saath ALLAH waalo ko mila rhe hai aur khich k Hizbullah ko wo jinhe ALLAH ne apni Jamat kaha hai unhe Shaitani Party me shamil karne par tule hai halanki wo kar nahi sakte par koshish jarur karte hai. 
Yaha Par Humne Dono Jamaat ka mukhtasar sa khulasa kiya hai taaki pata chala ALLAH waalo ki baat alag hai aur Shaitani Grp ki alag ALLAH Taala Apni Sifaat Hizbullah ko to ata kar deta hai par Hizbushaitan ko nahi.

Part 02 - Allah Taa’la Ne Apne Bando Ko Bhi Sifaat Ata Ki Hai Qurani Faisla Quran Ki Bayan Karda Tawheed : 
Chunki Wahabiyo ki SO CALLED TAUHEED hai dawa h k ALLAH ki Sifaat Uske Bando me maan li to MUSHRIK hogye lihaja ab hum Quran se hi dekhte hai k QURAN kya kehta hai.
1) Maalik Kon ? 
Ayat 06 :  هُوَ اللَّهُ الَّذي لا إِلٰهَ إِلّا هُوَ المَلِكُ القُدّوسُ 
“Wohi Hai Allah Jiske Siwa Koi Maabod Nahi, Maalik (Badsha) Nihayat Paak ” (Surah 59 Surah Hashr, Ayat 23) 
Maalik ye Sifaat Allah Taala Ki Hai banda Pukarta hai Aye Malik ALLAH Taala k liye thek hai. 
Gair Mukallid k mullah aksar khte hai jaise k tauseef ur rehman ne to kaha bhi hai k MALIK TO ALLAH HAI SUNNI Nabi Alaihi Salam ko bhi Malik kehte ye kahne se Mushrik Hojayga Nikaah Toot Jaayga. 

Ab aaye dusri aayat dekhe 
Ayat 07 : 
وَنادَوا يا مالِكُ لِيَقضِ عَلَينا رَبُّكَ
“Aur Wo Pukarenge,  Aye Maalik Tumhara Parwardigar Hume Maut Hee Dede, Woh Farmayga Tumhe To Taherna Hai”
(Surah 43, Surah Al Zukhruf, Ayat 77)
Pahli aayat me farmaya MALIK, ALLAH Taala k liye hai 
Phir ussi Quran me dusre makam me farmaya aaayat Surah Zukhruf Ayat 77 Malik kisko Daroga e Jahannam ko k unhe kaafir kahnge Malik Hume Maut de de Malik Farmayga tumhe hamesha Jahannam me rehna hai. 
Kya Huwa Shirk hogaya ? ALLAH bhi Maalik Daroga e Jahannam Bhi Malik ? Tum Nabi AlaihiSalam ko Maalik nahi bologe Shirk hai kyu ?
Kya Taabir Nikalenge iski ? 
Taabir wohi niklegi jo Ahle Sunnat ka akeeda hai ALLAH MAALIK Hai wo apni sifaat se Maalik hai bande ka Malik hona ALLAH Taala Ki Ata se hai.

2) Rauf O Rahim Hona 
Ayat 08 :  
إِنَّ اللَّهَ بِالنّاسِ لَرَءوفٌ رَحيمٌ
“Beshak Allah Logon Par Bahot Rauf o Rahim Hai”
(Al Quran, Surah 2 Baqarah Ayat : 143)
Ayat 09 : 
لَقَد جاءَكُم رَسولٌ مِن أَنفُسِكُم عَزيزٌ عَلَيهِ ما عَنِتُّم حَريصٌ عَلَيكُم بِالمُؤمِنينَ رَءوفٌ رَحيمٌ
“Beshak Tumhare Pass Tashrif Laaye Tum me Wo Rasool Jinpar Tumhara Masshakat Me Parhna Bhari Hai Tumhari Bhalai k Nihayat Chahne Waale Musalmano Par Rauf o Rahim”
(Al Quran, Surah 9 Tawbah Ayat : 128) 
Pehli aaayat e mubarak me dekhe to Rauf o Raheem Kon hai ALLAH ab unke nazariye se kisi aur ko Rauf O Raheem maan le to shirk aajayaga Shirk Fi Sifaat maana jaayga magar nahi Shirk nahi aayga 
Dusre makam me Farmaya Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم bhi RAUF O RAHEEM Hai.
Isme bhi Tabeer yehi kayam hogi ALLAH Taala ka RAUF O RAHIM hona uska Jaati hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ka Rauf O Rahim Hona Atayi hai. Lihaja Ye Shirk ka Fark wajeh hogaya.


03)HAFEEZ Kon Hai ?
Ayat 10 : 
 إِنَّ رَبّي عَلىٰ كُلِّ شَيءٍ حَفيظٌ
“Beshak Mera Rab Har Chiz Par Nigehbaan (Hafeez) Hai”
(Al Quran Surah 11 Hudh Ayat : 57)
Ayat 11 : 


إِنّا نَحنُ نَزَّلنَا الذِّكرَ وَإِنّا لَهُ لَحافِظونَ
“Beshak Humne Utara Hai Yeh Quran Aur Beshak Khud Iske Nigehbaan (Hafeez) Hai”
(Al Quran Surah No : 15 Surah Al Hizr , Ayat : 09)


Ayat 12 : 
قالَ اجعَلني عَلىٰ خَزائِنِ الأَرضِ ۖ إِنّي حَفيظٌ عَليمٌ
“Yusuf Ne Kaha Mujhe Zamin k Khazane Par Karde, Beshak Mai Hifazat Waala Ilm Wala Hoon”
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat : 55)
Pehli aayat me Farmaya HAFEEZ ALLAH Taala hai aur ussi Quran me ALLAH Taala Ne Yusuf Alaihi Salam ko bhi Hafeez Farmaya. 

Quran Ki barkaat hai wo jo kehte hai ALLAH k elawa koi Hafeez nahi hai unke ghar bhi 05 madrase me padhne k baad ek ladka bhi khud ko Hafeez Kahte hai ? Kyu ? 
Besharmo Sharm nahi aati ALLAH Taala Ko Bhi Hafeez maante ho aur Apne Ladko ko bhi maante ho Shirk hojana chahye Na ? 
04 ) Aala Hona 
Ayat 13 : 
سَبِّحِ اسمَ رَبِّكَ الأَعلَى
“Apne Rab Key Naam Ki Paaki Bolo Jo Sabse AALA (Buland) Hai ”
(Al Quran Surah 87 Aala Ayat : 01)
Ayat 14 : 
قُلنا لا تَخَف إِنَّكَ أَنتَ الأَعلىٰ
“Humne Farmaya Dar Nahi Beshak Tu (Moosa Alaihi Salam) Hi Aala (Gaalib) Hai”
(Al Quran Surah 20 Taha Ayat :68)
Lafz AALA ALLAH Taala Farmata hai Mai ALLAH Hu ab unke Nukte nazar se Kisi ko bhi AALA kaha to Shirk hojayga aur is lafz se wahabiyo ko badi nafrat bhi hai k Ahmad Raza Khan Rahimullah Ko bhi tum Aala bolte ho AALA bas ALLAH TAALA hai baaki koi AALA Nahi lkin ussi Quran me ALLAH Taala Ne Apne Nabi Hazrat Moosa Alaihi Salam ko farmaya jab Firaun se Mukable ka wakt aaya hai farmaaya khauf naa rakh tu hi Aala hai. Kya Huwa Shirk Huwa ALLAH bhi AALA Banda Bhi Aala. 
Kya Har Kisi ko AALA Keh Sakte hai ? Nahi Iski izazat nahi wo Sirf ALLAH k Bando ko hai lihaja Jab Moosa Alaihi Salam ne kaha na k Mai AALA hu to Firaun ne bhi kaha Tha padhe 
Firaun Ne Bhi Daawa Kiya Mai AALA HU USKE JUMLE KA RADDH KAR DIYA
Ayat 15 : 
فَقالَ أَنا رَبُّكُمُ الأَعلىٰ
“Phir Bola Mai Tumhara Sabse AALA (Uncha) Rab Hoon”
(Surah 79 Naziyat Ayat 24 )
Ayat 16 : 
فَأَخَذَهُ اللَّهُ نَكالَ الآخِرَةِ وَالأولىٰ
“To Allah Ne Usse Dunya Aur Aakhirat Dono K Aazab Me Pakda”
(Surah 79 Naziyat Ayat 25 )
Besharmo Sharm nahi aati ALLAH Taala Ko Bhi Hafeez maante ho aur Firaun Ne Bhi AALA hone ka dawa kiya tha natiza kya huwa Firaun ko Aazab e Ilahi me pakda gaya aur ALLAH ne Moosa Alaihi Salam ko AALA kaha aur phir apni Taraf unko rakha ye jo HIZBULLAH  ALLAH KI JAMAAT HAI aur wahi dusri Taraf Firaun ka raddh kiya k tu AALA Nahi Moosa Alaihi Salam Aala Hai  Firaun Hizbushaitan hai Shaitani Jamaat. 
Pata Chala ALLAH Taala ALLAH Taala Apni Baaj Sifat wo khas sirf Apne bando Hizbullah ko deta hai Hizbushaitan ko nahi. 
5) Maula Kon ?
Ayat 17 : 
قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ
“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”
(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51) 
Ayat 18 : 
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai” 
(Al Imraan Ayat 150) 
Ayat 19 : 
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Aur Isliye k Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi” 
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)
Ayat 20 : 
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“To Beshak ALLAH unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Uske Baad Farishte Madad Par Hai”
(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)
Is Lafz Maula se bhi Badi Chid hai wahabiyo ko kehte hai Maula Sirf ALLAH hai baaki kisi aur ko Maula Nahi kah sakte Lihaja Shirk Hai Tum Hazrat Ali Radi ALLAHO ANHO Ko Maula kehte ho Jabki Maula Sirf ALLAH hai.  

ALLAH Taala k Maula hone ka Inkaar kiya kisne ?  Quran Me khud ALLAH irshaad Farmata hai Mai Maula Hoon Musalmano k Maula Hai JIbril Alaihi Salam, Nek Musalmaan, Farishte, Aur Khud Rab Tabarakwatala to Quran khud Maula Bando ko keh raha hai aur is masle ko itni usaat di ALLAH k Nabi Sal ALLAHU ALAIHI WASSALAM ne K Farmya 
Hadees :  مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ مَوْلاَهُ 
Hazrat Zaid Bin Arqam Se rivayat Hai Nabi e Karim Sal Allahu Alaihu Wassalam ne farmaya JISKA MAI MAULA HOON USKA ALI MAULA HAI.
References : 
(Sunan Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078, "English No : 3713")
(Sunan ibn Majah, Kitab No : 01 AL Mukaddama Hadees : 126 " English No : 121)
To Hum par ye ilzaam naa lagaye k Hum Bando ko ALLAH bana rahe wo tum ho jinhone ALLAH ki Shan ko Bila Wajah bando se milane ki koshish ki hai kya natiza hoka iska Banda bhi Maula ALLAH bhi Maula Phir Wohi ek hi raasta hai jo upar wajeh kiya hai fark koi.
(Note : In Sha ALLAH Taala Is masle MAULA pe ek mukammal post aaygi Hazrat ALI Radi ALLAHO ANHO Ko MAULA ALI KAHNA KAISA usme itne hawale denge k inki akal thikane aajaygi.)
Hosakta hai ab yaha ye Mugalta subahat pesh kiye jaaye k jo tumne Sifaat bayan ki hai woto Nabiyo aur Farishto k liye hai tum gair e Nabi Alaihi Salam me ye baat dikhao ? 
Ye ek Waswasa hai unki jaanib se Awaal to ye kahunga k kya tum ALLAH k Nabi Alaihi Salam ko farishto ko Sharik maante ho ? 
Kayamat aajaygi kabhi iska jawab nahi aayga. 
Khair ab mai wo Sifaat Gair e Nabi me dikha raha hu jo to upar bayan karda sifaat se zyada mukhalifeen pe jarb lagayigi wo hai
07)  Rab Hona 
Ek Anpad Jaahil Se Jaahil Insaan Ko Pucho Tera RAB Kon hai wo kahega Mera RAB ALLAH hai mai ahle Ilm ki baat nahi kar raha jahil awaam bhi itna jaanti hai ab kisi aur ko koi Rab Kahde to unpad to dur padha likha shaks bhi
fauran SHIRK k fatwe thok dega.
Ayat 21 : 
الحَمدُ لِلَّهِ رَبِّ العالَمينَ
“Tamam Khubiya Allah k Liye Jo RAB Hai Saare Jaahan Waalo Ka”|
(Al Quran Surah 01 Fatiha Ayat 01)
Ab Rab To ALLAH hai iske aage Dastageer hona Gaus Hona Garib Nawaz Hona, Daata hona ye sab to choti sifaat hai halanki ye tamam lafz to Quran me nahi hai ye to Farsi k alfaaz hai lkin ab dekho Quran ne aur kisko RAB bola hai.
Ayat 22 : 
ا صاحِبَيِ السِّجنِ أَمّا أَحَدُكُما فَيَسقي رَبَّهُ خَمرًا
“Aye Kaid khane k Dono Sathiyo Tum Me Ek To Apne RAB (Badshah) ko Sharab Pilayga” 
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat : 41) 
Ayat 23 : 
لَ لِلَّذي ظَنَّ أَنَّهُ ناجٍ مِنهُمَا اذكُرني عِندَ رَبِّكَ
“Aur Yusuf Ne Un Dono Se Jise Bachta Samjha Us’se Kaha Apne RAB(Badshah) k Pass Mera Zikr Karna” 
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat :42)
Ayat 24 : 
فَأَنساهُ الشَّيطانُ ذِكرَ رَبِّهِ فَلَبِثَ فِي السِّجنِ بِضعَ سِنينَ
“To Shaitan Ne Usse Bhula Diya Ki Apne Rab (Badshah) K Saamne Yusuf Ka
Zikr Kare To Yusuf Kayi Baras Aur Zelkhane Me Raha”
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat :42)
Ye Pura Wakya Surah Yusuf me Tafseer se mauzood hai mai yaha sirf uska pasmanzar likh rha hu taaki khulasa hojaye Jab Hazrat Yusuf Alaihi Salam ko
Kaid Kiya hai to Jail me 02 kaidiyo ne khwab dekha jiski taabeer bayan ki
Hazrat Yusuf Alaihisalam ne k Ek ko Maut saza hogi aur ek badshah ko jisko RAB kaha Hazrat Yusuf Alaihi Salam ne usko sharab pilayga usko kaha k Mera ZIKR MERE RAB SE KARNA. 
Gaur Kare Kya Yusuf Alaihi Salam ko tauheed nahi pata thi k Badhshah ko APNA RAB kah diya ek baar nahi nahi 03 baar jo aayat me aaya aur Quran ne iska mukammal zikr kiya hai kyu ??
ALLAH ne to Yusuf Alaihi Salam par wohi bhejne tha k tumne Mere Elawa wo bhi badshah ko RAB maan liya Shirk hogaya. 
ALLAH Taala Kharjio ki so called Tawheed ka Buth khana toda hai Chunki Rab Taala Jaanta tha ek aisi kaum aaygi jo Tauheed ko galat bayan karegi
Mere Bando ko Mushrik kahegi. 
Yaha to Rab bol diya wo bhi BADHSHAH ko jo Nabi bhi nahi Wali bhi nahi tum Daata Gaus Garib Nawaz kahne pe lad rehe ho to yaha jo maana mazaz ka liya jayga wohi waha liya gaya hai yaha shirk na hua to waha kaise shirk hoga ?? 
Kya Taabir Nikalenge ALLAH Taala Ki Sifaat Uske bando me maano to Shirk unka kahna hai phir kya karnge yaha ? 
Taabeer wohi hogi jo AHLE SUNNAH WA Jamaat ki hai Bando ka Hona
ALLAH Taala Ki Ata se hai aur ALLAH Ka Hona Uska Jaati hai Alhamdullilah 
Agr inka nazariya maana jaaye to dunya to dur phir QURAN ko hi pura
shirkiya maan naa padh jaayge.
Hawala itna zyada hai k sab bayan nhi kiye jaa sakte ye bas 24 number k raddh 24 Aayat e Qurani se unki khud sakhta tauheed ka QURANI jawab diya hai agr chahte to 200 aayato se raddh kar sakte the par QURAN hai ek aayaat bhi aaye to maano par jinke dilo me KUFR hai unko pura QURAN bhi kaafi nahi hai. 

Gairullah Se Madad Maangna Kaisa

ALLAH K BANDO KA ALLAH KI ATA SE MADADGAAR HONA

Mukhaliffen k taraf se Ahle Sunnat K Khilaf Sabse Ahem jo unwaan hai wo ye hai k Tum Gairullah se maangte ho lihaja Shirk hai awwal to pehli post pe humne Ayaat e Qurani se wajeh kiya hai k Me’aar E Uloohiyat Madadgaar hona Mushkil kusha Hona Hazatrawa hona Dastageer Hona nahi hai agr Madadgaar Hona Me’aar e Uloohiyat hota to ek lamha k liye bhi kisi ko nahi diya jaata hai Lihaja jo jaahil ye khte hai Madadgaar Maan lene Se Shirk hojayha wo  Ahkaam e Quran se khali hai Shirk tab aayga Jab IBADAT ki jaygi ALLAH ki siwa kisi aur ki to shirk hoga abhi mai aayate likhunga Madadgaar hone k talluk se 
Allah Taala ne Khud Apne bando ko Apni Madad Ka Mazhar Banaya hai jo Nas e Quran se saabit hai Ab Jin Ahmak Jahilo ko Ibadat Aur Madadgaar Hone Me Fark nahi Pata wo hi jaahil hai jo Shirk k fatwe thokte hai kitna FARK hai MADAD aur IBADAT me soche to saaf saaf samajh aajayga.
MADAD Iske liye arabi lafz hai ISTEGHASA aur ISTIANAT ye dono lafz Quran me mauzood hai.
1)ISTEGHASA  : ”KISI KO MADAD K LIYE PUKARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 617)
2)ISTIA’NAT  : ”MADAD TALAB KARNA” 
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 598)
Ahle Sunnah Wa Jamaat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Zaij Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hai. Aur Musalmaan Ka yehi Akeeda Hota Hai Ek kam ilm Se leke unpad Musalman tak Ka yehi Akeeda Hota Hai Aur Wo Kisi ALLAH k Bande ko ALLAH ya ALLAH k barabar Nahi Samajhta. WAHABI KI MAKKARI AUR JHUTO PROPOGANDA Wahabi Mullah Gair Mukkalid Dev k pujari dono ye jitne baatil firqe hai Sabka Ahle Sunnat Wa Jaamat k khilaf ek jhoota Propoganda hota hai jisme awaam ko hamesha uljhate hai ye wo kahenge Dekho Jo ALLAH se direct maangta hai usko tum Kafir gustakh bolte ho hamara Jurm ye hai k Hum ALLAH se mangte hai tum Gair ullah se maangte ho. Ye Sadi ka sabse bada jhoot hai hamari kisi Motebar Aalim e Deen ne ya hamari kisi motebar kutoob me ye nahi likha hai k JO ALLAH se Direct Maange wo Gustakh hai yaa kaafir hai balki Wahabi Kaafir isliye huwe hai k inke Mullao ne ALLAH AUR RASOOL ki sakht Gustakhi ki hai ye khabis apni gustakhi ko chupane k liye unwaan badal dete hai. Aap direct maango wo bhi jaiz hai ALLAH waalo ko mazhar samajh k maango to bhi jaiz hai hamesha yaad rakhe direct ALLAH se maangne pe kisi ka Ektelaf hai hi nahi. Ab aaye apne Dalail Ki Taraf Piche Post me humne 24 Qurani aayat se inki so called tauheed ka raddh kiya hai ab aage. Allah Taala ne Apne Deen Ki Madad Apne Bando Se Karwaayi Ayat 25 : يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كونوا أَنصارَ اللَّهِ كَما قالَ عيسَى ابنُ مَريَمَ لِلحَوارِيّينَ مَن أَنصاري إِلَى اللَّهِ ۖ قالَ الحَوارِيّونَ نَحنُ أَنصارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَت طائِفَةٌ مِن بَني إِسرائيلَ وَكَفَرَت طائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدنَا الَّذينَ آمَنوا عَلىٰ عَدُوِّهِم فَأَصبَحوا ظاهِرينَ “Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ” (Surah No 61 Surah Saff Ayat 14) Ayat 26 : يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم “Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega” (Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07) Is Aayat me Mauzood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k khud Nabi hai ALLAH ne to aayat bhejni thi naa k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me mauzood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hai Kya Allah Taala Khud Apne Deen Ki Madad Nahi Kar Sakta hai Jo Bando Se keh Raha Hai ? Kya Matlab Huwa ALLAH k Izan k bina koi lakh koshish karle kuch nahi kar sakta kya akeeda banega Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar hai aur unke yaha to madadgaar hona hi shirk hai phir ye kya Shirk Huwa. Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna Ayat 27 : ثُمَّ جاءَكُم رَسولٌ مُصَدِّقٌ لِما مَعَكُم لَتُؤمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ “Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna” (Surah 03 Al Imraan Ayat 81) Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA to yaha MADAD kyu karne ko kaha ? Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana Ayat 28 / 29 /30 : وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي - 29 هارونَ أَخِي - 30 اشدُد بِهِ أَزري - 31 “Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29 Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30 Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31” (Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31) Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ? Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran Ayat 31 : قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ “Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi” (Surah 20 Surah Taha Ayat : 36) Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya.. Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI. Sabit Kadam Rakhna Madadgaar Hona MAIDAN E BADR KA MARHALA AUR FARISHTO KA MADADGAAR HONA Ayat 32 : يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم وَيُثَبِّت أَقدامَكُم “Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega aur Tumhare Kadam Jama Dega” (Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07) Ayat 33 : إِذ يوحي رَبُّكَ إِلَى المَلائِكَةِ أَنّي مَعَكُم فَثَبِّتُوا الَّذينَ آمَنوا ۚ “Jab Aye Mehboob, Tumhara Rab Farishte Ko Wahi Bhejta Tha Ki Mai Tumhare Saath Hoon Tum Musalmano ko Sabit Kadam Rakho” (Al Quran Surah 08 Anfal Ayat : 12) Allah Taala ne Musalmano se kaha k tum ALLAH k deen ki madad karo ALLAH Taala Tumko sabit kadam rakhega Saabit Kadam rakhega ab sabit kadam rakhna ye madad hai Mushkil Kushai hai Hazaat Ravayi hai ab ye unke mutabik Me’aar e uluoohiyat madadgaar hona hai agr Rab k siwa kisi pe ye maan le to shirk aajayga. Pehli Aayat me Farmaya Saabit Kadam Mai Rakhta Hoon Uske Baad Surah Anfal me Farmaya FARISHTO Tum Saabit Kadam Rakho Kyu ? Jab ALLAH Taala Ne Khud Saabit kadam Rakh diya to phir Farishto ko Kyu Bheja ? Kya Rab Taala K Paas Koi Kami thi Kya ALLAH TAALA Ki khud ki madad kaafi nahi thi jo Farishto Ko Darmiyan me laaya ? Kabhi Ek Lamhe k liye bhi gaur o fikr kiya hai khwarijeen wahabiyo ne ? 02 aayat aur padhe phir is sawal ka jawab bhi aajayga magar mukhalifeen iska jawab naa de sakenge. Ayat 34 : قُل مَن كانَ فِي الضَّلالَةِ فَليَمدُد لَهُ الرَّحمٰنُ مَدًّا ۚ حَتّىٰ إِذا رَأَوا ما يوعَدونَ إِمَّا العَذابَ وَإِمَّا السّاعَةَ فَسَيَعلَمونَ مَن هُوَ شَرٌّ مَكانًا وَأَضعَفُ جُندًا “Tum Farmao Jo Gumraahi Me Ho To Use Rehmaan Ne Khoob Dheel De, Yaha Tak ki Jab Wo Dekhe Wo Cheez Jiska Unhe Waada Diya Jaata Hai Yaa To Aazab Yaa Kayamat To Ab Jaan Lenge Ki Kis Ka Bura Darjaa Aur Kiski Fauz Kamzor” (Surah No. 19 Surah Maryaam Ayat 75) Allah Taala ne aayat nuzool kar waada liya tha Kuffaro se k wo wakt aayga jab Kafiro tum jaan loge k kaun khasare nuksaan me hai aur Kiski Fauz Zyada takatwaar hai. جُندًا lafz Bahot se k liye Istemaaal hota hai wo kon the Bahot log Wo ALLAH k bheja Farishto ki baat hai jo Maidan e Badr Me Madad K liye aaye the jinka waada tha ek aur aayat dekhe. Ayat 35 : إِذ تَستَغيثونَ رَبَّكُم فَاستَجابَ لَكُم أَنّي مُمِدُّكُم بِأَلفٍ مِنَ المَلائِكَةِ مُردِفينَ “Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se” (Surah 08 Surah Anfaal Ayat 09) Upar ek Sawal tha ALLAH QAADIR hai k chahta to direct hi sab kar deta yaha FARISHTO ko darmiyan me laana aur hazaro ko bhej Badr k maidan me madad karana Musalmano ki kyu bheja ? Point : Rab ne Farishto ko ye kyu kaha ? Kya Rab ko koi kami thi farishto ko kyu laaya ? Allah Chahta Kaafir ghar se nikalne se phle mar jaate raat ko soye the subah koi uth naa paate mar jaate Talwaar liye the talwaar gir jaati Talwaar utha liye chala na paate Jab ALLAh khud rakh sakta to farishto pe wo sifaat kyu bayan ki darmiyan me laaaya kafiro se ye kaha tab maloom hoga kiske madadgaar zyada takatwaar hai Rab Taala bata raha tha k jinki madad ki aas me tum kuffaro ne jung e ladi hai yaani wo buth itne kamzor hai k Mere Bheje gaye BANDE yaani Farishto ka Mukabla nahi sakte hai aur tum un butho ko mera sharik banaye bethe ho dusra k hakiki madad to ALLAH Taala ne ki hai par Madad k mazhar apne Bando ko bheja aur banaya taaki koi ALLAH K BANDO ko MADAD gaar maan ne pe SHIRK naa bhoke Me’aar e ULOOHIYAT na banale warna bataye k Kya Jarurat aan padi jo badr me Farishte aagye ? ALLAH TAALA Madadgaar HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI ? Ayat 36 : بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرين “Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai” (Al Imraan Ayat 150) Ayat 37 : ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم “Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ” (Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11) Pehle aayat me farmya ALLAH Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya Ayat 38 : ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ “Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai” (Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04) Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k kya taabir aaygi iski ? ? Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga?? Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe. Conclusion : In tamam guftgu ka jo khulasa hai wo ye k Me’aar e Uloohiyat aaj awaam ko jo bataya gaya k aapne Sifaat dedi Shirk hogaya Madadgaar maan liya shirk hogya to humne ayat e Qurani se saabit kiya k Me’aar ye nahi hai ab koi shaks Madadgaar ko bataur e Dalil pesh kare to aap fauran pakadle k ye Me’aar nahi hai jo tum bayan karte ho. Subahat Wahabiyat ki Janeeb Se : 1) Aitraaz 01 : Aapne Jo Dalail Qurani Aayat Pesh ki hai is se bas ye saabit huwa k Zindo se Madad Maang Sakte Hai Murdo Se Nahi. Al Jawab : awwal to is se saabit nahi huwa k Murdo se maanga to SHIRK hai ya zindo se maango to Tauheed. Maangna hargiz me’aar nahi hai Kya Aap Zindo ko ALLAH ka Sharik Maante ho ? Wo tilmila jayga yaha Chand Istelahi baat yaad rakhe kaam aaygi i) Jo SHIRK Hai wo hamesha SHIRK HAI aisa nahi hai k Zindo k liye Tauheed ho aur Murdo k liye SHIRK hojaye ? Kya Aisa Hai ? ii) Kisi Shaks Ne Zinda ko Mabood banaya Wo Mushrik hai SHIRK huwa Kisi shaks ne Murde ko maabood bnaya Wo Bhi Mushrik huwa kyu kyki Shirk hone me ZInda aur murda ye paimana hai hi nahi. 02) Tum ALLAH ko Chod k Gairullah ko Pukarte ho Lihaja Shirk Paaya Gaya ? Al Jawab : Shirk hai to kyu ? Aur Kis Tarah Ka Shirk Hai ? Kis Category me jaayga ? Tumhare bol dene se shirk nahi hota hai. Kya Pukardene se shirk hojata hai ? Pehle Tum Ye Decide Karo Gairullah me Zinde aur murde ki kaid hai ya dono gairullah hai ya dono alag hai ? Allah Taala K Elawa Tamam Makhlook jisko wajood baksha hai chahye Ambiya Alaihsalam ho Auliya ho Jinn Farishte Insaan haiwanat al garz har cheez ka shumar gairullah me hota hai. To Gairullah ko tum bhi pukarte ho tum khud mushrik huwe ho. Lihaja Pukarnaa to shirk naa huwa PUJNA shirk hota hai PUKARNA AUR PUJNA Dono me fark hai Aur Pukarne se banda mushrik hota to daily insaan kisi na kisi ko pukarta hai woto sab gaye phir. Ye Chand baatein hai jo Spoon ki trah saamne rakhi hai jab bhi in khabiso se bahes ho usool k mutabik samjhaye ye baat jab bahes hoti hai to wo karte hai lihaja isliye bayan kar diya awaal to awaam ko bahes karna nahi chahye kyuki uske liye bahot ilm chahye agar kabhi aise naubaat aajaye koi khabees saamne mil jaaye bahes baaji karte to usoolan step wise samjhaye wo lajawab hojayga IN SHA ALLAH Taala Part 04 - Wo Hadees e Paak Jo Sahaba k Saamne Quran Pesh Karte The Ab yaha Wo Hadees E Paak Jiska Pehli Post me Zikr kiya Tha Ab wo likh raha hu Hadees E paak Padhna aur Phir Dekho SAZRA E NASAB milta kaha se hai inka jo aaj ummat ko gumraah kar rahe hai hadees padho aur aaj k khwarijeen ko dekho sab saamne dikh jaayga. Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho - Hadees : Hazrat Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade. Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The. Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan) Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ? Jabki Quran Me Allah Farmata Hai “Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi (Surah Al Imraan Ayat 192)” Phir Ek Aur Aayat Padhi “Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge - (Surah Sajdaah Ayat 20)” Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ? Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ? Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ? Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha) Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ? {*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) } Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai. Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge. Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke). Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge. Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka. Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Bhi Jhut Bol Sakta Hai Aur Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek k. References : (Sahi Muslim Vol : 01, Kitabul Imaan Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’) (Imam Abu Naoem Al Hilyatul Awliya) Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai. 1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI : Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai. 2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI : Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ? Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage. 3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO : aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha. 4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai. Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai. 5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The ? : Huzoor Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ? Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai. 6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA : Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen. 7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA : Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai. Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai. 8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai. 9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge. Kitne sawalo ka jawab hai is hadees me hosakta hai aksariat majority awaam ne kabhi ye hadees naa suni ho na padhi ho aur unke jalso me to ye bayan hi nahi hogi Hadees kis kitab me hai jiska raat din naam lete MUSLIM Sharif kyu nahi batate ye hadees jaante hai unke sazre khul jaaynge. Part 05 - Jo Shirk Naa Tha Usko Bhi Shirk Declare Kiya Wahabiyo Ka Kabool Naama Ulma e devband Ashraf Ali Thanvi Ki Kalam se Khud Ismail Dahelvi Ka Kabool Nama k Taqviyatul Imaan me Usne Khayanat ki Hai likhte hai “Mai Jaanta Hoon Isme Baaj Jagah Jara Tez Alfaaz Aagaye Hai aur Baaj Jagah Tassadud Bhi Aagaye hai Maslan Un Umur Ko Jo Shirk e Khafi The Shirk E Jali Likh Diya Gaya. In Wajoo Se Mujhe Andesha Hai k iski ishaat se Shoras jaroor hogi agar mai yaha rehta to is mazameen ko 8 10 baras me bayan karta lekin is wakt mera irada hajj ka hai aur waha se wapse k baad jihad ka hai aur isliye mai is kaam se maazor hogaya hai aur dusra is bhaar ko uthayga nahi isliye maine ye kitab likh di hai magar tawakko hai k log lad bhid k thek hojaynge ” (Hikayatul Auliya / Arwaah E Salasa Pg : 74 By Ashraf Ali Thanvi) Ye Angrezi Agent Ismail Dahelvi k jumle likha hai Thanvi ne likha Kitab Takviyatul Imaan k baare me khud kabool kiya hai Ismail ne k maine is kitab me khayanat ki hai wo umoor jo shirk nahi the usko bhi shirk likha lafz itne tez likhe istemal kiye k log ladenge khud bol rha hai kabool khud kar liya k ladai hogi magar phir bhi print kar diya aur kehte log ladenge Musalman is kitab ko maanenge nahi jhagde honge aapas me par ummid hai ummid hai log ladenge phir sab thek hojayga ye koi chota jurm hai jo Shirk nahi usko shirk bolo aur sabko kaafir boldo. Andaaza lgao us daur me angrezo ki sazish kya thi Musalmano ko aapas me ladana tha tum hi ne unke makasid ko pura kiya aur fatwa khud galat diya khud kabool kiya jurm tumne kiya aur ilzaam musalmano pe laga rhe ho. MUNAFIK E JAMANA Ulma E WAHABI AHLE HADEES KA KABOOL NAMA Imam E Wahabiya Al Hind Wahiduzama likhta hai “Hamare Baaj Bhaiyo Ne Masla E Shirk k Andar Badi Shiddat Ekteyaar Ki Aur Islaam K Dayre Ko Mehdood Kar Diya” (Hadiyatul Mehdi Pg : 26 by Gair Mukkalid Nawab Wahiduzama) Tumhara baap khud kabool kar rha hai k humne khurrafat ki jhut tauheed bayan ki masla e shirk me khayanat dikhayi aur Islam ko mehdood kar diya kayamat tak iska jawab nhi denge haa baap badal jaynge inke bolenge hum nhi maante isko Saudi Arab se Urdu Bukhari ka Tarjuma kiska print hota hai wo yehi baap hai tumhara. Pata chala Ummat ne Jurm Nahi kiya balki Tumne Galti ki galat fatwa likha galat kitab likhi aur Ummat ne Nabi Ko ALLAH WALI KO NAbi nahi banaya balki Tumne khud ALLAH ki shaan ko bande se milane ki koshish ki kar nahi sakte par aaj pure unke awaara bete isi me lage hai k kis trah logo ko mushrik banaye. Subahat : ye Tamam k baad bhi wo hatt dharmi dikhaynge aur Quran e Karim ki kuch aayat pesh karnge jaise mafoom Jinko tum ALLAH ko chodke pukarte ho pujte ho etc ye unwaan aur is se related aayat unki kya tafseer hai uska maane kya hai PUKARNA PUJNA kaha kis meaning me aata hai ye sab mai tafseer k saath hadees k saath kist dar kist post karunga aur phir baad az Wisaal Ambiya Aulia se madad maangne pe kya kya dalail hai sab post aayngi IN SHA ALLAH Taala bas apni bunyaadi foundation mazboot rakho ALLAH waalo se nazdiki jodo kabhi koi mugalta nahi aayga.

No comments:

Post a Comment