Aurto ki Behtirin Masjid aur Aurto ka Tariqa e Namaaz
Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat : Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara : Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish : Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad : Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal’a Anhum Andhra Pardesh.
Hamari Dawat : Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara : Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish : Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad : Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal’a Anhum Andhra Pardesh.
Note :
Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.
Mohtaram Baraadraan-E-Islam.! Deen-E-Islam Me Aurto’n Ko Pardah Nasheen Rehne Ka Hukm Diya Gaya Hai. Islam Ne Aurat Ko Ghar Ka Charaagh Banaya Hai.
Isi Wajah Se Aurto’n Ka Masjid Aa Kar Namaz Parhna Lazim Nahi Hai Balke Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Apne Mubarak Zamanah Ki Pakeezah Aurto’n Ko Bhi Ghar Me Namaz Parhne Ki Baar Baar Targheeb Di Hai Aur Is Par Zyadah Sawaab Ki Basharat Sunaayi Hai.
Mardo Se Toh Yeh Farmaaya Ke Agar Koi Aurat Tum Se Masjid Jaane Ki Ijaazat Maangne Toh Ijaazat De Toh Ma’na Mat Karo Lekin Kisi Bhi Khatoon Ko Aap Saw Ne Masjid Aakar Namaz Padhne Ka Hukum Nahi Diyaa Balke Uski Targheeb Bhi Nahi Di Aur Yahi Ahnaaf Wa Shwaafe Aur Puri Ummat Ka Hukum Hai ,
Lekin Is Sunnat E Nabawi Aur Ijma E Ummat Ke Barqilaaf Daur E Haazir Keg Hair Muqallideen Ahle Hadees Ahbaab Khwateen Ko Masjido Me Aakar Namaz Padhne Ka Hukum De Raha Hai Aur Ghair Muqallid Ahle Hadees Khwateen Bhi Poore Zauq Wa Shauq Ke Saat Sawaab Ka Kaam Samaj Kar Masjid Aakar Namaz Aada Karti Hai (Balke Toh Ghair Muqallideen Aurto Ko Maah E Ramzaan Me 10 Din Masjido Me Mardo Ke Saat Aitekaaf Bhi Karaane Ki Koshish Kar Rahe Hai , Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya ) ,
Lekin Dar Haqiqat Ghair Muqallideen Hazraat Yeh Fa’al Shariyat Ke Ahkaam Ke Khilaaf Hai.Kyunke Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Daur E Mubarak Me Fitna Ka Andesha Nahi Tha Aur Us Waqt Khwatein Sharii Usool Aur Chand Bandhiyo Aur Sharto Ke Saat Masjid Aakar Namaz Aada Karti Thi Lekin Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me Jab Aurto Ki Halat Me Kuch Tabdeeli Aane Lagi Toh Unko Masjid Me Aakar Padhne Se Rook Diya , Jaisa Ke Khud Hazrat Ayesha Siddiqua Rdh. Bayaan Farmaati Hai Ke :Aurto Ne Jo Nayi Cheeze Ijaad Ki Hai Agar Rasoolullah Saw Usko Dekh Lete Toh Unko(Apne Daur Me Hi)Masjid Aane Se Zaroor Ma’na Farmaa Dete Jaisa Ke Bani Israel Ki Aurto Ko Ma’na Kardiyaa Gaya Tha.
Huzoor E Akram Saw Ke Zamane Me Aurto Ko Din Ki Namazo Me Nahi Balke Raat Ki Namaz Me Masjid Me Haazir Hone Ki Ijaazat Thi Jaisa Kea Lama Kirmaani Rh. Farmaate Hai Ke Rasool Ullah Saw Ka Irshaad E Giraami “Aurto Ko Masjid Jaane Se Na Rooko “ Raat Ke Bare Me Hai.(Kiraamaani) Phir Huzur E Akram Saw Ki Wafaat Ke Ba’ad Tabdeeli Ki Waje Se Sahaba Ikraam Rdh. Apni Khawateen Ko Masjid Jaane Se Rokne Lage. “Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Juma Ke Din Aurto Ko Yeh Kehte Huwe Masjid Se Nikaal Dete The Ke Apne Ghar Ko Jaao Wo Tumaare Liye Behtar Hai.(Tabraani E Kabeer) Alama Hishmo Rh. aur Alama Manzri Rh. Farmaate Hai Ke : Is Riwayat ke Tamaam Raavi Siqa Qabil e Aaitemaad hai aur Iski Sanad me Koi Aaib Nahi (Majmua Al Zawaid 35/2 , Targheeb 94/1).
Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Masjid Aane Waali Kahwateen Ko Kankariyaan Maarkar Masjid Se Nikaalte The.(Umda Tul Qaari : 225/6)
Hazrat Ibn Omer Rdh. Ghar Ki Aurto Ko Dono Eido Me Eidgah Nahi Leejaate The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba).
Phir Jamhoor Sahaba Rdh. Bhi Khawateen Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Lage Jaisa Ke Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Tehreer Farmaate Hai : Aksar Sahaba Ikraam Rdh. Ne Aurto Ko Masjid Jaane Se Ma’na Karne Ka Faisla Farmaya…Aur Fitna Ke Andesha Se Aurto Ko Roknaa Jayez Hai.(Hujjat Ul Baalegha).
Huzoor E Aqdas Ka Irshaad E Giraami Hai : Aurat Ka Ghar Me Namaz Adaa Karna Chahiye Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Behtar Hai.(Tabraani , Targheeb 93/1) Is Rivayaat Ki Sanad Jaiyad Hai.
Aurto Ko Masjid Jaane Se Mat Roko Lekin Unke Ghar Unke Liye Masjid Se Behtar Hai.Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh Aur Abdullah Bin Abbas Rdh. Farmaaya Karte The “Aurat Ka Apne Ghar Ke Kamre Me Namaz Padhna Apne Mohalle Ki Masjid Me Namaz Padhne Se Afzal Hai “.(Tabraani Uski Raavi Saheeh Ke Raavi Hai , Majmua E Zawaid 35/2 , Musannaf Ibn Abi Shaiba 354/2 , Iski Rivayat Hasan Hai) Is Ke Alaawa Aur Kahi Riwaayate Hai Jin Se Waazeh Hota Hai Ke Shariyat Me Aurto Ka Qususan Jawaan Aurto Ka Masjid Me Aakar Namaz Padhna Harghiz Jayez Pasanad-Dida Kaam Nahi.(Tafseel Ke Liye Padhiye : Majmua Rasail Wa Maqaalaat : Jild 2)
Aurto’n Ki Namaz Ka Islami Tareeqah:
Mohtaram Baraadaraan-E-Islam.! Shari’at Islami Ke Ahkaam Par Amal Karna Jis Tarah Mardo’n Par Farz Hai Waise Hi Aurto’n Par Bhi Farz Hai. Insano Ki Ye Dono Sanafei’n Aksar Ahkaam Me Yaksaa’n Aur Barabar Hain Lekin Mard-O-Aurat Ke Darmyan Jo Khalqi, Jismani Wa Tib’i Farq Hai, Iska Lihaaz Rakhte Hue Islam Ne Apne Ba’z Ahkaam Me Mard-O-Aurat Ke Darmyan Kuch Farq Rakha Hai.
Isi Tarah Namaz Ke Bhi Aksar Ahkaam Me Mard-O-Aurat Dono Barabar Hain Lekin Kuch Ahkaam Me Dono Ke Darmiyaan Kuch Farq Hai, Jo Ahadees Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aur Aasaar Sahaba (Raz.) Se Sabit Hai.
Imam Al- Azam Abu Haneefah, Imam Shafa’i, Imam Malik, Imam Ahmad (Rahmatullahi Alaihim) Aur Jamhoor Fuqaha’ Wa Muhaddiseen Ka Bhi Yehi Maslak Hai.
Aur To Aur Chand Dahay (Decades) Pehle Tak Maujoodah Hindustani Jama’t Ahle Hadees Ka Bhi Yehi Maslak Tha Jaisa Ke Unki Kitab Nuzlul Abraar, Risaalah Ta’leem As-Salaath Se Ma’loom Hota Hai Jisme Aurto’n Ko Mardo’n Ki Tarah Sajdah Karne Se Mana’ Kiya Gaya Hai. [Tafseel Ke Liye Dekhiye Majmua’ Rasaa’il Wa Maqaalaat Jild Duwwam]
Lekin Aaj Ke Ghair Muqallideen Hazraat Bohat Saare Masaa’il Ki Tarah Is Masla’h Me Bhi Jam’hoor Ummat Aur Khud Apne Akabireen Buzrugo Ki Mukhalifat Kar Rahe Hain.
Maujuda Ghair Muqallideen Ek Hadees Shareef “Namaz Us Tarah Parho, Jis Tarah Mujhe Parhte Dekhte Ho.” [Sahih Bukhari] Ka Ghalat Matlab Nikaal Kar Ye Propaganda Kar Rahe Hain Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahi Hai.
Sawaal Ye Hai Ke Agar Is Hadees Se Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahi Hai To Phir Charo’n Maslako’n Me Farq Kyon Bayan Kiya Gaya Hai.?
Kya 14 vi Sadi Ke Ghair Muqallideen Hi Ko Is Hadis Ka Matlab Samajh Me Aaya Aur Inse Pehle Kisi Ko Hatta Ke Unki Hi Jama’t Ke Buzrugo’n Ko Bhi Sahih Matlab Ma’loom Nahi Hua.?
Sahih Bukhari Ki Mash’hoor Shuroohaat Ibne Hajar, Ibne Battal, Allamah Aini (Rah.) Waghera Ne Likhi Hain Par Kisi Ne Is Hadis Ka Ye Matlab Kyon Nahi Bayan Kiya.?
Dar Haqeeqat Sahih Baat Yehi Hai Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Mard-O-Aurat Ko Waisi Namaz Parhni Chahiye Jaisa Ke Unko Shari’at Me Bataya Gaya Hai.
Farq Ko Waazeh Karne Waali Rivaayaat:
1. Jaleel ul Qadr Tabii Yazeed Bin Habeeb (Rah.) Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ka 2 Aurto par Guzar Huwa Jo Namaz Padh Rahi Thi , Aap SAW ne Farmaya : Jab Tum Sajda Karo Toh Jism ka Kuch Hissa Zameen se Chipka Diyaa Karo , Kyunke Aurat Is Masle me Mard ki Tarah Nahi hai.(Marasil e Abu Dawud : 8)
2. Hazrat Ali (Raz.) Ne Farmate hai ke Jab Aurat Sajda Kare Toh Samet Jaaye aur Apni Raano ko Milaale.(Musannaf Ibn Abi Shaiba : 504/2 ,Sunan e Kubra , Musannaf Abdur Razzak ] Muhaddis e Kabeer Alama Zafer Ahmed Usmani Rh. Farmaate Hai:Yeh Riwayat Hasan Darje ki Hai.(A’aa Al Sunan : 182/2).
3. Hazrat Umm Darda Rdh. Apne Kaandho Tak Uthaati Thi.(Juz e Rafedain : Safa 66 , Musannaf Ibn Abi Shaiba) Fuqaha wa Muhaddiseen Rehmaullah ke Nazdeek Is Riwayat ki rooshni me Aurat ke Liye Kaandho tak Haat Utaana Behtar Kyunke isme Satar aur Parda Zyada Paaya Jaata hai aur Muslim Shareef ki Hadees ki bunyaad par mardo ke liye kaano tak haat utaana sunnat hai.
4. Hazrat Ibn Umar Rdh. Farmaate hai ke : Rasoolullah SAW ke Mubarak Zamaane me Aurto ko Hukum Diya Gaya ke Wo (Namaz me) Sareen ke Bal Zameen par Baithe(Mardo ki Tarah Pairo par Na Baithe).(Jaami Al Saaneed : 400/1) Yeh hadees imam e azam abu hanifa rh. ki musnad me saheeh sanad ke saat hai aur musaaneed imam e azam ummat ke nazdeek qaabil e aaitemaad hai.(Tafseel ke Liye Dekhiye A’aalaa ul Sunan).
5. Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le. [Ibne A’adi]
6. Jaleel ul Qadr Tabii Hazrat Ata’ (Rah.) Farmate Hain: Rukoo’ Karte Waqt Aurat Sukad Kar Rahe, Apne Hatho’n Ko Dauran Rukoo’ Peit Tak Uthaaye Rakhe Jitna Ho Sakta Hai Apne Badan Ke Aizaa Ko Ek Doosre Se Chimtaaye Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Hath Peit Se Mila Kar Rakhe. [Musannaf Abdur Razzaq]
Inke Alawah Mujahid, Hasan Basri, Qatadah, Ibrahim Naqa’i Waghera Jaleelo Qadar Taba’een Rehmaullah Se Bhi Mardo’n Aur Aurto’n Ki Namaz Me Farq Bataane Wali Rivayat Naqal Ki Gayi Hain.
In Rivaayaat Se Saaf Waazeh Hua Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Aurto’n Ko Namaz Ke Dauraan e Satar Aur Pardah Ka Ahtemaam Karte Hue Simat Kar Namaz Ke Arkaan Bajaa Laane Chahiye. Aurto’n Ki Namaz Ka Tareeqah Batlaane Wali In Mazkoorah Baala Rivaayaat Par Chand Tarah Ke Aaitrazaat Karte Hain. Lekin Usool Hadis Ki Roshni Me Wo Aaiterazaat Durust Nahi Hain.
[Aaiterazaat Ki Tafseel Ke Liye Dekhei’n: Nafa-e-sul , Daleel-E-Namaz; Masnoon Namaz; Allah Ta’la Ki Pasandeedah Namaz Aur Majmua Rasaa’il Wa Maqaalaat: Jild Duwam].
No comments:
Post a Comment