Asmani Kitabon Ke Mutalliq Zaruri Aqaid

 Asmani Kitabon Ke Mutalliq Zaruri Aqaid
 1.      Aasmani Kitab: Wo Kitaben Jo Allah Taala Ne Makhlooq Ki Rehnumai Ke Liye Apne Nabiyon Par Nazil Kiya Hai. In Me Jo Kuch Irshad Huwa Sab Allah    Ka Kalam Hai. Aur Sab Par Iman Lana Farz Hai.
 2.      Kisi Ek Aasmani Kitab Ka Inakr Bhi Kufr Hai.
 3.      Ye Eteqad Rakhna Chahiye Ke Jitni Aasmani Kitaben Nazil Hivi Sab Allah Ka Kalam Hai Aur Haqq Hai.
 4.      Asmani Kitabon Ki Sahi Tedad Ka Ilm Sirf Allah taala Ko Hai
 5.      Alag Alag Qaumon Me Alag Alag Waqton Me Allah Ne Apne Nabi Bhej Kar Apna Paigham Pahunchata Raha. Wo Paigbam Wahee E Ilahi Kehlata Hai. Un Ahkamaat Ko Kitabon Aur Saheefon Ki Shakal Me Mehfooa Kiya Jata Raha.
 6.      Un Saari Asmani Kirabon Me Sab Se Afzal Chaar (4) Kitaben Hain.
                     ·        Tauraat
                     ·        Zaboor
                     ·        Injeel
                     ·         Quraan e majeed
In Chaaron Me Bhi Quraan E Kareem Sab Se Afzal Hai. Afzal Hone Ka Matlab Ye Hai Ke Hamarey Liye Is Me Sawab Ziyada Hai
7.      Taurat Aur Zaboor Ibrani Zaban Me, Injeel Siryani Zaban Me Aur Quraan E Majeed Arabi Zaban Me Nazil Huwe Hain.
8.      In Ke Ilawa Be Shumar Kitaben Aur Saheefe Jin Ke Tedad Sirf Allah Ko Pata Hai.
9.      Allah Ne Jo Kuch Bhi Apne Anbiya Par Nazil Kiya Hai Un Sab Par Iman Lana Zaruri Hai
10.  Sari Asmani Kitabon Me Sirf Quraane Amjed Hi Asli Halat Me Maujood Hai.
11.  Bilfarz Koi Asmani Kitab Asli Halat Me Mil Bhi Jaye To Ab Use Padhne Ki Ijazat Nahin.
12.  Quraane Kareem Ki Hifazata Ka Zimma Allah Ne Khud Liya Hai. Is Me Dusri Asmani Kitabomn Ki Tarah Ghatana Badhana Balke Ek Nuqtey Ka Bhi Farq Hona Na Mumkin Hai.
13.  Quraan Ke Bare Me Ek Nuqte (Dot) Ka Bhi Farq Huwa, Hoga Ya Ho Sakta Hai Aisa Man Na Kufr Hai.
14.  Quraane Kareem Ki Imtiyazi Haisiyat Ye Hai Ke Ye Wo Allah Ka Kalam Hai Jo Apne Sab Se Afzal Rasool Hazrat Muhammed Mustafa () Par Allah Ne  Nazil Kiya Hai. Quraan Ki Ayat Ki Tarha Ek Ayat Bhi Koi Nahi Bana Sakta Quran e Majeed Jaisa Kalam Banane Ko Mumkin Man Na Bhi Kufr Hai.
15.  Agli Kitaben Sirf Nabiyo Hi Ko Yad Hoti Thi. Magar Quran Ka Ye Mojza Hai Ke Musalmanon Ka Bacha Bacha Isey Yad Kar Leta Hai.
 16.  Quran Ke Ek Harf Padhne Par 10 Nekiyan Milti Hain. Quran Ki Taleemat Par Amal Karney Par Be Shumar Sawab Milta Hai.Balki Quran Nazil Hi Hamari Rehnumai Ke Liye Huwa Hai. Lehaza Hamey Quran Ke Ahkaamat Ke Mutabiq Zindagi Guzarni Chahiye.
17.  Quran Mukammal Haq Hai. Is Ke Har Lafz Par Iman Lana Farz Hai.
18.  Quraan E Kareem Ka Nuzool 23 Saal Ki Muddat Me Mukammal Huwa.Quraan Ki Ayaten Aur Soorathen Zaroorat Ke Mutabiq Ek Ek Do Do Kar Ke Utarti Thin. 
19.  Dusri Mazhabi Kitabon Jaise Geeta, Bible, Guru Granth, Waghaira  Ko Allah Ki Kitab Man Na Kufr Aur Gumrahi Hai.
20.  “Comparative Study” Ke Nam Per Aaj Jo Horaha Hai Wo Ek Dhoka Aur Sazish Hai. Quran Aur Dusri Mazhabi Kitabon Ka Jayza Le Kar Un Me Common Baton Ko Dhoond Nikalna Aur Kehna Ke Sabhi Kitabon Ki Taleem Ek Hi Hai. Ye Musalmanon Ko Bewaqoof Banana Ki Koshish Hai.
21.  Quran Allah Ka Kalam Aur Us Ki Sifat (Attribute)  Hai. Quraan Ko “Makhlokh” (Creation) Man Na Kufr Hai. Jaise Us Ka Kalam (Quran) Us Ki Sifath Hai. Hamara Quran Ka Padhna (Awaz), Kaghaz Par Likhna(Tehreer) Ye Sab “Haadis” (Fana Ho Sakti) Hain Magar Kalam (Quran) Hamesha Se Tha Aur Hamesha Rahega.
 22.  Quran Ke Bare Me Nasikh O Mansookh Ka Aqeeda: Baaz Ahkam Kisi Khas Muddat Ke Liye Hotey Hain Magar Allah Ye Zahir Nahi Fermata Ke Kitne Waqt Ke Liye Hain. Jab Ye Muddat Khatam Hojati Hai To Dusra Hokum Nazil Hota Hai. Jis Se Bazahir Ye Maloom Hota Hai Ke Pehla Hukm Utha Diya Gaya. Magar Haqeeqat Me Pehle Hukm Ka Waqt Khatam Hota Hai. Us Pehle Hukm Ko Mansookh Aur Dusre Ko Nasikh Kehte Hai. Quran E Kareem Pichli Asmani Kitabon Ke Bahut Saare Ahkaamat Ko Mansookh Kiya Hai Is Liye Quran Un Ka Ka Nasikh Hai. Quran Me Bhi Kai Ayaten Naasikh Aur Mansookh Hain.
 23.  Ayate ‘Muhkamat’ Aur Ayate ‘Mutashabihat: Quran Ki Wo Ayaten Jin Ke Maani (Meaning) Saaf Hain Yani Asani Se Sab Ki Samajh Me Asakti Hain Un Ko Ayate Muhkamat Kehte Hain. Magar Kuch Ayaton Ke Maani Maloom Nahi Hotey. Aisi Ayaton Ko Mutashabihat Kehte Hain. Aisi Ayaton Ke Bare Me Aqeeda Rakhna Chahiye Ke Is Ke Maani Allah Hi Ko Maloom. Magar Sab Par Hamara Iman Hai. Ye Hamare Imtihan Ke Liye Hain Ke Maney Samjhey Baghair Allah Ke Kalam Par Iman Rakheyn.
 24.  Huruf E Muqattaat (الم :یس:طسم Etc) Par Bhi  Iman Rakhna Chahiye. Un Ke Maanon Me Ghauro Fikr Karney Ki Ijazat Nahi. Olema Farmate Hain Ke Ye Huruf Allah Aur Rasool Ke Beech Raaz Hain. Yaani Secret Codes Hain. In Ke Maani Kabhi Kabhi Allah Ke Waliyon Ko Batadiye Jate Hain. Aur Kabhi Kabhi To Khud Ye Huruf Kalam Kar Ke Apney Maani Allah Ke Waliyon Ko Batey Hain.

2 comments:

  1. Zbardat tehreer ma sha Allah

    ReplyDelete
  2. asmani kitabo ki mushtarka taleemat k baray me kindly byan kr den

    ReplyDelete