Huzur (ﷺ) Ke Mutalliq Zaruri Aqaid
- Sab Se Pehle Allah Ne Apne Noor Se Noore Mustafa Ko Paida Kiya.
- Usi Noor E Mustafa Se Tamam Aalamon Ko Allah Ne Paida Farmaya.
- Sab Se Pehle Nabi Aap ﷺ Hi Hain. Kyunke Hz. Adam (As) Ki Paidaish Se Bhi Qabl Aap Ko Allah Ne Nabuwwat Atha Farmadi Thi.
- Tamam Nabiyon Ki Roohon Se Allah Ne Ahad (Waada) Liya Ke Huzur Par Iman Layen. Sab Nabi Huzur Hi Ke Ummati Hain Aur Apne Apne Waqton Me Huzur Hi Ki Nabuwwat Ko Maana Aur Unhi Ke Deen Ka Kam Kiya.
- Tamam Makhlooqat Me Sab Se Behtar Aur Afzal Huzur ﷺ Hain. Aap ﷺ Ka Koi Misl Tha Na Hai Na Hoga. Agar Koi Kisi Ko Huzur Ka Misl Mane Wo Gumrah Aur Kafir Hai.
- Aap Ka Khandan Sab Se Behtar. Adam (As) Se Lekar Aap ﷺ Tak Nasal Dar Nasal Aap Ke Tamam Ajdad Ko Tamam Tarah Ki Buraiyon Se Allah Ne Pak Rakha.
- Huzur Ka Saya Na Tha Kyun Ke Aap Noor Hain.
- Aap Ke Jism Se Khushbu Aathi Thi. Aisi Khushbu Ke Duniya Ke Kisi Ithr Ya Musk O Anber Me Bhi Aisi Khusbu Nahi Pai Jati.
- Zameeno Asman Ke Khazanon Ki Kunjiyan Allah Ne Aap ﷺ Ko Ata Ki Hai. Tamam Jahanon Me Jise Jo Chahen Detey Hain. Jis Se Jo Chahey Wapas Lelete Hain. Sab Huzur ﷺ Ka Hukm Mantey Hain Aur Huzur ﷺ Sirf Apney Rab Ke Siwa Kisi Ke Mahkoom Nahin.
- Dunya O Akhirat Ki Har Nemat Aap Hi Ke Dar Se Mili Hai Aur Milti Rahengi.
- Aap Allah Ke Habeeb Hain. Allah Ke Zikr Ke Sath Aap Ka Zikr Buland Hai.
- Aap Khataman Nabiyyeen Hain. Yani Nabuwwat Ka Silsila Aap Par Khatam Hai. Ab Koi Nabi Nahi Ayega. Huzur Ke Baad Koi Aur Nabi Manna Kufr Hai.
- Aap Rahmatallil Aalameen Hain. Yani Tamam Aalamon Ke Liye Aap Rahmat Hain. Tamam Alamon Me Azal Se Abad Tak Jis Jis Ko Jo Jo Milta Hai Sab Allah Ki Ata Se Huzur Ke Tufeil Me Milta Hai.
- Huzur Se Muhabbat Iman Ki Jan Hai Balki Ain Iman Hai. Jab Tak Huzur Ki Muhabbat Bandey Ke Dil Me Apney Maa Baap Aulad Aur Tamam Jahan Se Ziyada Nahi Hoti Us Ka Iman Kaamil Nahin Hota.
- Huzur Ki Tazeem Iman Ka Juz Hai. Aaj Bhi Huzur Ki Tazeem Waise Hi Farz Hai Jaise Us Waqt Farz Thi Ke Jab Is Alam Me Zahiri Nigahon Ke Samne Aap ﷺ Maujud They.
- Huzur Ki Shan Me Zarasi Gustakhi Bhi Kufr Hai.
- Huzur Ki Nabuwwat Aam Aur Sab Ke Liye Hai. Jinn, Insan, Farishte, Jaanwar, Ped Paudhey, Pahad, Asmaano Zameen, Hawa, Paani Ki Tamam Maqlooqat Ke Aap Nabi Hain. Balki Aap To Tamaam Nabiyon Ke Bhi Nabi Hain.
- Tamam Nabiyon Ki Infiradi Khoobiyon Ka Majmua Huzur ﷺ Ki Khoobiyan Hain.
- Aap ﷺ Ki Mubarak Seerat Sab Ke Liye Behtareen Namoona Hai.
- Khiyamat Ke Din Sab Se Pehle Qabr Se Aap (ﷺ) Hi Uthenge.
- Aap Hi Khiyamat Ka Darwaza Kholenge.
- Shfaat Ki Ijazat Aap Ko Sab Se Pehle Di Jayegi.
- Liva E Hamd (Yani Allah Ki Hamd Ka Jhanda) App Ke Hath me Hoga. Jis Ke Neechey Huzur Apni Ummat Ko Jama Karenge.
- Roze Mahshar Aap (ﷺ) Sab Se Aage Honge Aur Saari Makhlooq Un Ke Peeche Hogi.
- Pul E Sirat Se Sab Se Pehle Huzur ﷺ Apni Ummat Ko Lekar Guzrenge.
- Aap ﷺ Ko Maqam E Mahmood Ata Hoga.
- Aap (ﷺ) Ko Jism Ke Sath Meraj Huwi Hai. Yani Raath Ke Thodey Se Hissey Me Huzur Ne Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa, Wahan Se Sathon Asmanon Ka Safar Kiya. Phir Arsh Par Tashreef Legaye. Wahan Allah Ka Qurb E Khas Hasil Huwa. Jamaal E Ilahi Ko Sar Ki Ankhon Se Dekha. Allah Ke Kalam Ko Bila Wastha Suna. Tamam Alamon Ko Tafseel Se Mulahiza Farmaya. Aur Wapas Tashreef Le Aaye.
- Sab Allah Ki Raza Chahte Hain Aur Allah Huzur Ki Raza Chahta Hai.
- Huzur ﷺ Ki Ithaat Allah Ki Ithaat Hai.
- Huzur ﷺ Ki Adaen Sunnat Hain ( Kisi Bhi Sunnat Ki Tauheen Kufr Hai)
- Huzur ﷺ Ko Allah Ne “Ma Kaana Wama Yakoon” Ka Ilm Diya Hai.Allah Ne Aap Par Ilm E Ghiab Ke Darwazey Kholdiye. Huzur Par Har Cheez Raushan Farmadi.Aap Ney Sab Kuch Pehchan Liya. Zameen O Asman Me Jo Kuch Hai Aap ﷺ Ke Ilm Me Aagaya. Jo Kuch Huwa, Horaha Hai Aur Hoga Sab Huzur Jante Hain. Apne Har Ummati Ke Dil Ka Hal Huzur Par Raushan Hai.
Muqtasar Seerat E Mustafa
i. Huzur Ki Wiladat Se Qabl Is Duniya Me Har Taraf Jahalat Ka Daur Daura Tha. Asmani Kitabon Ko Logon Ne Badaldiya Tha. Sabiqa Nabiyon Ki Taleemat Ko Log Bhula Chuke They. Buth Parasti, Shirk Aam Hochka Tha. Khud Allah Ke Ghar Kaba Me 360 Buth Logon Ne Rakh Diye They Aur Un Ko Poojtey They. Qatl O Gharat Aam Hogai Thi. Aise Me Jis Nabi E Akhiruzzama Ka Zikr Asmani Kitabon Me Maujud Tha Us Ka Duniya Ko Intezar Tha. Aisey Me Hamarey Nabi Huzur Muhammad ﷺ Is Duniya Me Rahmatullil Alameen Ban Kar Tashreef Laaye.
ii. Huzur (ﷺ) Ki Wiladat: 571 Eisvi Saal Rabi Ul Awwal Ki 12 Vi Tareeq Ko Arab Ke Shaher Makkah Me Huzur (ﷺ) Ki Wiladat Huwi. Aap Ke Walid Ka Nam Hazrat Abdullah (Rz) Aur Walida Ka Nam Bibi Aamina (Rz) Hai. Hazrat Abdullah (Rz) Ka Inteqal Huzur Ki Wiladat Ke Kuch Din Qabl Hi Ho Chukka Tha. Aur Aap (ﷺ) Ki Umr Jis Waqt 6 Baras Kit Hi (577 Ad) Walida Ka Bhi Inteqal Hogaya. Aap Ki Parwarish Dada Abdul Mutallib Ne Farmai. Kuch Sal Bad (580 Ad) Jab Un Ka Bhi Inteqal Hogaya To Aap Ke Chacha Abu Thalib Ne Aap Ki Parwarish Ki.
iii. Huzur (ﷺ) Ka Nam E Pak: Hamarey Nabi (ﷺ) Ka Nam Muhammed Rakha Gaya. Un Ke Dada Abdul Mutallib Ne Un Ka Nam Ahmed Rakha. Ye Nam Allah Ki Taraf Se Hukm Farmaye Haye They. Aur Ye Nam Pehle Kisi Ka Nahi Huwa Tha. Is Ke Ilawa Huzur (ﷺ) Ke Beshumar Nam Un Ki Khoobiyon Ko Bayan Karney Ke Liye Rakhey Gaye Hain.
iv. Huzur (ﷺ) Ka Taarruf : Aap Nasab Ke Etebar Se Banee Ismaeel Se Hain Yani Hazrat E Ibraheem Alaihissalam Ke Betey Hazrat Ismaeel Alaihissalam Ki Aulad Me Se Hain. Aap Ka Gharana Hashmi, Khandan Quraish Hai. Jo Ke Arab Ke Sab Qabeelon Me Sab Se Ziyada Izzat Aur Ehteram Wala Nasab Hai.
v. Huzur (ﷺ) Ka Bachpan : Wiladat Ke Kuch Din Baad Arab Ke Riwaj Ke Mutabiq Aap Ko Parwarish Ke Liye Ek Qathoon Hz Haleema Sadiya Ko Diya Gaya. Bachpan Ke Zamaney Hi Se Huzur (ﷺ) Ki Nabuwwat Ki Nishanion Ka Zuhoor Shuru Ho Chukka Tha. Misaal Ke Thaur Par Haleema Sadiya (Rz) Ki Boodhi Na Tawan Oontni Ka Taqatwar Hojana, Un Ki Bakriyon Ka Doodh Badh Jana, Barish Aur Fasal Ka Ziyada Hona, Aap (ﷺ) Ki Ungli Ke Ishare Se Chand Ka Jhuk Jana Waghaira. Aap Ka Bachpan Bhi Aap Ki Tarah Be Misaal Hai. Aap (ﷺ) Ne Jab Bolna Shuru Kiya To Pehle Allah Ki Hamd Ke Kalimath Boley. Aur Bachon Ki Tarah Aap ﷺ Istinja Kar Ke Apney Kapdey Kabhi Gandey Nahi Kiye. Balki Ek Muqarrara Waqt Par Aap Ishara Farmatey Aur Intehai Nafasat Ke Sath Istinja Farmatey. Doodh Peeney Ke Zamaney Me Bhi Kabhi Apni Sharm Gah Zahir Hone Na Detey. Aap Ka Dil Khelon Me Nahi Lagta Tha. Kabhi Kabhi Bachon Ko Khelta Huwa Dekhte. Koi Aap Ko Khel Ne Ke Liye Bulata To Aap Farmate Ke Mai Khel Kood Ke Liye Nahi Aaya Hoon.
vi. Huzur (ﷺ) Ki Jawani: (538 Ad) Me Aap (ﷺ) Ne Apne Chacah Abu Talib Ke Sath Mulk E Sham Ka Taijarati Safar Kiya. Apni Sachai, Imandari Aur Diyanat Dari Ki Wajah Se Aap Sab Logon Me Sadiq Aur Ameen Kehlaney Lagey. (595 Ad) Me Aap Ne Hz Khadeeja (Rz) Se Nikah Farmaya. (605ad) Me Kaabey Ki Tamer E Nav Me Aap Ko Logon Ne Apna Peshwa Banaya. Aap (ﷺ) Aksar Waqta Ghaar E Hira Me Allh Ka Zikr Kartey Huwe Guzartey. Usi Ghaar E Hira Me (610ad) Allah Ne Aap (ﷺ) Par Pehli Wahi Nazil Farmai.
vii. Wahi Ke Nuzool Ke Bad Aap (ﷺ) Ne Islam Ki Tableegh Ka Kam Shuru Kiya. (613ad) Aap Ne Koh E Sara Par Kuffar E Makkah Ko Jama Kiya Aur Apney Sadiq O Ameen Honey Ki Bath Un Se Manwai. Phir Mazhab E Islam Ki Dawat Pesh Ki. Buthon Ki Pooja Tark Karne Aur Ek Allah Ki Ibadat Karne Ki Dawat Di.
viii. Élan E Nabuwat: Huzur Ne Kuffar E Makkah Ko Jab Islam Ki Taraf Bulaya Aur Apni Nabuwat Ka Elan Farmaya To Wahi Log Jo Kal Tak Aap (ﷺ) Ko Sacha aur Amanatdaar Mante They, Aap Ke Khilaf Hogaye Aur Tarah Tarah Ke Zulm Dhaaney Lagey.
ix. Kuffare Makka Ke Mazalim: Allah Ke Nabi Par Kuffar E Makka Ne Tarah Tarah Ke Mazalim Dhaaye. Aap Ko Galiya Di Gayin, Jadugar Aur Pagal Kaha Gaya. Jismani Takleefen Di Gayin. Pathar Barsaye Gaye. Social Boycott Kiya Gaya (617ad).Un Sarey Mazalim Ko Allah Ke Nabi Ne Bardasht Kiya Un Ko Duwayen Di Aur Apni Nabuwwat Ke Faraiz Anjam Dete Rahey.
x. Mojzat Ka Zuhoor: Ahista Ahista Log Islam Ki Taraf Raghib Hone Lagey. Auraten Bachey, Naujawan Boodhey Sbhi Ahista Ahista Islam Ki Haqqaniyat Ko Pehchan Kar Buth Parasti Se Tuba Kar Ke Islam Me Dakhil Honey Lagey. Magar Jin Ko Ye Taufeeq Namili Wo Huzur Ki Nabuwwat Me Shak Kartey Rahey Kabhi Mojze Ka Mutalba Kiya To Kabhi Apni Jahalat Ki Wajah Se Huzur Ko Jhutlatey Rahey. Huzur Ne Un Ko Kai Mojzey Dikhaye. Jaise Kankariyon Se Kalmia Padhaya, Pedon Ko Apney Pas Bulaya, Janwaron Se Bath Karwai, Chand Ke Tukdey Kiye. Is Tarah Se Beshumar Mojzey Huzur Ne Dikhaye. Log Bahut Tezi Ke Sath Islam Me Dakhil Honey Lage.
xi. Hijrat Aur Madani Zindagi: Magar Kuch Log Mojzon Ko Apni Aknkhon Se Dekh Kar Bhi Apni Buth Parasti Se Baz Na Aye Balki Nabi E Kareem ﷺ Ki Jan Ke Dushman Hogaye. Jab Unhon Ne Aap (ﷺ) Ko Qatl Karney Ka Mansuba Banaya To Allah Ne Apney Habib (ﷺ) Ko Hukm Diya Ke Ab Hijrat Kar Ke Madiney Tashreef Le Jayen. Aap Ne Aisa Hi Kiya Is Waqiye (622ad) Ko Hijrat Kehtey Hain. Yahan Se Nabi E Pak (ﷺ) Ne Naye Sirey Se Islam Ka Kam Shuru Kiya Bahuth Badi Tedad Me Log Musalman Ho Ney Lagey. Huzur Ne Masjidon Ki Tamer Karwai. Musalmanon Me Bhaichaara Aur Yakjahati Paida Huvi.
xii. Islami Marikey: Islam Ki Is Tarah Taraqqi Puzeer Hona Dekh Kar Kuffar E Makkah Aur Yahood O Nasara Aag Bagula Hogaye. Aur Madiney Me Bhi Sazishon Ka Silsila Shuru Kardiya. Un Ki Sazishon Waada Khilafiyon Ko Musalman Bardasht Kartey Rahey. Lakin Phir Bhi Kafiron Ne Musalmanon Ke Sath Kai Jangeyn Ki. Aur Allah Ke Karam Se Har Bar Musalman Kafiron Par Ghalib Rahey. In Ko Islami Marikey Kehtey Hain. Jaise Jang E Badar, Jamg E Uhud Wagaira.
xiii. Fathe Makkah : Huzur ﷺ Islam Ki Taleemat Ko Aam Kar Tey Rahey Logon Ko Deen Ki Dawat Dete Rahey. Kai Mulkon Ke Badshahon Ko Khat Likh Kar Islam Ka Paigham Pahunchatey Rahey. Har Taraf Se Islam Ko Kamiyabi Milti Gai. Bilakhir Wo Bin Bhi Aya Ke Makkah Fatah Hogaya. (630ad) Yani 8 Sin Hijri Me Makkah Musalmanon Ke Qabze Me Aya. Huzur Ne Aam Muafi Ka Elan Farmaya. Jo Huzur Ko Qatl Karna Chahtey They Unhey Bhi Muaf Farmadiya. Kabey Ko Buthon Se Pak Kiya Gaya. Kabey Ki Chath Se Azan Ki Ibtida Huvi. Kufr O Shirk Ka Andhera Hamesha Ke Liye Mitadiya Gaya. Aur Islam Ki Raushni Aam Hogai.
xiv. Wisal Mubarak: (632ad) 10 Sin Hijri Aqa Alaihissalam Ne Apna Akhri Haj Farmaya. Ye Elan Farmaya Ke Aj Deen Mukammal Hogaya Allah Ka Paigham Allah Ke Bandon Tak Pahuncha Diya Gaya. Is Ke Kuch Din Baad Allah Ke Nabi Ne Is Duniya Se Parda Farmaya.
No comments:
Post a Comment