Farishton Ke Mutalliq Zaruri Aqaid

Farishton Ke Mutalliq Zaruri Aqaid
1.      Farishte Allah Ki Noorani Amakhlooq Hain.Yani Allah Ne Farishton Ko Noor Se Paida Kiya Hai. Ye Allah Ki Imandar Aur Ibadat Guzar Maqlooq Hai.
2.      Ye Masoom Hotey Hai Yani Kabhi Gunah Nahin Kartey. Ye Sirf Wahi Kartey Hain Jis Ka In Ko Allah Ne Hukm Farmaya Hai.
3.      Farishte Sagheera, Kabeera Tamaam Gunahon Se Paak Hain. Allah Ne In Me Burai Karney Ki Quwwat Hi Nahi Rakhi Is Liye Wo Gunah Kartey Hi Nahin.
4.      Allah Ne Farishton Ko Taqat Di Hai Ke Wo Jo Surat Shakal Chahe Ikhtiyar Kare.
5.      Anbiya Kiram Farishton Ko Dekhtey Aur Un Se Kalam Kartey They.
6.      Farishte Bhool Se Paak Hain. Yani Wo Kabhi Koi Bath Bhoolte Nahin.
7.      Farishte Khane Peene Se Paak Hain. Wo Hamari Tarah Ghiza Ke Muhtaj Nahin. Allah Ka Zikr Hi In Ki Ghiza Hai.
8.      Farishte Jins (Gender) Se Paak Hain Na Mard Hote Hain Na Aurat.
9.      Mushrikeene Makkah Farishton Ko Allah Ki Betiyan Kehte The Jo Ke Kufr Hai.
10.  Anbiya Ke Baad Sab Se Afzal Maqam 4 Muqarrab Farishton Ka Hai. Yani 1. Jibraeel 2. Mekaeel 3. Israfeel Aur 4. Israeel (As)
11.  Allah Ke Khas Bande Jase Anbiya Auliya. Ka Maqam Farishton Se Afzal Hai.
12.  Farishton Ke Pas Rooh Hai Par Nafs Nahin. Insann Ke Pas Rooh Bhi Hai Aur Nafs Bhi.
13.  Farishtey Allah Ki Sab Se Badi Maqlooq Hai. Arsh Ko Bhi Farishte Uthaye Huwe Hain.
14.  Farishton Ki Tedad Allah Hi Betar Janta Hai.
15.  Farishte Mukhtalif Kamon Par Muqarrar Hain (Missal Ke Taur Par 1. Jibraeel Wahee Lane Par  2. Mekaeel Barish Barsane Par  3. Israfeel Soor Phoonkne Par Aur 4. Izraeel Rooh Qabz Karne Par)
16.  Farishte Aam Taur Par Kisi Ko Nazar Nahi Aate. Khas Bandon Ko Nazar Aate Hain. Maut Ke Waqt Sab Ko Nazar Aayenge.
17.  Farishton Ke Wujood Ka Inkar  Kufr Hai. (Eg.  Ye Kehna Ke Farishta Nam Ki Koi Cheez Nahi Hoti.Neki Ki Taqat Ka Nam Farishta Hai Etc..)
18.  Kisi Bhi Farishte Ki Tauhee Gustakhi Karna, Dushmani Rakhna Bhi Kufr Hai (Example : Mauth Ke Farishtey Ko Bura Kehna).
19.  Har Bande Ke Sath Kul 20 Farishte Har Waqt Maujood Hote Hain. Kiraman Katibeen 2 Farishtey + Hamare Samne Aur Peechey 2 Farishtey +Hamari Peshani Ko Thamey Huwe 1 Farishta + 2 Farishtey Hamare Honton Par Hotey Hain + 1 Farishta Hamarey Muh Par Hota Hai. Aur 2 Farishtey Hamari Ankhon Par Hote Hain. Is Tarah Kul 10 Farishtey. Din Ke 10 Farishtey Alag Aur Rath Ke 10 Farishtey Alag. Bari Bari Se Aatey Rehtey Hain. Is Tarah Hare Ek Bandey Ke Sath Kul 20 Farishtey Muqarrar Kiye Gaye Hain.
  • Kiraman Katibeen Hamare Donon Taraf Hotey Hain. Seedhi Janib Kiraman Aur Ulti Janib Katibeen. Kiraman Ka Ye Kam Hai Ke Jab Banda Nek Kam Ki Niyat Karta Hai To Us Niyat Ki Ek Neki Likh Dete Hai. Aur Jab Banda Wo Neki  Karleta Hai To 10 Nekiyan Likhdete Hain. Katibeen Ka Kam Ye Hai Ke Banda Jab Burai Ka Irada Karta Hai To Wo Kiraman Se Ijazat Mangtey Hai Ke Us Burai Ke Bare Me Likhe. Magar Kiraman Ijazat Nahi Detey. Jab Banda Gunah Kar Deta Hai To Ab Us Ke Nama E Amal Me 1 Burai Likhi Jati Hai.
  •  Hamare Aagey Aur Peechey Jo 2 Farishtey Hain Wo Allah Ke Hukm Se Hamari Hifazat Kartey Rehtey Hain.
  • Peshani  Ko Thamey Huwe Farishtey Ka Kam Ye Hai Ke Jab Banda Ajizi Aur Inkisari Karta Hai To Us Bandey Ko Sar Baland Aur Izzat Dar Bana Deta Hai. Aur Jab Banda Takabbur Aur Ghamand Karta Hai To Usey Zaleel O Khwar Kar Deta Hain.
  • Jo Do Farishtey Hamarey Honton Par Hain Un Ka Kam Ye Hai Ke Jab Ham Durood Padhtey Hain To Hamarey Durood Ko Mehfooz Kartey Hain Aur Huzur () Ki Baargah Me Pahunchatey Hain.
  •  Ek Farishta Jo Hamarey Muh Par Muqarrar Hai Us Ka Kam Ye Hai Ke Hamarey Muh Me Sanp Ko Dakhil Honey Nahin Deta.
  • Aur 2 Farishtey Hamari Ankhon Par Muqarra Hain.
Chund Mashoor Farishte Aur Un Ke Kam
  •   4 Muqarrab Farishte (Jibreel, Mekaeel, Israfeel, Izraeel) Alaihimussalam
  • Hamilan E Arsh: Ye Farishtey Arsh Ko Sanbhale Huwe Hain. Allah Ki Maqlooq Me Sab Se Badi Maqlooq Arsh Hai. Is Arsh Ko Sanbhalne Waley Farishtey Bhi Bahuth Badey Hain.
  •  Jannat Ke Darban  : Jannat Ki Zimmadariyo Par Muqarrar Hain
  • Dozakh Ke Darogha : Dozakh Ki Zimmadariyo Par Muqarrar Hain
  • Munkar Nakeer: In Ki Shakal Bahuth Hi Haibath Naak Aur Darauni Hothi Hai. Ye Qabr Me Aakar Murdey Se 3 Sawal Kartey Hain. Sahi Jawab Deney Par Rahath Aur Ghalat Jawab Deney Par Azab Musallat Kardete Hain.
  •  Azaab Ke Farishte : Qabr Me, Hashr Me, Akhirat Me, Dozakh Me Muqtalif Azabon Ke Deney Ke Liye Allah Ne In Ko Muqarrar Kiya Hai.
  • Ummat Ka Durood Huzoor Ko Pahunchane Walre Farishte.
  •  Huzoor Ke Rauze Ki Ziyarat Ke Leiye Ane Wale Subho70,000 Sham 70,000  Farishte. Jo Ke Har Din Naye Farishtey Hotey Hain.
  • Ummat Ke Nek Amal Par Paida Hone Wale Farishte.
  • Maidane Mehshar Wale Farishte.
  •   In Ke Ilawa Be Hisab Farishtey Hain Jin Ki Tadaad Ka Ilm Sirf Allah Ko Hai. Un Ki Paidaish Har Roz Jari Hai. 
  • Insan Ke Baaz Nek Amaal Farishta Ban Kar Asman Me Buland Hotey Hai.

2 comments: