Ummul Momineen H.Maymuna r.a

Ummul Momineen H.Maymuna r.a farmati hain, ek roz Huzur sallallaho alaihe wasallam mere sath so rahethe ki wo adhi raat ko Namaz ke liye Wuzu banane ke liye uthe to Wuzu banate waqt maine unhe kehte hue suna [(Labbayka labbayka labbayka) – is Tarah aapne 3 bar kaha, aur fir kaha (Nusirto Nusirto Nusirta),
Jab aap Sallallaho alaihe wasallam fairgh hueto maine apse pucha "YA RASOOLALLAH, maine apko Wuzu ke dauran 3 bar kehte hue suna ki '' 'Mai Hazir hu' aur fir 3 bar suna ki 'Mai madad karta hu',
Kya aap kisi se baaten kar rahe the? "
to aapne jawab diya ki- Wo Banu Ka'b ka ek rajiz tha, Khuza'a ki ek choti Jamat mujhe madad ke liye pukar rahi thi (yastas.rikhunî
) aur mujse zor dekar keh rahi thi ki Quraysh ne Banu Bakr ko unke Khilaf madadki hai.
Dusre ne Hudaibiya se jung ke waqt Quraysh se apni dosti kar li thi, aur Banu Khuza'a ne Muhammad sallallaho alaihe wasallam ka sath liya, aur wo unhe bachaneke liye Muqarrar the, Banu Bakr ke liye Quraysh ka sath Khuza'a ke khilaf tha, isliye wahan par Muhammad sallallaho alaihe wasallam ke sath Aarzi Sulah ki Hurmat ho gayi thi.
Ye Ittefaq Fateh Makka ki haunsla Afzai ke liye tha.
Bas isi ke baad wo isme Dakhil hue aur Fateh Hasil kar li.
[al-Mu'jam al-Kabir, Imam Tabarani Volume 023, Page 433-4, Hadith Number 1052]

 Is Hadees se 4 baate pata chalti hain,
1: Nabi sallallaho alaihe wasallam ka Waseela liya gaya.
2: Nabi sallallaho alaihe wasallam ko Door se bhi madad ke liye pukarna jaez hai.
3: Nabi alaihe salam door se hi apne chahne walo ki awaz sun bhi lete hain, aur farmaya ki [(Labbayka labbayka labbayka) – yanhi Hazir bhi ho jate hain,
4: Nabi alaihe salam apne ghar se hi sara muamla dekh rahe the, isiliye H. Maymuna r.a ko sab kuch aise hi bata diya. Yani aap door se dekh bhi sakte hain, sun bhi sakte hain, aur Madad ko Hazir bhi ho sakte hain,
SubhanALLAH.

No comments:

Post a Comment